Blog

  • Tajalli E Noor e Kidam Ghous E Aazam

    Tajalli E Noor e Kidam Ghous E Aazam
    Ziya E Sirajuz Zulam Ghous E Aazam

    Tera Hil Hai Tera Haram Ghous E Aazam
    Arab Tera! Tera Ajam Ghous E Aazam

    Wo Ik Vaar Ka Bhi Na Hoga Tumhare
    Kaha Hai Mukhalif Me Damm Ghous E Aazam

    Tere Hote Hum Par Sitam Dhaye Dushman
    Sitam Hai Sitam Hai Sitam Ghous E Aazam

    Badhe Housle Dushmano Ke Ghata De
    Zara Le Le Teghe Do Dam Ghous E Aazam

    Nahi Laata Khatir Me Shaho Ko Shaha
    Tera Banda E Be-Diram Ghous E Aazam

    Karam Chahiye Tera Tere Khuda Ka
    Karam Ghouse Aazam Karam Ghous E Aazam

    Karo Pani Ghumn ko Bahaa Do A’alam Ko
    Ghataye Badhi Ho Karam Ghous E Aazam

    Nazar Aaye Mujhko Na Surat Alam Ki
    Na Dekhu Kabhi Ru-e Ghum Ghous E Aazam

    Kuch Aisa Guma De Muhabbat Me Apni
    Ke Khud Keh Uthu Me Manam Ghous E Aazam

    Khuda Rakhe Tumko Hamare Saro Par
    Hai Bas Ik Tumhara Hi Dam Ghous E Aazam

    Dam-e-Naz’a Sirane Aajao Pyare
    Tumhe Dekh Kar Nikle Dam Ghous E Aazam

    Dam-e-Naz’a Aao Ke Dam Aaye Dam Me
    Karo Humpe Yaseen Dum Ghous E Aazam

    Ye Dil Ye Jigar Hai Ye Aankhe Ye Sar Hai
    Jaha Chaho Rakhdo Qadam Ghous E Aazam

    Tumhari Mahak Se Gali Kuche Mahke
    Hai Baghdaad Rashke Iram Ghous E Aazam

    Na Palla Ho Halka Hamara Na Hum Ho
    Na Bigde Hamara Bharam Ghous E Aazam

    Tumhare Karam Ka Hai Noori Bhi Pyasa
    Mile Yum Se Isko Bhi Nam Ghous E Aazam
  • Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya

    Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya
    Dil Tha Sajid Najdiya Phir Tujhko Kya



    Baith-te Uth-te Madad Ke Waaste
    YA RASOOLALLAH صلی اللہ علیہ وسلم Kaha Phir Tujhko Kya



    Ya Garaz Se Choot Ke Mahje Zikr Ko
    Naam E Paak Unka Japa Phir Tujhko Kya


    Bekhudi Me Sajda E Darr Ya Tawaaf
    Jo Kiya Achha Kiya Phir Tujhko Kya


    Unko Tamlee Ke Malikul Mulq Se
    Maalik E A’alam Kaha Phir Tujhko Kya


    Unke Naam E Paak Par Dil Jaano Maal
    Najdiya Sab T(a)j diya Phir Tujhko Kya


    Ya Ibadi Kehke Humko Shah Ne
    Apna Banda Kar Liya Phir Tujhko Kya


    Dev Ke Bando Se Kab Hai Ye Khitaab
    Tu Na Unka Hai Na Tha Phir Tujhko Kya



    La Ya’udun Aage Hoga Bhi Nahi
    Tu Alag Hai Daaima Phir Tujhko Kya


    Dashte Gardo Peshe Taiba Ka Adab
    Makka Sa Tha Ya Siwa Phir Tujhko Kya


    Najdi Marta Hai Ke Kyu Ta’azeem Ki
    Ye Hamara Deen Tha Phir Tujhko Kya


    Dev Tujhse Khush Hai Phir Hum Kya Kare
    Humse Hai Raazi Khuda Phir Tujhko Kya


    Dev Ke Bando Se Humko Kya Garaz
    Hum Hai Abad E Mustafa Phir Tujhko Kya


    Teri Dohzakh Se To Kuch Cheena Nahi
    Khuld Me Pohcha Raza Phir Tujhko Kya

    Audio Credit: thesunniway.com

  • Utha Do Parda Dikha Do Chehra

    Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

    Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

    Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
    Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

    Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
    Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

    Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
    Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

    Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
    Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A’ada Ka Daab Me Hai

    Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
    Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

    Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
    Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

    Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
    Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

    Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
    Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

    Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
    Bacha Lo Aa Kar Shafe’e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

    Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
    Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

    Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
    Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

    Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
    Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai
  • Aaj Ashq Mere Na’at sunaye to ajab kya

    Aaj Ashq Mere Na’at sunaye to ajab kya
    Sun kar wo mujhe pas bulaye to ajab kya

    Un par to gunahgar ka sab hal khula hai
    Us par bhi wo Daman main chhupaye to ajab kya

    Munh dhanp ke Rakhna ke Gunahgar bahut hu
    Mayyat ko Meri Dekhne aye to ajab kya

    Didar ke qabil to nahi chasme tamnna
    Lekin wo kabhi khawab main aye to ajab kya

    Ne zad safar hai na koi kam bhale hai
    Phir bhi mujhe Sarkar bulaye to ajab kya

    Hasil jinhain Aqa ki ghulami ka saraf hai
    Thokar se wo murdo ko jilaye to ajab kya

    Wo Husne do ‘Aalam hai Adib unke qadam se
    Sehra main agar phool khil aye to ajab kya

    Az:-Janab Adibsahab Raipuri
  • Kis Chiz ki Kami hai Maula teri Gali main

    Kis Chiz ki Kami hai Maula teri Gali main
    Duniya Teri Gali main uqba Teri Gali main

    Diwangi pe meri Haste hai aqalwale
    Rasta teri gali ka puchha Teri gali main

    Diwana kar diya hai Diwana ho gaya hu
    Dekha hai Maine Aisa jalwa Teri gali main

    Mauto Hayat Meri Dono Tere liye hai
    Marna Teri gali main Jina teri gali main


    Kis Tarah pao Rakhe YaSahibe Bashirat
    Aankhe bichi huwi hai "Har" jaa teri gali main

    Suraj Tajallio ka har dam chamak Raha hai Dekha nahi kisi Din Saya Teri gali main Amjad ko Aaj tak ham Adna samajh rahe the Lekin Maqam uska paya teri gali main

  • Raah pur khaar hai kya hona hai

    Raah pur khaar hai kya hona hai
    Paa(n)v afgaar hai kya hona hai


    Khushk hai khoon ki dushman zalim
    Sakht khunkhaar hai kya hona hai


    Humko bid kar wahi karna jis se
    Dost bezaar hai kya hona hai


    Tan ki aab kaun khabar le he-hai
    Dil ka aazaar hai kya hona hai


    Meethe sharbat de maseeha jab bhi
    Zid hai inkaar hai kya hona hai


    Dil ki teemar hamara karta
    Aap bimaar hai kya hona hai


    Par kate, tang kafas aur bulbul
    Nou-giraftaar hai kya hona hai


    Chup ke logo(n) se kiye jiske gunah
    Woh khabardaar hai kya hona hai


    Are O mujhrim e be-parwah dekh
    Sar pe talwaar hai kya hona hai


    Tere bimaar ko mere isaa
    Gash lagatar hai kya hona hai


    Nafse puzor ka wo zor aur dil
    Zer hai zaar hai kya hona hai


    Kaam zinda ke kiye aur hame
    Shouke gulzaar hai kya hona hai


    Haye re neend musafir teri
    Kooch taiyar hai kya hona hai


    Duur jaana hai raha din thoda
    Rah dushwaar hai kya hona hai


    Ghar bhi jaana hai musafir ki nahi
    Mat pe kya maar hai kya hona hai


    Jaan halkaan hui jaati hai
    Baar sa baar hai kya hona hai


    Paar jaana hai nahi milti naav
    Zor par dhaar hai kya hona hai


    Raah to taigh par aur talwo(n) ko
    Gila-e khaar hai kya hona hai


    Roushni ki hame aadat aur ghar
    Teera-wo taar hai kya hona hai


    Beech me aag ka dariya ha-il
    Qasd us paar hai kya hona hai


    Iss kadee dhoop ko kyu kar jhele
    Shola jan naar hai kya hona hai


    Haye bigdi tu kaha aakar naav
    Ayn e manj-dhaar hai kya hona hai


    Kal to deedar ka din aur yaha
    Aankh bekaar hai kya hona hai


    Muh dikhane ka nahi aur sahar
    Aam darbaar hai kya hona hai


    Unko raham aaye to aaye warna
    Woh kadi maray kya hona hai


    Le wo haakim ke sipahi aaye
    Subhe izhaar hai kya hona hai


    Wa(n) nahi baat banane ki majaal
    Chaara iqraar hai kya hona hai


    Saath walo ne yahi chor diya
    Bekasi yaar hai kya hona hai


    Aakhri deed hai aao mil le
    Rang bekaar hai kya hona hai


    Dil hame tumse lagana hi na tha
    Ab safar baar hai kya hona hai


    Jaane walo pe ye rona kaisa?
    Banda nachaar hai kya hona hai


    Naz’A me dhyan na batt jaye kahi
    Ye abas pyar hai kya hona hai


    Iska ghum hai ki har ek ki soorat
    Gale ka haar hai kya hona hai


    Baatein kuch aur bhi tumse karte
    Par kaha vaar hai kya hona hai


    Kyu Raza kudhte ho haste uththo
    Jab wo ghaffar hai kya hona hai


    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool

    Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
    Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool


    Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
    Iss guncha e dil ko bhi to imaa ho ki ban phool


    Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
    Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool


    WALLAH jo mil jaye mere ghul ka paseena
    Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool


    Dil-basta wa khu-gashta na khusbu na latafat
    Kyo guncha kahu hai mere AAQA ka dehan phool


    Shab yaad thi kin daanto ki shabnam ki dam e subh(a)
    Shokhane bahari ke jada-u hai kiran phool


    Dandaan o lab o zulf o rukhe shah ke fidayi
    Hai durre adan la’ale yaman mushke khotan phool


    Bu hoke nahi ho gaye taabe rukhe shah me
    Lo ban gaye hai ab to haseeno ka dahan phool


    Ho baare gunah se na khazil doshe azeeza(n)
    Lillah meri na’ash kar aaye jane chaman phool


    Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun e paa ka
    Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool


    Dil khol ke khu ro le game aarize shah me
    Nikle to kahi hasrat e khu-naaba shudan phool


    Kya gaaza mala garde madeena ka jo hai aaj
    Nikhre hue joban me qiyamat ki phaban phool


    Garmi ye qiyamat hai ki kaante hai zabaa(n) par
    Bulbul ko bhi ay saaqi e sahba wa laban phool


    Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
    Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool


    Dil ghum tujhe ghere hai khuda tujhko wo chamkaye
    Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool


    Kya baat Raza us chamanistaan e karam ki
    Zahra hai kali jisme husain aur hasan phool

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Mere aaqa ki hai shaan sabse alag

    Mere aaqa ki hai shaan sabse alag
    Jaise rutbe me qur’an sabse alag
    Shaane khairul basher khatamul ambiya
    Ik payambar ik insaan sabse alag
    Shafqate be-sabab rehmate be-talab
    unki bakshish ka unwaan sabse alag
    Arsh qadmo me payvand poshak me
    Hai do aalam ke sultaan sabse alag
    Unko dekha nahi fir bhi pehchan le
    Meri aankho ka imaan sabse alag
    Unke darr ke gada sar pe taaje ana
    Hum faqeero ki pehchan sabse alag
    Naat kehte hai dil ki zameeno me hum
    Shayar apna hai maidan sabse alag

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me

    Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
    Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me



    Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me
    Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me

    Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
    Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me


    Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe
    Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me

    Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke
    Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me


    Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye
    Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me

    Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
    Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me


    Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz
    Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me

    Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
    Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me


    Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye
    Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me

    Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
    Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me


    Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho
    Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me

    Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he
    Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me


    Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
    Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me 



    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Mustafa Khairul Wara Ho

    Mustafa Khairul Wara Ho
    Sarware Har Do Sara Ho


    Apne Achho Ka Tasadduq

    Hum Bado(n) Ko Bhi Niba Ho


    Kiske Fir Ho Kar Rahe Hum
    Gar Tumhi Humko Na Chaho

    Badd Ha(n)se Tum Unki Khaatir
    Raat Bhar Rouo  Karaho



    Badd Kare Har dam Burayi
    Tum Kaho Unka Bhala Ho

    Hum Wahi Nashusta Ru Hai
    Tum Wahi Bahre Ataa Ho



    Hum Wahi Shayane Rad Hai
    Tum Wahi Shaan E Sakhaa Ho

    Hum Wahi Be Sharmo Badd Hai
    Tum Wahi Kaan E Haya Ho



    Hum Wahi Nange Zafa Hai
    Tum Wahi Jaan E Wafa Ho


    Hum Wahi Kabil Saz Ke
    Tum Wahi Rehme Khuda Ho

    Charkh Badle Dahar Badle
    Tum Badalne Se Wara Ho

    Ab Hume Ho Sahw Hasha
    Aisi Bhulo Se Juda Ho



    Umr Bhar To Yaad Rakha
    Waqt Par Kyu Bhulna Ho

    Waqte Paidaish Na Bhule
    Qaif Yansa Kyo Kaza Ho



    Ye Bhi Maula Arz Kar Du
    Bhul Agar Jaao To Kya Ho

    Wo Ho Jo Tum Par Gira(n) Hai
    Wo Ho Jo Hargiz Na Chaho



    Wo Ho Jiska Naam Lete
    Dushmano Ka Dil Bura Ho

    Wo Ho Jiske Radd Ki Khaatir
    Raat Din Wakf E Dua Ho



    Mar Mite Barbaad Bande
    Khana Aabad Aagh Ka Ho

    Shaad Ho ibleese Mal-u(n)
    Ghum Kise Is Kahar Ka Ho



    Tumko Wo WALLAH Tum Ko
    Jaan O Dil Tum Par Fida Ho

    Tumko Ghum Se Haq Bachaye
    Ghum Adu Ko Jaa(n) Guza Ho



    Tumse Ghum Ko Kya Ta’alluk
    Be-kaso Ke Ghumzuda Ho

    Haq Durude Tum Pe Bheje
    Tum Mudaam Usko Saraho



    Wo Ataa De Tum Ataa Lo
    Wo Wahi Chahe Jo Chaho

    Bar Tu Uu Paashad Tu Bar Ma
    Ta Abad Ye Silsila Ho



    Kyu Raza Mushkil Se Dariye
    Jab Nabi Mushkil Kusha Ho