Wahi Rab Hain Jisne Tujhko




Wahi Rab Hain Jisne Tujhko Hama’atan Karaam Banaya,
Hume Bheekh Maangne Ko, Tera Aastaa(n) Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya 


Tumhi Haakim-E-Baraaya, Tunmhi Qasim-E-Ataaya
Tumhi Dafae’e Balaya Tumhi Shafae’e Khataya
Koyi Tumsa Kaun Aaya 


Woh Kanwari Paak Maryam, Woh Nafakhto Feehe Kaadam
Hain Ajab Nishaan-E-Aazam, Magar Aamena Ka Jaaya
Wohi Sabse Afzal Aaya 


Yahi Bole Sidra Waale, Chaman-E-Jahan Ke Thaale
Sabhi Maine Chaan Daale Tere Paaye Ka Naa Paaya
Tujhe Yakne Yak banaya 


Arey Ae Khuda Ke Bandon, Koi Mere Dil Ko Dhundho,
Mere Paas Tha Abhi To, Abhi Kya Hua Khudaya
Na Koi Gaya Na Aaya


Humko Ay Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Darr-E-Rouze Ke Muqabil Woh Hame Nazar To Aaya
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya

Comments

29 responses to “Wahi Rab Hain Jisne Tujhko”

  1. Mohammed noor ashrafi Avatar
    Mohammed noor ashrafi

    Subhanallah -mohammed noor ashrafi

  2. Unknown Avatar

    SubhaanAllah!Maslak-e-Ahle Sunnat,Maslak-e-AalaaHazrat Zindabaad!

  3. Unknown Avatar

    Masha allah bht khubsoorat

  4. Unknown Avatar

    Bhut khubsurat

  5. Unknown Avatar

    Ishq muhabbat, ishq muhabbat
    ALA HAZARAT, ALA HAZARAT…

  6. Unknown Avatar

    Masha Allah, subhan Allah

  7. Unknown Avatar

    MA Sha ALLAH
    Subhan ALLAH

  8. Unknown Avatar

    MA SHA ALLAH Subhan ALLAH

  9. Unknown Avatar

    soul touching…..un-speakable

  10. Unknown Avatar

    Subhan allah ……………heart 💓 touching if we listen this by Janab qari Asad Iqbal saab…….

  11. Unknown Avatar

    Daal di Qalb mein azmate Mustafa Sayyedi Ala Hazarat pe lakhon salaam ❤

  12. Unknown Avatar

    Kalam ho aalaa hazrat ka aur awais qadri ho parhny waly to Subhanalalh

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *