TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
Blog
-
Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah (with audio)
Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah WahKarz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah WahKhama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah WahKya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah WahAshk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(n)Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah WahUngliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom KarNadiya(n) Panj Aab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah WahNoor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre MaahUthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah WahNeem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To SahiMehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah WahNafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm HainNaatwa(n) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah WahMujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki NigaahTaaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah WahArz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar MeinChat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah WahKya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain AajKuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah WahKhud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas KaBhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah WahIs Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki BahaarBeechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah WahSadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam KeHo Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah WahPara-E-Dil Bhi Na Nikla dil Se Tohfe Me RazaUn Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah -
Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai (with audio)
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Yahi baat hum nay barhon say suni hai,Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai
Audio Credit: owaisqadri.comLutf Unka Aam Ho Hi Jayega (with audio)
Lutf Unka Aam Ho Hi JayegaShaad Har Nakaam Ho Hi JayegaJaan De Do Wa’adae Deedar ParNaqd Apna Daam Ho Hi JayegaShaad Hain Firdous Yani Aik DinQismat Khuddam Ho Hi JayegaYaad Reh Jayegi Ye Be-bakiyaNafs Tu To Ram Ho Hi JayegaBe Nishano Ka Nishaa(n) Mit-Ta NahiMit-te Mit-te Naam Ho Hi JayegaYaade Ghesu Zikre Haq Hain Aah KarDil Me Paida Laam Ho Hi JayegaEk Din Awaaz Badlenge Ye SaazChahchahaa Kohraam Ho Hi JayegaSailo Daaman Sakhee Ka Thaam LoKuch Na Kuch In’aam Ho Hi JayegaYaad-E-Aabroo Karke Tadpo BulbuloTukde Tukde Daam Ho Hi JayegaMufliso Un Ki Gali Me Ja PadoBaghe Khuld Ikraam Ho Hi JayegaGar Yuhi Rahmat Ki Taweele RahiMadh Har Ilzaam Ho Hi JayegaBaada Khwari Ki Samoo Bandhne To DoSheikh Dard-Ashaam Ho Hi JayegaGhum To Unko Bhulkar Lipta Hain YuJaise Apna Kaam Ho Hi JayegaMit Ki Gar Yuhi Raha Karze HayaatJaan Ka Nilaam Ho Hi JayegaAaqilo Unki Nazar Sidhi RaheBairvo Ka Bhi Kaam Ho Hi JayegaAb To Layi Hain Shafa’at Afw ParBadhte Badhte Aam Ho Hi JayegaAy Raza Har Kaam Ka Ik Waqt HainDil Ko Bhi Aaraam Ho Hi Jayega
Audio Credit: owaisqadri.comParho Durood Ke Maulood Ki Ghari Aayi (with audio)
Parho Durood Kay Maulood Ki Ghari Aayi
Har Ek Saa’at O Lamha Hai Qeemti Iss Ka
Har Ek Raat Se Barh Kar Mila Isay Rutba
Isi Liye To Ye Shab Behtareen Kehlaayi
Khuda Ka Shukr Karo Aur Parho Durood Un Per
Ke Aaj Laaye Hain Tashreef Haadi O Rehbar
Zamanay Bhar Mein Hai Mash-hoor Jin Ki Yaktayi
Chhatay Hain Badal E Ghum Khushiyan Saath Laayi Hain
Har Ek Chehray Pe Ab Muskurahat Aayi Hai
Har Ek Dil Mein Khushi Ki Baji Hai Shehnai
Jahan Mein Sabz Parchamo(n) Ki Bahaar Aayi Hai
Aur Aashiqo(n) Ne Makaan Har Gali Sajaai Hai
Hai Shaad Shaad Nabi Ka Har Ek Tamannayi
Jahan Goonj Utha Marhaba Ke Naaron Se
Khushi Hai Kaisi Na Poocho Ye Ghum Ke Maaron Se
Yehi Wohi Raat Hai Jo Kaif Ka Samaan Layi
Unhi Ke Dar Se Hi Darya E Jood Behtay Hain
Wo Aaye Jo Nahi Saail Ko Nahi Kehte Hain
Sakhawat Aisi Ataa Rab Ne Un Ko Farmayi
Shab E Wiladat E Sarkar Ka Hai Ye Sadqa
Ke Mil Gaya Hai Sana Ka Ubaid Ko Jazba
Musafir Is Ki Ye Mehnat Jabhi To Rang LaayiAudio Credit: owaisqadri.com
Wah Kya Judoo Karam Hain (complete) (with audio)
Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha TeraNahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala TeraDhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra TeraTare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra TeraFaiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala TeraAap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya TeraAgniya(n) Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada TeraAsfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta TeraFarsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya JaaneKhusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera TeraAasmaa(n) Khwan, Zamee(n) Khwan Zamana MehmaanSahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera TeraMain To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E HabeebYa’ani Mehboobo Muheeb Me Nahi Mera TeraTere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya DekheKaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa TeraBahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka PyasaKhud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta TeraChor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske KhilafTere Daamam Me Chupe Chor Anokha TeraAankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-SairaabSachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala TeraAik Main Kya Mere Isyaa(n) Ki Haqeeqat KitniMujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hain Ishara TeraMuft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na PadeeAb Amal Poochte Hain Haaye Nikamma TeraTere Tukdo Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na DaalJhidkiya Khaaye Kaha Chor Ke Sadqa TeraKhwaro Bimaro Khatavaro Gunahgaar Hu MainRafe’ao Nafe’ao Shafe’a Lakab Aaqa TeraMeri Taqdeer Buri Ho To Bhali Karde Ki HainMahwo Isbaat Ke Daftar Me Kadoda TeraTu Jo Chahe To Abhi Mayl Mere Dil Ke DhuleKe Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla TeraKiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se KahiyeTere Hi Qadmo Pe Mitt Jaye Yeh Paala TeraTu Ne Islam Diya Aaqa Tu Ne Jama’at Me LiyeTu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya TeraMaut Sunta Hu Sitam Talkh Hain Jahraaba-e NabKaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala TeraDur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise GuzreTere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha TeraTere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hain TeriJis Din Achho Ko Mila Jam Chalakta TeraHaram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije NigahJyot Padti Hain Teri Noor Hain Chanta TeraTeri Sarkaar Me Laata Hain Raza Usko Shafe’aJo Mera Ghous Hain Aur Laadla Beta TeraSUBHE-BAHARAAN
Maulood-E-Mustafa Hai Ye Jashn Ka Sama Hai Ye Subh-E-Baharaan Hai Ye Jashn-E-Mustafa HaiSubh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo Jashn-E-Baharaan Milkay Manao Shaadmaani Ke Taranay Goonjtay Hain Har Jagah Aashiqaan-E-Mustafa Jhoomtay Hain Har Jagah Subh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo Jashn-E-Baharaan Milkay ManaoDeep Khushi Ke Milkay Jalao Aaye Hain Aaqa Sabko BataoJashn-E-Nabi Phir Jashn-E-Nabi Hai Karlo Charaghaan Rung JamaoBachon Ko Apne Dars Ye Dena Aal-E-Nabi Ka Ishq SikhaoRoothay Hain Jou Bhi Unko Manao Rung-E-Mohabbat Dil Pe CharhaoDeen-E-Nabi Ke Tum Ho Muhafiz Apni Jawani Isspe LutaoChahtay Ho Gar Sheyron Ka Charcha Rung Raza Ka Naat Mein LaoRehmat-E-Rab Hai Aamad-E-Aaqa Ne’matein Rab Ki Khushiyan ManaoDil Ki Laggi Tum Aur Barhao Naat Ujagar Aur SunaoA’alam E Islam Ko Eid-E-Meelad-Un-Nabi
Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah MarhabaYa MustafaMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahHo Mubarak Ahl-E-Imaan Hogayei Qismat Darakhshaan Chaar Jaanib Dhoom Hai Sarkar Ki Milaad Ki Jhoomta Hai Har Musalmaan Eid-E-Milaad Un NabiA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahGhunchay Chutkay Phool Mehke Har Taraf Aayei Bahaar Hogayei Subh-E-Baharaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi Hum Na Kyun Roshan Karein Ghar Ghar Diye Milaad Ke Khud Karay Jab Haq Charaghaan Eid-E-Milaad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiEid-E-Milaad-Un-Nabi Tou Eid Ki Bhi Eid Hai Bil Yaqeen Hai Eid-E-Eidaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi Eid-E-Milaad-Un-Nabi Pe Jou Bhi Karta Hai Khushi Uss Pe Ghurraata Hai Shaytaan Eid-E-Milaad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiAmina Ke Ghar Mohammad Ki Wiladat Hogayei Khoob Jhoomo Ahl-E-Emaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi Aao Deewano Chalo Sab Aamina Ke Ghar Chalein Noor Se Bhar Laayein Damaan Eid-E-Milad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiKhoob Jhoomo Ae Gunaahgaron Tumhari Eid Hai Hogaya Bakhshish Ka Samaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi Gham Ke Maaron Bay-Saharo Buss Tumhari Eid Hai Hogaya Rahat Ka Samaan Eid-E-Milad-Un-NabiMarhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah AllahA’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-NabiMarhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah MarhabaYa Mustafa صلی اللہ علیہ وسلمMILAAD HAI
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinKonain Mein Hai Shohrat Milaad-E-Mustafa Ki Bajti Hai Jug Mein Nobat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinMaah-E-Rabi-Ul-Awwal Mauqa Hai Iss Khushi Ka Behtar Ho Iss Mein Kasrat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinFarsh-E-Zameen Se Leykar Arsh-E-A’zeem Tak Hai Ye Saari Khair-O-Barkat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinIblis Ke Jigar Per Chaltay Issiyare Iss Per Giraan Hai Shirkat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinTa’zeem Ko Uthay Ab Yaaran-E-Anjum Sab Aayei Qareeb Sa’at Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinShukr-E-Khuda Ada Kar Dil Se Habib Har Dum Jisnay Ye Dei Hai Ne’mat Milaad-E-Mustafa KiJASHN-E-WILADAT ZINDABAD
Rif’at-e-Subh-e-Sa’adat Zindabad
Marhaba Jashn-e-Wiladat Zindabad
Mu’ajza Hee Mu’ajza Hai Unki Zaat
Shahkar Dast-e-Qudrat Zindabad
Har Tajalli Aapse Zahir Hui
Marhaba Mah-e-Risalat Zindabad
Zindagi Phir Zindagi Lagne Lagi
Jab Keh Aaye Wahdat Zindabad
Kabar-O-Nakhoot Ko Mitaya Aapne
Parcham-e-Ijz-o-Muhabbat Zindabad
Dushman-e-Jaan Per Bhi Saya-e-Karam
Aapki Tanveer Seerat Zindabad
Na’at Unki Ae Ujaagar Likhte Hee
Mujh Mein Utri Hai Mussarat ZindabadARZO-SAMAA BANAY HAIN
Arz-O-Sama Banay Hain Issi Noor Ke Tufail
Taaray Chamak Rahay Hain Issi Noor Ke Tufail
Gulshan Haray Bharay Hain Issi Noor Ke Tufail
Dono Jahan Sajay Hain Issi Noor Ke Tufail
Iss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
Ye Noor Who Hai Jiss Ka Taraf Daar Hai Khuda
Aaya Hai Rah-e-Raast Dikhanay Ke Waastay
Bando Ko Unke Rab Se Milanay Ke Waastay
Bunyaad But Kadoon Ki Giraanay Ke Waastay
Rasm-O-Riwaaj Kufr Mitaanay Ke Waastay
Insaan Ko Bandagi Ka Saleeqa Sikhaye Ga
Ye Noor Zulmatoon Ko Ujaalay Banaye Ga
Guftaar Lajawaab Hai Kirdaar Bay Nazeer
Haami Sitam Zadoon Ka Yateemon Ka Dastageer
Halqa Bagosh Iske Hain Kya Shah Kya Faqeer
Insaan Reh Sakay Ga Na Insaan Ka Aseer
Bhooka Rahe Ga Khud Who Jahan Ko Khilaye Ga
Woh Apnay Dushmano Ko Galay Se Lagaye Ga
Peghaam-e-Haq Ye Saaray Jahan Ko Sunaye Ga
Keena Zadoon Ko Rushk-e-Gulistan Banaye Ga
Har Gaam Rehmaton Ke Khazanay Lutaye Ga
Insaan Ko Ye Dars-e-Akhuwat Sikhayega
Dega Kuch Iss Adaa Se Peghaam-e-Dosti
Zehno Se Door Kardega Sadiyon Ki Dushmani
Yeh Sahib-e-Jamal Hai Ye Sahib-e-Kamal
Khush Dil Hai Khush Pasand Khush Khulq Khush Khisaal
Khalaaq-e-Dou Jahan Ki Hai Takhleeq-e-Bay Misaal
Mumkin Nahin Hai Isko Kissi Dor Mein Zawaal
Roshn Karega Rushdo Hidayat Ke Woh Diye
Bun Jayeingay Sabaq Jou Har Dor Ke Liye
Beshak Yehi Hai Bayiss-e-Takhleeq-e-Kainaat
Chamkay Ga Iske Husn Se Har Gosha-e-Hayaat
Rasikh Hai Iska Qol Tou Sachi Hai Har Ik Baat
Dil Mein Hai Iske Rehem Nazar Mein Iltifaat
Iske Karam Ki Hadh Hai Na Koi Hisaab Hai
Jiss Par Nigaah Daal De Woh Aftaab Hai
Aaya Hai Muflison Ki Himayat Liye Huay
Mazloom-O-Bekasoon Ki Mohabbat Liye Huay
Ahl-e-Gunaah Ke Haq Mein Shifa’at Liye Huay
Saaray Jahan Ke Liye Rehmat Liye Huay
Hoga Iski Zaat Par Qur’an Ka Nuzool
Woh Aakhri Kitaab Hai Ye Aakhri Rasool