Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho

Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
Seene Pe Tasalli Ko Tera Haath Dhara Ho


Gar Waqte Ajal Sir Teri Chaukhat Pe Jhuka Ho
Jitni Ho Qaza Ek Hi Sajde Me Ada Ho


Tum Zaat E Khuda Se Na Judaa Ho Na Khuda Ho
ALLAH Ko Ma’alum Hai Kya Jaaniye Kya Ho


Ye Kyu Kahu Mujhko Ye Ataa Ho Ye Ataa Ho
Wo Do Ke Hamesha Mere Ghar Bhar Ka Bhala Ho


Dekha Unhe Mehshar Me To Rehmat Ne Pukara
Aazad Hain Jo Aapke Daaman Se Bandha Ho


Firdous Ke Baagho Se Udhar Mil Nahi Sakta
Jo Koyi Madine Ke Bayaba Me Ghuma Ho


Mangta To Hain Mangta Koi Shaho Me Dikha De
Jisko Mere Sarkaar Se Tukda Na Mila Ho


Mitti Na Ho Barbaad Pase Marge Ilahi
Jab Khaaq Ude Meri Madine Ki Hawaa Ho


Aata Hain Faqeero Pe Unhe Pyar Kuch Aisa
Khud Bheekh De Khud Kahe Mangta Ka Bhala Ho


Dhundha Hi Kare Sadr Qayamat Ke Sipahi
Woh Kisko Mile Jo Tere Daaman Me Chupa Ho


De Daaliye Apne Lab E Jaa Baksh Ka Sadqa
Ay Chara E Dil Dard E Hasan Ki Bhi Dawa Ho

Comments

9 responses to “Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho”

  1. Anonymous Avatar
    Anonymous

    Shabash Hassan Or Chamakti Si Ghazal Parh
    Dil Khol KKar Aaina E Imaan Ki Jilaa Ho………!

  2. Sheikh Haris Raza Al-Madani Avatar

    Pursoz kalam I have ever seen….
    Admin please send some sad Naats..

  3. Unknown Avatar

    Masha Allah bahut khub Hazrat

  4. Unknown Avatar

    Mai kyu Kaha Mujko ye Ataho Wo Ataho
    Do Dijie Jisse Mere Ghar Bhar Ka Bhala Ho

  5. Unknown Avatar

    Shukr ek karam ka bhi adaa ho nahi sakta
    Dil unpe fida jaane hassan unpe fida ho

    1. Masoum Ali Avatar

      Main kyon kahun ki mujhe ye aata Ho wo aata Ho se dedo Aisa ki ham sab ka bhala ho

  6. Unknown Avatar

    Very good lyrics

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *