Category: Other Naat Shareef

  • Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho

    Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
    Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho
    Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
    Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
    Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho
    Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
    Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
    Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho
    Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
    Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
    Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho
    Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
    Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
    Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho
    Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
    Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
    Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho
    Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
    Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
    Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho
    QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
    Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
    Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho
  • Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee

    Raate Bhi Madina Kee Baate Bhi Madina Kee
    Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki
    Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
    Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
    May Madina Ki Galiyoun Pay Qurban
    Jinsa Juzra Hai Shah-e-Madina
    Is Tarha Say Mekhta Hai Rasta
    Eatr Jaisa Lagay Hua Hai
    Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
    Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
    Kiya Mahakta Ta Hai Mahakna Wala
    Kay Bu Pay Chalta Hai Bhatkna Wala
    Ambar Zami Abeer Hawa Musktar Gubar
    Adna Ki Shankt Tera Rah Guzar Ki Hai
    Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
    Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
    Wallah Jo Miljaya Mera Gul Ka Paseena
    Manga Na Kabhi Eatr Na Phir Chaya Dulan Phool
    Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
    Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki
    Yah Zakam Hai Taiba Ka Yah Sabko Nahi MIlta
    Koshish Na Kare Koi Is Zakam Ko Seena Ki
    Yah Apni Nigaho Say Mastana Banata Hai
    Mastana Banata Hai Deewana Banata Hai
    Zahmat Hi Nahi Dayta Mahkar Ko Peena Ki
    Har Saal Madina May Mirza Ko Bulata Hai
    Sarkar Jagata Hai Takdeer Kamina Ki
  • Noor Wala Aya Hai

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai


    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH


    Jab Talak Yah Chand Tara Jheel Meelata Jayanga
    Tab Talak Jasna Wiladat Hum Manata Jayanga


    Naate Mahbooba KHUDA Sunta Sunata Jayanga
    YA RASOOLALLAH Ka Nara Lagata Jayanga


    Char Janib Hum Diya Ghee Kay Jalata Jayanga
    Ghar Toh Ghar Sara Mohalla Ko Sajata Jayanga


    Eid a Milad-Un-NABI Ki Shab Charaga Kar Kay Hum
    Kabr a NOOR-A-MUSTAFA Say Jagmagata Jayanga


    Tum Karo Jasnay Wiladat Ki Kushi May Roshni
    Woh Tumhari Gor-A-Teera Jagmagata jayanga


    Hashr May Zayra Livay Hamd-A-ATTAR Hum
    Naat-E-SULTANA MADINA Gongunata jayanga
  • Na Chedo Zirk E Jannat

    Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
    Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
    Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
    Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
    Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
    Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai
    Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
    Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
    Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
    Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
    Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
    Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
    Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
    Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
    Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
    Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
    Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
    Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
    Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
    Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai
  • Mujhe Dar pay phir bulana

    Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale
    Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale
    Meri aankh me samana, Madani Madine Wale
    Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale
    Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi
    Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale
    Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain
    Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale
    Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay
    Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale
    Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina
    Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale
    Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar
    Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale
    Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali
    Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale
    Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai
    Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale
    Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar
    Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale
    Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar
    Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale
    Tu Khuda ke baad behtar, sabhi say mere Sarwar
    Tera Haashmi gharana, Madani Madine Wale
    Teri farsh par hukumat, Teri Arsh par hukumat
    Tu Shahinsha e Zamanah, Madani Madine Wale
    Tere Khalq sab say A’ala, Tera Husn Sab say pyara
    Fida Tujh pay sab zamanah, Madani Madine Wale
    Kahoon kis say aah jakar, sunay kaun mere dil-bar
    Mere dard ka fasana, Madani Madine Wale
    Ba-A’ata e RABB daem, Tu hi rizq ka hai Qasim
    Hai Tera sab aabo-danah, Madani Madine Wale
    Mai ghareeb bay-sahara, kahaan aur hai guzara
    Mujhe Aap hi nibhana, Madani Madine Wale
    Yeh karam bada karam hai, Tere haath me bharam hai
    Sar-e-hashr bakhsh-wana, Madani Madine Wale
    Kabhi jau ki moti roti, to kabhi khajoor pani
    Tera aisa sada khana, Madani Madine Wale
    Hai chataee ka bichona, kabhi khaak hi pay sona
    Kabhi haath ka sar-hana, Madani Madine Wale
    Teri saadgi pay lakho, Teri aajizi pay lakho
    Ho salaam-e-ajizana, Madani Madine Wale
    Mile naza me raahat, rahoon qabr me salamat
    Tu azaab say bachana, Madani Madine Wale
    Ai Shafi e Roz e mehshar! hai gunah ka bojh sar par
    Mai phasaan mujhe bachana, Madani Madine Wale
    Gup andheri qabr me jab, mujhe chor kar chale sab
    Meri qabr jug magana, Madani Madine Wale
    Mere Shah! waqt e rukhsat, mujhe meetha meetha sharbat
    Teri deed ka pilana, Madani Madine Wale
    Pas marg Sabz Gumbad, ki Huzoor thandi thandi
    Mujhe chaoon me sulana, Madani Madine Wale
    Mere Walidain mehshar mein, go bhool jae Sarwar
    Mujhe Tum na bhool jana, Madani Madine Wale
    Shaha tangi badi hai, yahaan dhoop bhi kadi hai
    Shahe Hauz e Kauthar aana, Madani Madine Wale
    Mujhe aafatun ne ghera, hai musibataun ka dayra
    Ya Nabi madad ko aana, Madani Madine Wale
    Koee is taraf bhi phera, ho ghamaun ka door andhera
    Ai Sarapa Noor aana, Madani Madine Wale
    Kooe pae bakht war gar, hai sharaf shahi se badhkar
    Teri Na’al e Pak uthana, Madani Madine Wale
    Mera seena ho Madina, mere dil ka aabgina
    Bhi Madina hi banana, Madani Madine Wale
    Ai Habeeb e Rabbe Bari, hai gunah ka bojh bhari
    Tumhi hashr me churana, Madani Madine Wale
    Meri adatein ho behtar, banu Sunnatun ka paikar
    Mujhe muttaqi banana, Madani Madine Wale
    Shaha aisa jazbah paoon, ke mai khoob seekh jaoon
    Teri Sunnatein sikhana, Madani Madine Wale
    Tere Naam par ho qurbaan, meri jaan jane jana
    Ho naseeb sar katana, Madani Madine Wale
    Teri Sunnatun par chalkar, meri rooh jab nikal kar
    Chale Tum gale lagana, Madani Madine Wale
    Hai muballigh AQA jitne, karo door unse fitne
    Buri maut say bachana, Madani Madine Wale
    Mere Ghouse ka waseela, rahe shaad sab qabeela
    Inhe khuld me basana, Madani Madine Wale
    Mere jis qadar hai ahbaab, inhe karde Shaha betaab
    Milay ishq ka khazana, Madani Madine Wale
    Meri anay wali naslein, Tere Ishq hi me machlein
    Unhe nake tum banana, Madani Madine Wale
    Milay Sunnataun ka jazbah, mere bhai choray Maula
    Sabhi Dadiyaan mu’ndhaana, Madani Madine Wale
    Mere jis qadar hai behne, Sabhi kaash burqa pehne
    Ho karam Shahe zamana, Madani Madine Wale
    Do jahaan kay khazanay, diye haath me Khuda ne
    Tera kaam hai lutana, Madani Madine Wale
    Teri gham me kaash Attar, rahe har ghadi giraftaar
    Gham e maal say bachana, Madani Madine Wale
  • Moula Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan

    Moula Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan
    A’la Habibi ka Khayril Khalqi Kullihimi
    Alhumdu Lillaahe Munshil Khalqi Min Adami
    Sum Mas Salaatu Alal Mukhtaare Fil Qadami
    Muhammadun Sayyedul Kawnaïni Wa-thaqalaïni
    Wal Fareeqaïni Min Arbiw Wa Min Ajami
    Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami
    Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami
    Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata
    Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi
    Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba’ada Ma Shahedat
    Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami
    Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin
    Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi
    Nabiyyonal Aameerun Naahi Falaa Ahadunn
    Abarra-Fi Qawli La Minhu Wa laa Na’Aami
    Huwal Habibul-Lazi Turja Shafaa’-Atuhu
    Li Kulli Hawlim-Minal Ahwaali Muqtahimi
    Da’aa Ilal Laahee Fal Mustamsi Kuna Bihi
    Mustamsi Kuna Be Habli Ghaïrinn Munfasimi
    Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin
    Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami
    Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi
    Siwa Ka Inda Hululil Hadesil Amami
    Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum
    Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami
    Summar Rida An Abi Bakrinw Wa An Umarinw
    Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami
    Faqann-Nabeeyena Fi Khalqiw-Wa Fee Khulukinn
    Wa Lam Yada Nouhou Fil Ilminw-Walaa Karami
    Faghfir Lana Shidiha Waghfir Li Qari-Iha
    Sa’Al Tukal Khaïra Ya-Zal Judi Wal Karami
    Ya Rabbi Bil Mustafa Balligh Maqasedana
    Waghfir Lana Ma Madwaya Wasi Al-Karami
  • Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

    Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate
    Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate


    Mera Yeh hai Emaan,Yeh Mera Yakeen Hai -Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen Hai
    Ke Rukh Unka Dekha Hai Jabse Qamar Ne Nikalta Hai Moo Ko Chupate Chupate


    Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar Hai – Magar Mustafa ka Jo Deewana Ho Ga
    Who Pul Pay se Guzre Ga Masroor Ho Ke – Naara Nabi Ka Lagate Lagate


    Mere Lab Pe Mola,Na Koi Sada Hai – Fakat Mujh Nikamme ki Yeh Hi Dua Hai
    Meri Saans Nikle Dar-e- Musftafa Pe – Gham-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate


    Yeh Mana ke Ek Din Aani Kaza Hai – Magar Dosto Tumse Yeh iltaja Hai
    Ke Shehr-e-Muhammad Ki Har Ek Gali Se – Jaza Uthana Ghumaate Ghumaate


    Na Kaabe Se Matlab Na Masjid ki Chahat – Fakat Dil Main Haakim Tamanna Yahi Jo Mil Jaaye Naksh-e-Kafay Paaye Ahmed -Tu Mar Jaayen Sir ko Jhukate Jhukate
  • Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain

    Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
    Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain


    Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain
    Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain


    Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai
    Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain


    Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali
    Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain


    Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain
    Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain


    Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein
    Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain


    Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar
    Yeh Sach Hai Niyazi, Hum Sarkar Ka Khate Hain
  • Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa

    Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
    Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
    Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
    Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
    Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
    Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
    Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
    Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
    Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
    Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
    Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
    Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
    Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
    Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
    Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
    Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
    Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
  • Zikr – E – Kherulwara

    Zikr e kherulwara bay khatar kijiay
    Haan yahi kaam shaam o sahar kijiay
    Chaahtay ho jo barsay karam ki ghattaa
    Aap kay ghar bhi a-ayn habeeb e khuda
    Naat say roashni apnay ghar kijiay
    Gham milay ya kay haasil ho koii khushi
    Lab pay jaari rahay ya nabi ya nabi
    Iss taraah zindgaani basar kijiay
    Har taraf say ghulaamon ki he yay sadaa
    Almadad mustafa almadad mustafa
    Sadqa hasnein ka ik nazar kijiay
    Zindagi mayn hazaron safar kar liay
    Dil nay chaaha na chaaha magar kar liay
    Ab dar e mustafa ka safar kijiay
    Chaahtay ho jo barsay karam ki gahattaa
    Lab pay jaari rahay mustafa mustafa
    Iss taraah zindgaani basar kijiay
    Laakhon tufaan heyn laykin kinara nahiin
    Or naasir ka koii sahara nahiin
    Ik nazar ik nazar ik nazar kijiay