Blog

  • Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa (with audio)

    Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
    Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga
    Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
    In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga
    Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
    Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga
    Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
    Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga
    Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
    Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau’n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga
    Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
    Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga
    Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
    Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai (with audio)

    Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
    Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
    Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
    Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
    Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
    Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
    Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
    Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
    Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
    Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
    Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
    Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
    Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
    Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
    Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
    Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
    Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai





    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Lam yaati naziiru kafi nazarin mislay to na shud peda jaana (with audio)

    Lam Yaati Naziiru Kafi Nazarin Mislay Tu Na Shud Peda Jaana
    Jag Raaj Ko Taaj Toray Sar Sohay Tujh Ko Shahay Do Saraa Jana
    Al Bahru Ala Wal Mowju Tagha Man Baykas O Tufaa(n) Hosh Ruba
    Manjdhaar Me Hu Bigrri Hai Hawa Mori Nayya Paar Laga Jaana
    Ya Shamsu Nazar Ti ilaa Layli Chuba Teyba Rasi Arzay Bokuni
    Tori Jyot Ki Jhal Jhal Jag Me Rachi Meri Shab Nay Na Din Hona Jaana
    Laka Badrun Fil Wajhil Ajamal Khat Haala E Mah Zulf Abr E Ajal
    Toray Chandan Chandr Paro Kundal Rahmat Ki Bharan Barsa Jaana
    Ana Fi Ata Shiunw Wasahaka Atam Eh Gaysu-Ay Paak Eh Abr E Karam
    Barsan Haaray Rim Jhim Rim Jhim Do Buund Idhar Bhi Giraa Jaana



    Ya kaafi Latii Zidi Azalak Rahme Bar Hasrate Tishna Labak
    Mora Ziyra Larje Darak Darak Taibah Se Abhi Na Suna Jaana


    Waahan Lisu Waiatin Zahabat Aa(n) Ahde Huzure Baargahat
    Jab Yaad Aavat Mohe Kar Na Parat Darda Wo Madine Ka Jaana


    Al Qalbu Shaji(n)v Wal Hammu Dil Zar Chuna(n) Ja(n) Zer Chunu(n)
    Pati Apni Bipat Mai Ka Se Kahu Mera Kaun Hai Tere Siwa Jaana


    Ar Ruhu Fidaa-Ka Fazid Harka Yak Shole Digar Barjan Ishka
    Mora Tan Man Dhan Sab Phook Diya Ye Jaan Bhi Pyare Jalaa Jaana


    Bas Khaama E Nava E Raza Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera
    Irshaad E Ahibba Naatik Tha Nachar Is Raah Padaa Jaana




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE(1) (2)
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Madina Madina Hamaara Madina

    Madina Madina, Hamaara Madina
    Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina
    Suhaana suhaana dulaara Madina
    Har aashiq ki aankhou ka taara Madina
    Madina Madina, Hamaara Madina
    Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina
    Sabhi Aashiq-e-Mustafa ( a14.gif ) keh rahay hain
    Hammay tou haI jannat say pyaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Yeh rangeen fazaaein, ye mehki hawaaein
    Mu’attar, Mu’amber hai saara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Madine ke jalwaun ke qurban jaon
    Hai Qudrat nay kaisa saanwaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Wahaan pyaara Kaaba, Yahaan Sabz Gumbad
    Wo Makkah bhi meetha tou pyaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Hammay jaan-o-dil say hai pyaara Madina
    Bula leejiye ab tou qadmou may Aaqa
    Dikha deegiye ab tou pyaara Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Hammay jaan-o-dil say hay pyaara Madina
    Phirruu girday Kaaba, piyuu Aabay Zam Zam
    Mai phir aakay daykhuu Tumhaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Masaaib huway duur saaray jahaan kay
    Gaya jab koi gham ka maara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Madine may Aaqa hamay maut aaey
    Bannay kaash madfun hamaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Usay sayray gulshan say kya ho ta’alluk
    Kiya jis nay tera nazaara Madina
    Madina Madina Madina Madina
    Madina Madina Hamaara Madina
    Ziya Peer o Murshid ke sadqe may Aaqa
    Yay At’taar aaey dubaara Madina
  • Main Nazar Karun Jaan O Jiigar (with audio)

    Main nazar karun jaan o jiigar, kesa lage gaa
    Rakhdu daar – e – Sarkaar peh sar, kesa lage gaa
    Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii
    Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa
    Jaab duur seh hai itna haseen, Ghumbad – e – Hazra
    Is paar seh esa hai, udar kesa lage gaa
    Sarkaar neh daar peh tujhe, bulwaya hai maangte
    Jaab ko’ii mujhe deh gaa khabar, kesa lage gaa
    Jis haath seh likhun gaa, Muhammad ka qaseeda
    Us haath meh Jibre’il ka par, kesa lage gaa
    Ghaus – ul – waraa seh puchlo, ik roz yeh chaal kar
    Baghdad seh tayba ka safar, kesa lage gaa
    Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii
    Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa
    Rakhlun gaa imaame peh, joh na’alen – e – muqadas
    Shaho keh muqabil meraa sar, kesa lage gaa



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Manqabat Shaan e Imam e Azam Abu Haneefa RadiyAllahu Ta’ala Anhu

    Hum Aaimmah ke muqallid hain tamaam
    Hai Imamaun ka hamay bhi ehteraam
    Har Imam e waqt ne Deen ke liye
    Waqf ki hai jaan apni la kalaam
    Hai jahaan mein Hazrath Numaan bhi
    Mazhab Hanfi ke sar-kirdah Imaam
    Aapne chaha yehi aik aik pal
    Sur-khuru ho Ummate Khairul Anaam
    Ijtihaad aisa kiya Ai marhaba
    Mujtahid ho kar raha duniya me naam
    Masle tishnah na chore Aap ne
    Hal kiye uljhe huwe thay jo tamaam
    Waqt ke aahang ne Azam kaha
    Aap ko to Ai fiqiyah wa Ai Imam
    Faiz paya Aap se ahnaaf ne
    Wo saher ho ya ke ho wo koee shaam
    Nazar karna hai yeh mukhtaar e hazeen
    Aap ko Ai Bu Haneefa As-Salaam
  • Madine Ke Waali Do Alam (with audio)

    Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai
    May Mohtaj Hoo Ek Nigahe Karam Ka Tumhare Karam Se Meri Zindagi Hai
    Hai Wadi e Aiwan Pe Khalique Ki Rehmat Musallam Hai Baitul Muqaddas Ki Azmat
    Magar Qalb e Muztar Ko Hai Jiski Haajat Woh Sultan e Taibah Tumhari Gali Hai
    Tumhare Hi Tukdo Pe Mera Guzara Tumhare Darbar Ka Hoo May Mangta
    Jo Tumse Na Mangoo To Fir Kis Se Mangoo Tumhara To Saara Gharana Saqi Hai
    Yahan Reh Ke Jina Hai Marne Se Badtar Wahan Jaake Marne Jine Se Behtar
    Mayassar Jo Ho Unke Qadmo May Rehkar Wohi Zindagi Asla May Zindagi Hai
    Mere Aaqa Aao Ke Mudda Hui Hai Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate
    Badi Hasrato Se Badi Chahato Se Bahut Deein Huey Ghar Sajate Sajate
    Mera Hai Ye Iman Ye Mera Yaqin Hai Mere Mustafa (Sallaho Alayhe Wasslam) Sa Na Koi Hasin Hai
    Rukh Unka Dekha Hai Jab Se Qamar Ne Nikalta Hai Mooh Ko Chupate Chupate





    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • May So Jaoo Ya Mustafa Kehtey Kehtey Kehtey (with audio)

    May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey


    Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay
    Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey


    Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
    RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey


    Huwey surkhuru Aap her maarkey may
    Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey


    Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say
    Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey


    Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala
    Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey


    Dilley muztarib ko qaraar aagya hay
    Shabo roz Ya MUJTABA (S.A.W) kehte kehte


    Museebat kay maaro kathan manzillo say
    Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam (Manqabat) (with audio)

    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se

    Daalo Nazr-e-Karam Sarkar,Apne Mangton Par Ek Baar
    Humne Mehfil Hai Saja’yi Bari Dair Se

    Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi
    Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi
    Chamak Uththe Dilki Gali Ghoos-e-Azam

    Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko
    Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko
    Tere Dar se Duniya Pali Ghoos-e-Azam

    Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula
    Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula
    Tu Hai Ibn-e-Maula Ali Ghoos-e-Azam

    Qadam Gardan-e-Awliya Per Hai Tera
    Qadam Gardan-e-Awliya Per Hai Tera
    Tu Hai Rab ka Aisa Wali Ghoos-e-Azam

    Tum jo banao Baat Bane Gi,Meeran Tumjo Banao
    Dono Jahan Main Laa’j Rahe Gi,La’j Rahe Gi
    Lajpa’al Karam ab Kardo,Mangton ki Jhooli Bhar Do
    Bhar Do Kaa’sa Sabka Panjtani Khair Se

    Mushkil Jab Bhi Sir Par Aayi,Mushkil Jab Bhi Sir Par Aayi,
    Teri Rehmat Aare Aayi,Teri Rehmat Aare Aayi,Aare Aayi
    Jab Main ne Tumhen Pukara,Kamaya Tera Sahara
    Chalta Aasi Ka Guzara Teri Khair Se, 


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player

  • Ya Nabi Salaam Alaika (salaam)

    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.
    Jashn-e-Milad un nabi hay,
    Noor ki chaadar tani hay,
    Roshani hi roshani hay,
    Har taraf yay doom machi hay.
    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.
    Ya habeeb-e-rab-e-daawar,
    Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar,
    Aur Umar Usmaan O Haydar,
    Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par.
    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.
    Rahmatal Lil Aalameena,
    Ho ataa aysa kareena,
    Daykh kar meetaa madina,
    Ishq-e-main patjaa ay seena.
    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.
    Aakhari lamhay jab aa-ain,
    Kaash wo tashreef laa-ain,
    Apnay jalwon main gumaa-ain,
    Joom-e-kar ham gun gunaa-ain.
    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.
    Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa,
    Mayray ayb ko chupaana,
    Apnay rab say bakhsh,
    Saath-e-jannat may bassaana
    Ya Nabi Salaam Alaika,
    Ya Rasul Salaam Alaika,
    Ya Habib Salaam Alaika,
    Salawatullaah Alaika.