Category: Other Naat Shareef

  • Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan

    Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
    muqammal karle tu Iman zamana yaad karega


    Jab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
    jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
    Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman
    zamana yaad karega  zamana yaad karega


    Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
    kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
    Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
    zamana yaad karega zamana yaad karega


    Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
    daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
    Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
    zamana yaad karega   zamana yaad karega 


    Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai 
    Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai 
    Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 


    Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai 
    baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai 
    Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 


    Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi 
    Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi 
    diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan 
    zamana yaad karega zamana yaad karega 

  • bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho

    bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho
    bahar-e bagh-e rizwan tum se hai, zaibe jinan tum ho

    khuda ki saltanut ka do-jahan main kaun dulha hai,
    tumhee, tum ho, tumhee, tum ho, yahan tum ho, wahan tum ho


    haqeeqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai,
    kahe tu kya kahe koyee, chuneen tum ho, chunaan tum ho

    nazar ‘arif ka har ‘alam main aya aap ka ‘alam,
    na hote tum tu kya hota, bahar har jahan tum ho


    kuju hum khaak uftadah, kuja tum ae shah-e bala,
    agar misl-e zamin hum hain, tu misl-e asman tum ho

    main bhula aap kī rif’at se nisbat hee hamein kya hai,
    woh kehne bhar kee nisbat thee, kahan hum hain, kahan tum ho


    hamein umeed hai rauz-e qiyamat unkee rehmat se,
    ke farmayein idhar a’ao na-mayus az-jinan tum ho

    sitam karo, khata karo, siyah karo, jafa karo,
    hamare daman-e rehmat main aa jaoo kahna tum ho


    tumhare hote saate dard dukh kis se kahoon pyare,
    shafī’e asiyan tum ho, waqīl-e mujriman tum ho

    riyazat ke yahee din hain burhape main kahan himmat,
    jo kuch karna hai abhi karlo, abhi noori jawan tum ho


    faqat nisbat ka jaise hoon haqiqi noori ho jau,
    mujhe jo dekhe keh uthe miyan noori, miyan tum ho
  • Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu

    Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu
    main mehfil e haram ke aadaab jaanta hu

    Koi to aankh waala guzrega is taraf se
    Taibah ke raaste me main muntazir khada hu

    Ye roshni si kya hai, khushboo kahan se aayi
    shayad main chalte chalte ROUZE tak aa gaya hu

    Taibah ke sab bhikari pehchante hai mujhko
    mujhko khabar nahi thi main is kadar bada hu

    Doori o haazri mein ek baat mushtarak hai
    kuch khwaab dekhta tha kuch khwaab dekhta hu

    Iqbaal mujhko ab bhi mehsus ho raha hai
    ke ROUZE ke saamne hu aur naat padh raha hu

  • Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana

    Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
    Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.



    Kyu aankh milayi thi, kyoon aag lagayi thee
    Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.



    Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay
    Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana.



    Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon
    Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana.



    Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
    Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana.



    Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon
    Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.
  • Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin

    Salle ala nabi ye na sale ala Mohammadin
    Salle ala shafiye na sale ala Mohammadin
    Ham bhi Madine jaye gei ajj nahi to kal sahi
    Aqa hamme bulaye gei ajj nahi to kal sahi
    Galiyoun mein ghum ghum kar Khakhe Madina chum kar
    Nazroun se ham lagaye gei aaj nahi to kal sahi
    Dekha jo Un ko baanethe main ne bhi bar ke shouk se
    Daste ata ke samne daste talab barha diya
    Aamade Mustafa hoyi roshan zamana ho geya
    Jin ke Huzoor ho geye un ka zamana ho geya
    Haal dil sunayein gei aaj nahi to kal sahi
    Bighri apni banaye gei aaj nahi to kal sahi
  • Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge

    Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge
    Karam ki jab nazar ho gi Madine hum bhi jayenge

    Agar jaana Madine mein huwa hum gham ke maaron ka
    makeene Gumbad-e-Khazra ko haal-e-dil sunayenge

    Kasam Allah ki ho ga woh manzar deed ke qabil
    Qayamat mein Rasulallah jab tashreef layenge

    Qayamat tak jagayenge na phir Munkar Nakeer usko
    Lahad mein wo jisse apna Rukh-e-Zaiba dikhayenge

    Gunahgaron mein khud aa aa kar shamil parsaa honge
    Shafi-e-Hashr jab Daaman-e-Rehmat mein chupayenge

    Gham-e-Ishq-e-Nabi se hoga jab maamoor dil nayyar
    Tere zulmat kade mein bhi sitare jagmagayenge

  • Ban ke Noor e Khuda, Mustafa agaye

    Ban ke Noor e Khuda, Mustafa agaye
    Marhaba Marhaba Mustafa agaye


    Ujri dunya thi Aaqa ne aabaad ki
    Har taraf dhuum Unke he Milaad ki
    Sab ke Mushkil kusha, Mustafa agaye
    Marhaba Marhaba Mustafa agaye


    Ho gaye Noor dunya ke zulmat talle
    Jin ke aane se Mao ko bete mille
    Sarwar-e-Ambiyaa, Mustafa agaye 
    Marhaba Marhaba Mustafa agaye


    Arsh par jashan Jinn ka manaya gaya
    Sab Rasulon ko jiss me bulaaya gaya
    Haa wohi Dil Ruba Mustafa agaye
    Marhaba Marhaba Mustafa agaye


    Ab na maa’yuus hoga sawaali koi
    Aaj Naasir na lote ga khaali koi
    Muskura e gada , Mustafa agaye
    Marhaba Marhaba Mustafa agaye
  • Aminah Bibi ke Gulshan Mein

    Aminah Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar
    Parhte Hain Salla Alayka Wasallam Aaj Dar O Dewaar Madani


    Barah Rabi Ul Awwal Ko Aaya Durre Yateem
    Maah E Nabuwwat Mehr E Risaalat Saahib E Khulq E Azeem Madani


    Pyari Soorat Hasta Chehra Muh Se Jarhhte Phool
    Noor Sarapa Chand Sa Chehra Haq Ka Pyara Rasool Madani

    Jibreel Aaye Jhula Julane Lori De Zeeshan
    So Ja So Ja Rehmat E A’alam Do Jag Ke Sultaan Madani


    Awwal O Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba’eed O Qareeb
    Ghaib Ki Khabre Dene Wala Allah Ka Wo Habeeb Madani


    Haamid O Mehmood Aur Muhammad Do Jag Ka Sardaar
    Jaan se Pyara Raaj Dulaara Rahmat Ki Sarkaar Madani

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
    Sud Shukar Keh Mein Phir Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Rud Kaisay Bhala Hogi Ab Koi Dua Meri
    Mein Rub Ko Pukar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Kuch Kehne Se Pehle Hee Puri Hoi Har Khuwahish
    Jo Socha Wohi Paaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Kuch Lamhay Huzoori Ke Paaye Tou Ye Lagta Hai
    Ik Umar Guzaar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein


    Mujh Jaisa Tahee Damaan Kiya Nazar Ko Lejaata
    Ik Naat Suna Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Yaad Aayei Sabih Apni Har Aik Khata Mujh Ko
    Amaal Pe Sharmaaya Sarkaar Ke Qadmon Mein
  • Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye


    Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye
    To Har Badkaar Banda Damme Nekokaar Ho Jaye


    Jo Mo’min Dekhe Tumko Mahram E Asraar Ho Jaye
    Jo Kafir Dekhle Tumko Wo Deendaar Ho Jaye


    Jo Sar Rakhde Tumhare Qadam Pe Sardaar Ho Jaye
    Jo Tumse Sar Koi Fere Zaleelo Khaar Ho Jaye


    Talatum Kaise Bhi Kuch Ho Magar Ay Na Khuda E Man
    Ishara Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye


    Inayat Se Mere Sar Par Agar Wo Kafshe Paa Rakh De
    Ye Banda Taajdaaro Ka Bhi To Sardaar Ho Jaye


    Tumhare Faiz Se Lathi Misaale Sham’a Roushan Ho
    Jo Tum Lakdi Ko Chaho Tej Talwaar Ho Jaye


    Gunah Kitne Hi Aur Kaise Hi Ho Par Rehmate Aalam
    Shafa’at Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye


    Bharam Reh Jaye Mehshar Me Na Palla Halka Ho Apna
    Ilahi Mere Palle Par Mere Ghum Khwar Ho Jaye


    Tumhare Hukm Ka Bandha Hua Suraj Phire Ulta
    Jo Tum Chaho Ke Shab Din Ho Abhi Sarkaar Ho Jaye


    Kawafi Aur Mazami Achhe Achhe Hai Abhi Baaki
    Magar Bas Bhi Karo Noori Na Parhna Baar Ho Jaye