Category: Other Naat Shareef

  • JAB GUMBAD-E-KHIZRA PE WOH PEHLI NAZAR GAYI (with Audio)

    Jab Gumbad-e-Khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi
    
    Aankhon Ke Raastay Mere Dil Mein Uttar Gayi

    Sar Kham Tha Lab Khamoosh Thay Aankhein Thein Ashkbaar
    Ik Sa'at-e-Bedaar Thei Jou Ke Guzar Gayi


    Barsi Thei Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udher
    Woh Barish-e-Karam Mere Daaman Ko Bhar Gayi

    Taiba Se Lautna Kissi Aashiq Se Poochiye
    Aisa Hai Jaisay Rooh Badan Say Guzar Gayi


    Jou Keh Sakaa Na Lab Se Mili Woh Murad Bhi
    Mere Sukoot Per Bhi Shaha Ki Nazar Gayi

    Awaz Ubaid Teri Ba Faizan-e-Naat Hee
    Seeno Mein Aashiqan Nabi Kay Utar Gayi

    
    

    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE

    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please "Right Click" and then click on "Save Target As...". You can listen these Hamd-o-Sana by RealPlayer/VLC Player
  • Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do

    Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
    Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Sham Do


    Talwo Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahromah Ko
    Hai Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do


    Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
    Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jaam Do


    Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
    Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Shaam Do


    Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
    Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do


    Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
    Haamid O Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulaam Do


    Kalaam By Hamid Raza Khan Rehmatullah Alaih
  • Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho

    Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
    Seene Pe Tasalli Ko Tera Haath Dhara Ho


    Gar Waqte Ajal Sir Teri Chaukhat Pe Jhuka Ho
    Jitni Ho Qaza Ek Hi Sajde Me Ada Ho


    Tum Zaat E Khuda Se Na Judaa Ho Na Khuda Ho
    ALLAH Ko Ma’alum Hai Kya Jaaniye Kya Ho


    Ye Kyu Kahu Mujhko Ye Ataa Ho Ye Ataa Ho
    Wo Do Ke Hamesha Mere Ghar Bhar Ka Bhala Ho


    Dekha Unhe Mehshar Me To Rehmat Ne Pukara
    Aazad Hain Jo Aapke Daaman Se Bandha Ho


    Firdous Ke Baagho Se Udhar Mil Nahi Sakta
    Jo Koyi Madine Ke Bayaba Me Ghuma Ho


    Mangta To Hain Mangta Koi Shaho Me Dikha De
    Jisko Mere Sarkaar Se Tukda Na Mila Ho


    Mitti Na Ho Barbaad Pase Marge Ilahi
    Jab Khaaq Ude Meri Madine Ki Hawaa Ho


    Aata Hain Faqeero Pe Unhe Pyar Kuch Aisa
    Khud Bheekh De Khud Kahe Mangta Ka Bhala Ho


    Dhundha Hi Kare Sadr Qayamat Ke Sipahi
    Woh Kisko Mile Jo Tere Daaman Me Chupa Ho


    De Daaliye Apne Lab E Jaa Baksh Ka Sadqa
    Ay Chara E Dil Dard E Hasan Ki Bhi Dawa Ho
  • Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai

    qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai
    durood se mere dil ko rasad pohanchti hai
    ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta
    jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai
    sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon
    to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai
    juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar
    mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai
    durood ka dia jata hai jub sawab mujhe
    bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai

    salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon
    qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.
  • Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina

    Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
    Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina


    Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
    kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina


    Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
    Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina


    Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
    Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina


    kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
    Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina


    Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
    LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina


    Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
    Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana


    Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
    Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina


    Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
    Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina


    Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
    Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina


    Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
    Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


    Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
    mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.
  • Kushiyo ki bahaare laaya Ramzan mubarak aaya

    Kushiyo ki bahaare laaya
    Ramzan mubarak aaya…
    dil joom ke mera gaaya
    Ramzan mubarak aaya..


    Qur’aa ki tilawat hogi
    bhar pur ibaadat hogi
    Quraan ka tohfa laaya
    Ramzan mubarak aaya


    sehri ki ajab raahat he
    iftar me wo ronaq he
    ik kaif ajab he chhaya
    Ramzan mubarak aaya


    roze ki ye lazzat dekho
    na pyas ki shiddat he wo
    kya sabr he hum ne paaya
    Ramzan mubarak aaya


    Ramzan to he oos ki
    ho saath me maa jiski
    ”turkee” ne to ashk bahaya
    jab Ramzan mubarak aaya


    Allah meri maa ko
    Ramzan ke sadqe me
    sab maaf gunah karde
    jannat bhi ataa karde
    zahra ka mile saaya
    Ramzan mubarak aaya
  • Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar

    Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar
    Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar


    Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar
    Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar


    Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba Mujhe
    Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar


    Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
    Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab


    Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan
    Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar


    Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko
    Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar


    Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri
    Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar
  • Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein

    Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
    Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
    Ik Tera Naam Waseela He Mera 
    Ranj O Gham Mey Bhi Iss Naam Sey Rahat Hogi


    Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
    Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
    Waha Sarkar E Madina Ki Ziarat Hogi
    Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney


    Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
    Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi
    Unki Chokat Pey Parey He to Bari Moj Mein Hey
    Lot Kay Ayengey Jab Us Dar Sey


    Merey Dil Tu Hi Bata Kya Teri Halat Hogi
    Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
    Zulf Lehra Key Wo Jab Ayengey 
    Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi


    Rashk Sey Door Karey Deyktey Hogay Zaahid
    Jab Sare Hashr Gunahgaro Pey
    Merey Aaqa Ka Karam Hoga Inayat Hogi
    Kahi Ta Ha Kahi Yaseen Kahi Washams Aaya


    Jiski Qasmay Mera Rab Kaata Hey
    Kitni Dil Kash Merey Mehboob Ki Surat Hogi
    Do Jahaan Mein Usey Kon Pana Deyga
    Hoga Ruswa Sare Hashr Jise


    Syeda Zahra Kay Bach Sey Adawat Hogi
    Mayray Sarkaar Bulaa Ain Gay, Un Ki Chokat Pay,
    Wo Nazaara Phir May Daykoon Ga,
    Daykh E Kar Gumbad E Khazra, Mayri Ulfat Hogi


    Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey Iltaf
    Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon 
    Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi
  • Dar-e-nabi par yeh umr beetay ho ham pey lutf-e-dawaam aesa

    Dar-e-nabi par yeh umr beetay ho ham pey lutf-e-dawaam aesa
    Madinay wale kahain maqami ho un kay dar par qayaam aesa

    Yeh rif’at-e-zikr-e-mustafa hey naheen kisee ka maqaam aesa
    Jo baad zikr-e-khuda hey afzal hey zikr-e-khair-ul-anaam aesa

    Jo ghamzadon ko galay laga lay buron ko daman main jo chupa lay
    Hey dusra kaun is jahaan main siwa-e-khair-ul-anaam aesa

    Bilaal tuj par nisaar jaoon kay khud nabi nain tujhe khareeda
    naseeb ho to naseeb aesa ghulam ho to ghulam aesa

    Namaaz aqsa main jab parhaee to ambiya-o-rusool yeh bolay
    Namaaz ho to namaz aesee imam ho to imam aesa

    Mein Khalid apnay nabi pey qurban hey jin ka khulq-e-azeem Qur’aan
    Hey roshni jis kee do jahan main kaheen hey maah-e-tamaam aesa

  • Kaun Shehre Makkah Mein

    Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha Aaya Hai
    Jiske Noor Se A’alam Saara Jagamagaya Hai


    Ghaib Se Nida Aayi Aamena Mubarak Ho
    Tune Rehmate Haq Se Noor Haq Ka Paaya Hai


    Thi Nida Shab E Asra Udno Minne Mehboob 
    Be Thadak Chale Aao, Humne Hi Bulaya Hai


    Aql Sabki Hairaa Hain Dekh Kar Shahe Dee Ko
    Ye Bashar To Hai Lekin, Kyu Na Inka Saaya Hai


    Inna-ma Ana Basharum Mislokum Ke Parde Me
    Haq Ne Apne Jalwo Ka Aayina Sajaya Hai


    Ya Nabi Main Tumpar Kyu Na Jaano Dil Fida Kar Du
    Humne Aapko Paa Kar To Khuda Ko Paaya Hai


    Daaman E Nabi Aashiq Ab Na Humse Chootega
    Humne Unse Jo Maanga, Wo Khuda Se Paaya Hai