Category: Other Naat Shareef

  • Zameen maili nahi hoti

    Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
    Muhammad 
    صلی اللہ علیہ وسلم kay gulamon ka kafan maila nahi hota.

    Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
    Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

    Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
    Nabi 
    صلی اللہ علیہ وسلم ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

    Jo Naam-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
    Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

    Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
    Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

    Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
    Sana-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم karne se fan maila nahi hota.
  • Shahe Kounain Jalwa Numa Ho Gaya

    Shahe Kounain Jalwa Numa Ho Gaya
    Rang A’alam Ka Bilkul Naya Ho Gaya


    Muntakhib Aapki Zaate Waala Hui
    Naam E Paak Aapka Mustafa Ho Gaya


    Mil Gaya Tujhse ALLAH Ka Raasta
    HAQ Se Milne Ka Tu Waasta Ho Gaya


    Aisa Aizaaz Kisko Khuda Ne Diya
    Jaisa Baala Tera Martaba Ho Gaya


    Aisi Nafiz Tumhari Hukumat Hui
    Tumne Jis Waqt Jo Kuch Kaha Ho Gaya


    Maah Paara Hua Suraj Ulta Phira
    Jab Ishara Tumhara Zara Ho Gaya


    Tere Hi Noor Se Dono A’alam Bane
    Tu Hi To Ibtida Intaha Ho Gaya


    Usne WALLAH ALLAH Ko Paa Liye
    Jo Koi Tujhpe Dil Se Fida Ho Gaya


    Naam Tera Dame Naz’a Jisne Liya
    Uska Imaan Par Khaatma Ho Gaya


    Ilme Gaibe Nabi Ka Jo Munkir Hua
    Kehre Kahhar Me Mubtila Ho Gaya


    Dekh Aayi Na Najdi Ke Touheen Se
    Tera Chehra To Ulta Tawa Ho Gaya


    Naaz Kar Ay Jameel Apni Qismat Par Tu
    Khaaq E Nalain E Ahmed Raza Ho Gaya
  • Huzoor Aaisa Koi Intizam Ho Jaye

    Huzoor aisa koi intizam ho jaye,
    Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye.
    Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye,
    Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jaye.
    Main shad shad maroon ga, agar dameakhir,
    Naseeb jalwa e kahirul anam ho jaye.
    Fuzool goi say bach jaye yeh zaban meri,
    Mera kalam Durood-o-Salaam ho jaye.
    Pia Raza ne pia jo murshid nay,
    Ataa mujhe shaha aisa jaam ho jaye.
    Shaha Ubaid-e-Raza dar badar phiray kab tak,
    Huzoor is ka Madinah maqam ho jaye.
    Ubaid mar kay Madinah mein paa chuka hai baqi,
    Khabar watan mein kabhi to yeh aam ho jaye.
  • Kaliya Zulfo Wala

    Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara
    Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
    Dassan ki main Mustafa di kaydi sohnii shaan hai
    Aap di tareef which sara hee Qur’an hai,
    Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Eyda sohna Nabi koi duniya tay aaya nahin
    Yaar ey ho jiyaa koyi Rab nay banaya naheen,
    Deed meray Nabi di hai Rab da nazaara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Denday nay gawahi zaray zaray koay toor day
    Wekhday naseeban walay jalway Hazoor day,
    Aamina da chan tay Halima da dhulara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Kar kay ishara sohna suraj noon morda
    Aapay chaan torda tay aapay chan jorda,
    Bigari banaway meray Nabi da ishaara
    Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
    Kehndi aye Heleema mukh wekh lajpal da
    Lab kay leyawaan kithoon sohna teray naal da,
    Aamina da chan tay Halima da dhulara
    Chohdween da chaand tay arshaan da tara
  • Chor Fikr Duniya Ki


    Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
    Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

    Rehmato Ke Badal Ke Saaye Saath Chalte Hain
    Mustafa Ke Deewane, Ghar Se Jab Nikalte Hain

    Humko Roz Milta Hain Sadqa Pyare Aaqa Ka
    Unke Dar Ke Tukdo Par Khush Naseeb Palte Hain

    Aamena Ke Pyare Ka, Sabz Gumbad Waale Ka
    Jashn Hum Manate Jalne Waale Jalte Hain

    Sirf Saari Duniya Me, Wo Taibah Ki Galiya(n) Hain
    Jis Jagah Pe Hum Jaise, Khote Sikke Chalte Hain


    Sach Hain Gair Ka Ehsaan, Wo Kabhi Nahi Lete
    Ay Aleem Aaqa Ke Jo Tukdo Pe Palte Hain
  • Tera Khawan Me Tere Geet Gawa Ya Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم

    Tera khawan main Tere geet gawan, Ya Rasoolallah
    Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya Rasolallah.
    Halima kar qadi vekhay, kadi Sarkaar (SAW) nu wakhay,
    Main keri sayj Tere lai sajawan, Ya Rasoolallah.

    Mera dil vi aie chahnda aey, Tusi merey we ghar aao,
    Par mein kerey maan thi tainu bulaanwaan, Ya Rasoolallah.
    Jagaao bhaag merey vi Abu Ayyub dey vangoon,
    Muqaddar os da kithon liyawan, Ya Rasoolallah.
    Mayn kujh vi nai jay Teray naal meri koi nisbat nahin,
    Mayn sab kuch haan je mayn Tera sadaawan, Ya Rasoolallah
    Suna hai Aap har ashiq kay ghar tashreef latay hain,
    Meray ghar mein bhi ho jaye charaghan, Ya Rasulallah.
    Madinay paak day under meri ayho eibadar hai,
    Teray rozay toon na nazran hatawaan, Ya Rasulallah.
  • Qasida Burdah Shareef

    Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
    Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi

    Da-aa illallahi fal-mustamsikuna bihi
    Mustamsykuna bihablin ghairi munfasam.

    Muhammadun Sayyidul Kawnayni Wa-Thaqalain
    Wal-Fareeqaini Min Urbin Wa Min-Ajami.

    Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
    Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami

    Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
    Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami

  • Main Madine Chala

    Main madinay chala, mein Madinay chala,
    Phir karam ho gaya main Madinay chala.
    Kaif sa cha gaya main madinay chala,
    Jhoomta jhoomta main madinay chala.
    Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
    Chahiye aur kya main Madine chala.
    Mere Gande Qadam Aur Unka Haram
    Laaj Rakhna Khuda Main Maine Chala
    Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,
    Kya suroor aega main Madinay chala.
    Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,
    Paye ga dil jila, main Madinay chala.
    Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,
    Larkharaata hua main madinay chala.
    Mere Siddique Umar ho salam aap par,
    Aur rehmat sadaa main Madinay chala.
    Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,
    Mere hamza piya main Madinay chala.
    Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar,
    Ab tou dai dai Khuda main Madinay chala.
    Saaqia mai pila main madinay chala,
    Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.
    Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,
    Daikho daikho zarra main Madinay chala.
    Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,
    Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.
    Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher,
    Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.
    Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,
    Woh talab se siwa main Madinay chala.
    Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,
    Bakhswanay chala main Madinay chala.
    Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,
    Mere Madani Zia main Madinay chala.
    Un k minaar par jab paray gi nazar,
    Kya saroor aega main Madinay chala.
    Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,
    Kya saroor aega main Madinay chala.
    Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,
    Jab chalay qaafila main Madinay chala.
    Kya karega idher baandh rakht-e-safar,
    Chal obaid-e-raza main Madinay chala.
    Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza,
    Soch tou kuch zarra main Madinay chala.
    Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya,
    Qaafia yeh mila main Madinay chala.
    Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain,
    Chal
     Obaid-e-Raza main Madinay chala.
  • Faslon ko takalluf hai hum se agar

    Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
    Hum Bhi Bebas Nahin Be-sahara Nahi
    Khud Unhi Ko Pukarengey Hum Duur Se
    Raaste Mein Agar Paon Thak Jayengay
     
    Hum Madine Mein Tanha Nikal Jayengey
    Aur Galiyon Mein Kas Dan Bhatak Jayengey
    Hum Wahan Jakey Wapas Nahin Ayengay
    Dhoondhte Dhoondhte Loog Thak Jayengey
     
    Jaise Hi Sabz Gumbad Nazar Ayega
    Bandagi Ka Kareena Badal Jayega
    Sar Jhukane Ki Fursat Milegi Kisey
    Khud Hi Palkon Se Sajdey Tapak Jayengey
     
    Naam E Aaqa Jahan Bhi Liya Jayega
    Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega
    Noor Hi Noor Seeno Mein Bhar Jayega
    Sari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayegey
     
    Aie Madinay Kay Za-ir Khuda Ke Liye
    Dastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna
    Baat Barh Jayegi Dil Tarap Jayega
    Meray Mohtat Ansoo Chalak Jayegay
     
    Unki Chashme Karam Ko Hai Iski Khabar
    Kis Musafir Ko Hai Kitna Shaukey Safar
    Humko Iqbal Jab Bhi Ijazat Mili
    Hum Bhi Aaqa Kay Darbar Tak Jayegeney