Blog

  • Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai

    Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai, Shar-he Wash-shamso Zuha Karte Hai
    Unki Hum Madd-ho Sana Karte Hai, Jinko Mahmood Kaha Karte Hai


    Maahe Shak Gashta Ki Soorat Dekho, Kaap Kar Mehr Ki Raj’at Dekho
    Mustafa Pyare Ki Qudrat Dekho, Kaise Ayjaz Hua  Karte Hai 


    Tu Hai Khursheed E Risalat Pyare, Chup Gaye Teri Ziya Me Taare
    Ambiya Aur Hai Sab Mah-Paare, Tujhse Hi Noor Liya Karte Hai


    Ay Balaa Be Khirdi-E Kuffar Rakhte Hai Aise Ke Haq Se Inkaar
    Ki Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaa(n) Bol Utha Karte Hai


    Apne Maula Ki Hai Bas Shaan E Azeem, Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta’azeem
    Sang Karte Hai Adab Se Tasleem, Ped Sajde Me Gira Karte Hai


    Rif’ate Zikr Hai Tera Hissa, Dono A’alam Me Hai Tera Charcha
    Murge Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madho Sana 
    Karte Hai



    Ungliya Paayi Wo Pyari-Pyari, Jinse Dariya E Karam Hai Jaari
    Josh Par Aati Hai Jab Gamkhwari, Tishne Sairaab Hua Karte Hai


    Haa Yahi Karti Hai Chidiya(n) Fariyaad, Haa Yahi Chahti Hai Hirni Daad
    Isi Darr Par Shutrane-Naashaad Gil-E Ranjo Ana Karte Hai


    Aasti Rehmat E A’alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
    Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hai


    Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya(n) Yaksar
    Phool Jaama Se Nikal Kar Baahar Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hai


    Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa(n) Ki Malak Haft Falak Ke  Har Aa(n)
    Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa(n) Teri Daulat Ki Dua Karte Hai


    Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n) Ma’adane Noor Hai Uska Damaa(n)
    Hum Bhi Us Chand Pe Ho Kar Qurbaa(n) Dil E Sangi Ki Jila Karte Hai


    Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
    Malako Jinno Bashar Huuro Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hai



    Toot Padti Hai Balaye Jin Par, Jinko Milta Nahi Koi Yaavar
    Har Taraf Se Wo Pur Armaa(n) Fir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Hai


    Lab Par Aa Jaata Hai Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hai Shahde Nayab
    Wajd Me Ho Ke Hum Ay Ja(n) Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hai


    Lab Pe Kis Muh Se Ghum E Ulfat Laye(n) Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Sunaye
    Hum To Unke Kafe Paa Par Mitt Jaye Unke Darr Par Jo Mita Karte Hai


    Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
    Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam Chara-E Dard E Raza Karte Hai
  • Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka (with Audio)

    Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka
    Jal Raha Tha Jala Hai Jalega
    Maslak E Aala Hazrat Ka Naara
    Lag Raha Hai Hamesha Lagega

    Bughzo Keena Ka Chashma Laga Kar
    Najdiyo Ne Likha Jo Chupa Kar
    Aam Hazrat Se To Chup Gaya Hai
    Aala Hazrat Se Kaise Chupega

    Baadaza Jiski Duniya Me Shohrat
    Hai Raza Ka Salaam E Muhabbat
    Marhaba Mustafa Jaan E Rehmat
    Jhoom Kar Unka Aashq Padhega

    Wo Raza Ka Gharana Hai Pyare,
    Ilm Ka Kaarkhana Hai Pyare
    Unke Taksaal Me Jo Dhalega
    Ilm Ka Ik Himala Banega

    Mustafa Ki Inayat Se Pyare
    Ghouse Azam Ki Barkat Se Pyare
    Ahle Sunnat Ke Baazar Me Ab
    Aala Hazrat Ka Sikka Chalega

    Ishq E Ahmed Ka Mafhoom Kya Hai,
    Najdiyo Tumko Ma’alum Kya Hai
    Aala Hazrat Ke Paykar Me Dekho
    Ishq E Ahmed Ka Jalwa Milega

    Ghous O Khwaja Ki Beshaq Ataa Hai
    Hind Me Ek Ahmed Raza Hai
    Ahle Sunnat Ka Jo Muqtada Hai
    Wo Bareily Me Tumko Milega

    Wo Raza Ke Chaman Ka Sitara,
    Ahle Sunnat Ke Dil Ka Ujala
    Akhtar E Qadri Sabke Dil Par,
    Raaj Karta Hai Karta Rahega

    Haath Malte Rahe Malne Waale
    Laakh Jalte Rahe Jalne Waale
    Ghousa Khwaja Ke Lutfo Karam Se
    Aala Hazrat Ka Danka Bajega

    Naam Le Le Ke Ahmed Raza Ka
    Apna Ullu Jo Seedha Kare Hai
    Paadri Saatri Ye Bata Den
    Kab Talak Tera Dhanda Chalega

    Saade Saade Ye Jangli Kabootar
    Aajkal Fadfadane Lage Hai
    Aala Hazrat Ki Kheechi Ko Lekar
    Inke Par Ko Kutarna Padega

    Taaye Taaye Ki Aawaaz Se Jo
    Shor Halla Machaye Hue Hai
    Maslak E Aala Hazrat Ke Pinjre
    Me Inhe Band Karna Padega

    Doodh Maangoge Hum Kheer Denge
    Warna Baaghi Ko Hum Cheer Denge
    Razviyo Se Na Le Koi Panga
    Warna Hasmat Ka Danda Padega

  • Rehbar o Taaj e Shariat Hai Aaaj Bhi

    Rehbar o Taaj e Shariat Hai Aaaj Bhi, 
    MoHsin-e-Kul AhleSunnat Hai Aaaj Bhi. 


    Jo Bolte Hai Aap-Ke Khilaf Aaj Bhi, 
    Sab Fatwo Se Bhari Hai Fatwa Aaj Bhi. 

    Or Se Khilafat Aa-sani Se Milti Hai Aaj Bhi,
    ilm Walo ko Ba-Mushkil se-mil-ti hai Khilfat Aaj bhi.

    Jo iIm Se Gumrah Karte Hai Sunni Ko Aaj bhi,
    Us Pe Farooq E Azam Ki Tarah Barste-hai Aaj bhi

    Sunni Markaz Bohat Hai Aaj bhi, 
    Har Fitne Se Rouke ” Markazi Darul Ifta Bareilly” Aaj bhi

    Aa JaYe Munazra Karne Aaj bhi,
    Akhtar K Khlifa Akhtar Kafi Hai Aaj bhi.
     

    Charo Taraf Failay Deen Ke Dushman Aaj bhi,
    Qadri – Parcham Ley Tanha Lad Raha Akhtar Raza Aaj bhi.

    Sarkar Ghous-ul-Azam Ke Nayab Aala Hazrat Hai Aaj bhi,
    Aala Hazrat Ke Nayab Hai Mufti Akhtar Raza Aaj bhi,

    Jo Azad Khyal Ke Hai Aaj bhi,
    Us Ko Tang Lagti Hai Haq Bat Aaj bhai.

    Jismani Bimari Me Kamyab Doctor Se ilaj Kar Aaj bhi
    Bimar Nafs Ka Kamyab Mufti Se ilaj Kar Aaj bhi..

    Jis ke ilm me Bahekte Hai qadam Aaj bhi,
    Wo Thaam Le Taaj e Sharia Ka Daman Aaj bhi.

    Lakab Too Sabko Mil Jate He Aaj bhi,
    Alim-E Ba Amal Ko Mile,Taaj e Sharia Laqb Aaj bhi

    Tujh Ko Talash Hai Kamil Pir Ki Aaj bhai,
    Gulshan-e-Razavi ki Zeenat Hai Aaj bhi.

    Deedar Kar Le Unka Aaj bhi,
    Aisa Noorani chehre wala kam Milta Hai Aaj bhi

    Jo Padhta Hai ”Jamiat-ur-Raza” May Aaj bhi,
    Maslak e alahazrat ke paband Hai Aaj bhi

    Taaj e Sharia Se Jise Faiz Hasil Hai Aaj bhi,
    Wo Har Fitne Se Bachta Hai Aaj bhi,

    Jinko Kadvi Lagti Hai Baat Aaj bhi,
    Haq Pe Hai, Haq Sir Chad Ke Bolta Hai Aaj bhi.

    Sarhad Ki Hifazat Me Lad Rahe Mujahid Aaj bhi,
    Sunni Ki Mufafiz May Lad Raha Mufi Akhtar Raza Aaj bhi.

    Khankah Walo Ne Zouqo Tahir Ke ilm Se Aaj bhi,
    Kafi Hai Bareliy Ka Sher in Sab Ko Aaj bhi.

    Hai Tujhko A’sahar Ki Samaz Aaj bhi,
    Padh “Safin-e-Bakshish” Aashiq-e-Maah-e-Risalat Hai Aaj bhi.



    Sab Likh Tai Hai Urdu May ‘Asahar Aaj Bhi,
    Wo Arbi-Urdu-Farsi-English May Likhte Hai Aaj bhi,

    Ulma Padhte Hai Bukhari Aaj bhi,
    Arbi May Hashiyat ul Bukhari Tajus Shariah Likhe Ulma Padhe Aaj bhi.

    Khaleelullah Sayyiduna Nabi Ibra’him Ishaq Ya’qoob Se,
    Aale Nabi Ki Zeenat hain Aaj bhi.

    Sayyiduna Qais Malik ‘Abdur-Rashid Sahabi Se Hai,
    Sahabi Se Hai Unko Nisbat Hai Aaj bhi.



    Makka May Alag Jamat Se Namaz Padhte Hai Aaj bhi,
    Najdi Hairaa(n) Hai,Kaise Rouke Es Mard-e-Mujaahid Ko Aaj bhi.

    Saudi Hukumat Le Gaye Jail May Najdi Pastaye-Aaj bhi,
    Umarah Ke Liye Bulana Pada Najdi Gabhraye Aaj bhi



    Hathkadi May Ley Gaye Airport, Nazdi Zalim Hai Aaj bhi.,
    Zohar Padh’ne Na Di Kaza Ka Gunah Saudi Hukumat Pe Hai Aaj bhi.

    Hukumat Ne Madina Jane Na Diya, Jal Raha Najdi Aaj bhi
    Har Saal Aqaa Madina Bula Rahe Dekh Kar Jal Raha Najdi Aaj bhi.



    Hai Najdi Hukumat Ko, Un-se Darr Aaj bhi,
    Na Rooke Koi Wo Tanha nahi, Duniya May Croro(n) Mureed Hai Aaj bhi

    Hai Mureed Ban-ne Wale, Ye Elan Ho Tai Hai Aaj bhi,
    Dekh-Le Doad Raha Hai Mureed Ban-ne, Jis Tarf Chal Diye Aaj bhi.

    Mufi E Azam K qoul Pe Khade Hai, Tanha Aaj bhi,
    Bin Photo Gaye thai Hajj Ko, Mureed Jan-te Nahi Hai ? Aaj bhi.

    Pani Ko Jis Tarh Rook Rakha Hai Dams Ne Aaj bhi,
    TV Or Photo Ki Bimari Se-Rook Rakha Hai Aaj bhi,

    Koun -Todega Dams Ko Kis May Hai Damm Aaj bhi,
    Azharimiya Ke Sang, Syed Noori Miya Hai Aaj bhi.

    Apne Peer Koo Sab Bada Kahe Aaj bhi,
    Misr Ke Ulama Akhtar Raza Ko Wali Kahe Aaj bhi.

    Talab May Rehkar Na bat Kar Taaj e Sharia Ki Aaj bhi
    Way ilm Ka Samndar Hai Mufi-e Hind Hai Aaj bhai

    Jawan University Padh Tai Hai Aaj bhi…,
    Sab Se Avval Rahe,Aisa Padha Nahi, Azhar University Me Aaj bhi.

    Saccho Ke Sath Hona Hai Aaj bhi,
    Aap Sirat-e-Mustakim Pe Hai Aaj bhi.

    Kyu ikhtelaf May Pade, Aaj bhi,
    Ikhtelaf Ko Rouke, Taaj e Sharia Aaj bhi.

    ilaqa Raza Ka Dekh Kar Allama Baat Kare Raza Ki Aaj bhi.,
    Wo Dekho Arb May Bat Kare Raza ki Akhtar Raza Aaj bhi.

    Aala Hazrat Ke Khandan Se Bohat Hai Aaj bhi..,
    Ala Hazra Se Par Dada Or Nana Ki Nisbat Hai Salamt Rahe Aap Aaj bhi

    Sacha Waris Hai Aala Hazrat Ka Aaj bhai,
    Fitna Failane Walo Ki Khair Nahi Unse RAZA Likhwa Rahe Aaj bhi.

    Burjugi Or Bimari May Safer Karte Hai Aaj bhi,
    Lakho Ki Tadat May Garjte Sher Ki Tarah Nilklte Aaj bhi..



    Sunni Na Darr Tu Jang E Wahabi najdi Se Aaj bhi
    Dekho“Maslak-e-Alahazrat” ka parcham Liye Sabe Awval Khada Akhtar Raza Aaj bhi

    Wahabi Ka Sab Sunni Ulma Radd Kare Aaj bhi..,
    Arab May, Arbi May Wahabi Ka Rdd Kare May Unko Manoo Aaj bhi.

    Azhari Ban Gaya Wo Noori, Razvi Ho gaya Aaj bhi,
    Noori Razvi Bhi Pukare Taaj e Sharia Zindabad Aaj bhi


    Zuhd-o-Taqwa, ilm-o-Hikmat, Ajzi-o-Sadgi Aaj bhi,
    Aap sa Murshid Zamane May Nazar Ata Nahi Aaj bhi..

    Muttaqi Bankar Dikhaye Iss Zamane Mein Koi Aaj bhi.,
    Sabistane Raza Maein Khair Se Akhter Raza Tum Ho Aaj bhi.

    Padh ‘Hayate Akhtar” Ay Munkir Aaj bhi,
    Ye Yaki Hai Tu-bhi Kahega Tajush sharia Zindabad Aaj bhi,

    Mujhe Murshid Se Nisbhat Hai Barkatee Aaj bhi,
    In sha ALLAH Ye Mohabbat Shafawt Kara-y-gee Aaj bhi.

    Naam K Sath Likhta hu Azhari Aaj bhi,
    Momin Kareeb Or Minafiq Bhaagte Hai Aaj bhi.
     

  • Wo Meri Jaan bhi Jaan ki Jaan bhi

    Wo Meri Jaan bhi Jaan ki Jaan bhi
    Wo Iman bhi Ruhe Iman bhi
    Mahbate wahi-E-Aayate Quraan bhi
    Aur Quraan bhi Ruhe Quraan bhi


    Kya Bataoon Qayamat ka main majra
    Rehmato- Ghaflato ka hai ik marka
    Dil ko unki Shafa’at pe Iman bhi
    Aqal apne kiye par pashemana bhi


    Ik Din Naz pe Aapne Yun kaha
    Tu bata Ta-ire Sidaratul Muntaha
    Hai tere samne Aalame kun-faka
    Tune payi kisi main meri Shan bhi


    Bole Yoon Hazrate Jibril bhi 
    Aiy Nigahe Masiyat ke zohra jabi
    Ho tera Misal koi, kabhi aur kahi
    Rab ne Rakhkha nahi iska imkan bhi


    Unki Rehmat pe “Akhtar” Dilo Jaa fida
    Jinko kahta hai Sara Jaha mustafa
    Go Meri zindagi unse gafil Rahi
    Wo Na gafil Rahe Mujhse Aik aan bhi

    Az:- Huzur Shaikhulislam Saiyyadi madnimiya Damatbarakatuhum Aaliya

  • Zahe Bakht Mil jaye Wo aastana

    Zahe Bakht Mil jaye Wo aastana
    Jaha Zuk gayi hai jabine zamana


    Nahi hu Talabgare Andaze Zahid
    Hamara ho har ik qadam Haidrana


    Falak ko bhi Rond aye mera nasiba
    Tera Ik Ishara ho Shahe Zamana


    Firake Muhammad main Aansu Bahakar 
    mujhe Aagaya daimi muskurana


    Tere Dast pe Chasma E Tishna-Laba hai
    Idhar sakiya! Jame Rangi Barhana


    Tere Ik Ishare pe ho jaye Aasa
    Khatarnak tufa se bhi khel jana


    Zuba hai meri Khugare Na’ate Ahmed
    Yahi hai Hamare Labo ka tarana


    Aiy “Akhtar”!Chale Aao Taibah ki Janib 
    khuda ka karam Chahta hai bahana


    Az:- Huzur Shaikhulislam Saiyyadi Madnimiya damatbarakatuhum aaliya

  • Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

    Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
    Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai


    Ankh Se Kajal Saaf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke Hai
    Teri Takri Takee Hai Aur Tu Ne Neend Nikali Hai


    Yeh Jo Tujh ko Bulata Hai Yeh Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga
    Hye Musafir Dam Main na Ana Mat Kaisi Matwali hai


    Sona Paas hai Soona Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyaare
    Tu Kehta Hai Meethi Neend Hai Teri Mat hi Nirali Hai


    Ankhne Mal na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
    Array Nam Pe Uthne ke Larta Hai Uthna Bhi kuch Gaali Hai


    Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
    Dar Samjhaye Koi Pavan Hai Ya Agiya be Taali Hai


    Badal Garge Bijli Tarke Dhak se Kaleja Ho Jaaye
    Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kaali Kaali Hai


    Paaon Utha Aur Thaukar Khaayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
    Neend ne Phislan Kar Di Hai Aur Dhortak Khaayi Naali Hai


    Saathi Saathi Keh ke Pukaron Saathi Ho Tu Jawab Aaye
    Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali Hai


    Tum To Chand Arab ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
    Dekho Mujh Bekas Par Sab ne Kaisi Afat Daali Hai


    Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Kaatil Daen Shohar Kush
    Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhaali Hai


    Woh tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hain Jannat Ka
    Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Haath Hi Khaali Hai


    Mola Tere Afw-o-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
    Warna Raza se Chor pe Teri Digree Tu Iqbali Hai
  • Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan

    Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
    muqammal karle tu Iman zamana yaad karega


    Jab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
    jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
    Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman
    zamana yaad karega  zamana yaad karega


    Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
    kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
    Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
    zamana yaad karega zamana yaad karega


    Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
    daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
    Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
    zamana yaad karega   zamana yaad karega 


    Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai 
    Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai 
    Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 


    Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai 
    baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai 
    Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 


    Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi 
    Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi 
    diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 

  • bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho

    bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho
    bahar-e bagh-e rizwan tum se hai, zaibe jinan tum ho

    khuda ki saltanut ka do-jahan main kaun dulha hai,
    tumhee, tum ho, tumhee, tum ho, yahan tum ho, wahan tum ho


    haqeeqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai,
    kahe tu kya kahe koyee, chuneen tum ho, chunaan tum ho

    nazar ‘arif ka har ‘alam main aya aap ka ‘alam,
    na hote tum tu kya hota, bahar har jahan tum ho


    kuju hum khaak uftadah, kuja tum ae shah-e bala,
    agar misl-e zamin hum hain, tu misl-e asman tum ho

    main bhula aap kī rif’at se nisbat hee hamein kya hai,
    woh kehne bhar kee nisbat thee, kahan hum hain, kahan tum ho


    hamein umeed hai rauz-e qiyamat unkee rehmat se,
    ke farmayein idhar a’ao na-mayus az-jinan tum ho

    sitam karo, khata karo, siyah karo, jafa karo,
    hamare daman-e rehmat main aa jaoo kahna tum ho


    tumhare hote saate dard dukh kis se kahoon pyare,
    shafī’e asiyan tum ho, waqīl-e mujriman tum ho

    riyazat ke yahee din hain burhape main kahan himmat,
    jo kuch karna hai abhi karlo, abhi noori jawan tum ho


    faqat nisbat ka jaise hoon haqiqi noori ho jau,
    mujhe jo dekhe keh uthe miyan noori, miyan tum ho
  • Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa

    Hamaray Aaqa hamaray Moula Imam e Azam Abu Hanifa
    Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu Hanifa
    Tum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray
    Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
    Zamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin
    Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
    Tumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham
    Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa
    Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat
    Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa
    Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib
    Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa
    Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan
    Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa
    Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik
    Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa
    Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain
    wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa
    Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat
    Wo Tera ho kar phiray bathakta? Imame Azam Abu Hanifa
  • Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam

    Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam
    gumbad e khazra ki thandi thandi chao ko salaam

    Masjeed e nabvi ke subho aur shamo ko salaam.

    Ya Nabi tere ghulamo ke ghulamo ko salaam.

    Jo madine ki gali kucho mein dete hai sadaa.

    un fakiro rahgiro aur gadao ko salaam.

    Walehaana jo tawafe roza e aqdas kare.

    mast o bekhud karti un hawao ko salaam.

    Jo padha karte hai rozo shab tere darbaar mein.

    pesh karta hai Zahuri  un salaamo ko salaam.