Blog

  • ARSH KA DULHA AAYA HAIN

    A’alam Mein Baraat Rachi Hai
    
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai
    Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
    Noor Badamaan Saari Duniya
    Inki Zia Se Ye Chamki Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai


    Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
    Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
    Khushboo-e-Iman Pehli Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
    Kaysi Masti Chayi Hai
    Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
    Rung Ajab Hain Phoolon Ke
    Daali Daali Youn Mehki Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
    Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
    Donoo A’alam Par Shahi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai


    Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
    Amina Bi Ke Ghar Utra
    Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
    Tanha Fayiz Sarwar Hain
    Baraati Har Aik Nabi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  • BAARWEIN KA CHAAN AAYA

    Bacha Bacha Muskuraya Baarwein Ka Chaand Aaya
    
    Khushiyun Ka Tufaan Laya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Shaadmani Ke Taranay Goonjtay Hain Deher Mein
    Wajd Mein Har Shakhs Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya


    Roshni Hee Roshni Hai Chandni Hee Chandni
    Zarra Zarra Jagmagaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Ho Gaye Hain Bund Saaray Zulmaton Ke Baab Aaj
    Deher Mein Woh Noor Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Khil Uthein Kaliyan Muhabbat Ki Gulon Par Hai Nikhaar
    Baagh-e-Ulfat Lehlahaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Saaz-e-Jaan Per Baj Raha Hai Aik Naghma Baar Baar
    Aamina Ka Laal Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya


    Shukar Karte Hee Raho Rub Ka Ujaagar Subho Shaam
    Rub Ka Kaisa Fazal Paaya Baarwein Ka Chaand Aaya
  • NABI KA JASHN AAYA (with audio)

    Nabi Ka Jashn Aaya Chaand Taaron Jhoomtay Rehna   
    Nabi Ke Naam Per Ae Naamdaaron Jhoomtay Rehna

    Jahaan Mein Noor Leykar Noor Wala Aanay Wala Hai   
    Meray Hamraah Tum Bhi Dil Ke Taaron Jhoomtay Rehna

    Galli Koochay Sajadena Harray Jhanday Lagadena   
    Taqaaza Ishq Ka Hai Mere Yaaron Jhoomtay Rehna

    Nabi-e-Sarwar-e-Konain Ki Aamad Ke Lamhoon Mein   
    Durood-e-Pak Parhtay Parhtay Saaron Jhoomte Rehna

    Musawaat-o-Akhuwat Ka Payaam-e-Dil Nasheen Laaye   
    Khushi Mein Aey Ghareebon Maaldaaron Jhoomte Rehna

    Woh Aaye Gham Qaday Mein Ek Khushi Ki Roshni Phooti   
    Khuda Ke Shukar Mein Aey Gham Ke Maaron Jhoomte Rehna

    Khushi Ik Dil Pe Hai Chaayei Wiladat Ki Ghari Aayei   
    Arey Aey Gul A’zaro Maah Paaron Jhoomte Rehna

    Bujhay Na Ishq-e-Ahmed Ki Agan Qalb-e-Ujagar Se  
    Dharakna Aur Ae Dil Ke Shararon Jhoomte Rehna


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please "Right Click" and then click on "Save Target As...". You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Aaqa Ka Meelaad Aaya (with audio)

    Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
    Salla Alaika Ya RasoolAllah

     
    Wassallam Alaika Ya HabibAllah
    Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

    Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
    Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya


    Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
    Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
    Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
    Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
    Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
    Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
    Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
    Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
    Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
    Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

    Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
    Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya




    Audio Credit: owaisqadri.com
  • Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain ge (with Audio)

    Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain ge
    Ghabrao Na Deewano Sarkar Bolain Ge


    Hum masjid e Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko
    Aur gumbad E Khazran key Purnoor nazaroon Ko
    Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay ge


    Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To khawaboo Ki
    Gir Jay Gein Dewarein Sab Dekhna Rahoo Ki
    Hum Roza E Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge


    Dil Ishq E Nabi mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo
    Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo
    Hum Tishna Dily Chal Kar Zam Zam Sey Bojhay Ge


    Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bapaa Ho Ga
    Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga
    Ummat Ko Shahe batah Kamli Mey Chupain ge


    Lillah Mohammad Sey Rodad Meri kehna
    Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana
    Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Ge



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam (salaam) (with Audio)

    Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
    zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
    rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
    keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
    he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam
    mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d
    mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
    zeenat-e-arshe mu’allah, assalat-o-wassalam
    jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
    ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player


  • Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu (with Audio)

    Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
    Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
    Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
    Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu
    Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
    Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
    Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
    Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon
    Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
    Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
    Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
    Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon
    Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
    Bhool Jata Hoon Apni Khataein
    Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
    Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon
    Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
    Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
    Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
    Mein Sisikti Hui Iltja Hoon
    Shafe Mugniba Kay Karam Nay
    Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
    Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
    Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE

    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please "Right Click" and then click on "Save Target As...". You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib (with audio)

    Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
    Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar


    Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
    Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar


    Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
    Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar


    Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna
    Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar


    Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
    Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar


    Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
    Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar


    Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
    Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main (with audio)

    Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
    Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main
    Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
    Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main
    Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah
    Kabhii toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main
    Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
    Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main
    Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
    Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main
    Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
    Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Chamka Mahe Noor Ka Hilal (with audio)

    Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai
    Dono alam ke hai gamkhwar wohi aaye hai.
    Ya Rasoolallah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba Marhaba
    Ya Habiballah صلی اللہ علیہ وسلم Marhaba Marhaba
    Ek nazar asman pe daal merhaba,
    Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.
    Zande lagao, galiya sajao
    Karlo charaga, ghar jagmagao
    Razi hoga Rabb-e-Zuljalal. Merhaba
    Mehfil sajao naate sunao
    Aaqa ki amad ki dhoome machao
    Rozo shab yahi ho apna haal. Merhaba
    Aashiq ke dil jagmagane lage hai
    Dekho zara muskurane lage hai
    Shahkar-e-Rabb-Zuljalal Merhaba
    Sadqa viladat ka jalwa dikha do
    Dil ki lagi abb to aaqa buja do
    Dikhla do apna abb jamal. Merhaba
    Judo sakahwat se adat tumhari
    Failaye daman khade hai bhikari
    Kar do karma Amena ke lal Merhaba
    Jame shahadat piya hai jinhone
    Ahle sunan ko jila di unhone
    Yaad ayenge woh har saal. Merhaba
    Shadi ke nagme sunate rehenge
    Jashne viladat manate rahenge
    Vaar denge tumpe jaanomal Merhaba..
    Padhne laga jab UBAID unki naate
    Hone lagi charsoo ooski baaten,
    Faize Raza ka hai sab kamal Merhaba




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player