Category: Other Naat Shareef

  • Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye

    Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye
    Tu Unhi se Door Bhage Jinhein Tujh Pe Pyaar Aaye

    Dam-e-Iztirab Mujhko Jo Khayal-e-Yaar Aaye
    Mere Dil main Chain Aaye,To Isse Qarar Aaye


    Na Habeeb se Muhib ka kahin aisa Pyaar Dekha
    Woh Bane Khuda ka Pyaara, Tumhen Jiss Pe Pyaar Aaye

    Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka,Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka
    Ke Ila’aj Gham Alam ka,Mere Gham Gusa’ar Aaye


    Jo Chaman Banaye Ban Ko, Jo Jina’a Kare Chaman Ko
    Mere Baagh Main Ilahi, Kabhi Woh Baha’ar Aaye

    Sabab-e-Gufoor-e-Rehmat Meri Bezubaniyan Hain
    Na Fuga’an ke Dhang Jaano’n, Na Mujhe Pukaar Aaye


    Teri Rehmaton se Kam Hain, Mere Jurm Iss se Za’aid
    Na Mujhe Hisaab Aaye,Na Mujhe Shuma’ar Aaye

    Tere Sadqe Jaaye Sha’aha Yeh Tera Zaleel Mangta
    Woh Waqar le Ke Jaaye Jo Zaleel-o-Khwar Aaye


    Woh Kareem Hain yeh Sarwar Ke Likha Howa Hai Dar Par
    Ke Jisse Lene Hon Do Ala’am Woh Umeed Waar Aaye

    Tere Dar ke Hain Bhikari, Mile Khair Dam ha Dam Ki
    Tera Naam Sun ke Da’ata, Hum Umeed Waar Aaye

  • Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai (with audio)

    Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
    Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

    Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
    Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,


    Yahi baat hum nay barhon say suni hai,

    Na ho banagi gar to kia zindagi hai,


    Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
    Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
    Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,


    Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
    Nazar meri tere karam per lagi hai,


    Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
    Gunaahon mein hasil ise bartari hai,


    Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
    Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai


    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Parho Durood Ke Maulood Ki Ghari Aayi (with audio)

    Parho Durood Kay Maulood Ki Ghari Aayi

     
    Har Ek Saa’at O Lamha Hai Qeemti Iss Ka
    Har Ek Raat Se Barh Kar Mila Isay Rutba
    Isi Liye To Ye Shab Behtareen Kehlaayi

     
    Khuda Ka Shukr Karo Aur Parho Durood Un Per
    Ke Aaj Laaye Hain Tashreef Haadi O Rehbar
    Zamanay Bhar Mein Hai Mash-hoor Jin Ki Yaktayi

     
    Chhatay Hain Badal E Ghum Khushiyan Saath Laayi Hain
    Har Ek Chehray Pe Ab Muskurahat Aayi Hai
    Har Ek Dil Mein Khushi Ki Baji Hai Shehnai

     
    Jahan Mein Sabz Parchamo(n) Ki Bahaar Aayi Hai
    Aur Aashiqo(n) Ne Makaan Har Gali Sajaai Hai
    Hai Shaad Shaad Nabi Ka Har Ek Tamannayi

     
    Jahan Goonj Utha Marhaba Ke Naaron Se
    Khushi Hai Kaisi Na Poocho Ye Ghum Ke Maaron Se
    Yehi Wohi Raat Hai Jo Kaif Ka Samaan Layi

     
    Unhi Ke Dar Se Hi Darya E Jood Behtay Hain
    Wo Aaye Jo Nahi Saail Ko Nahi Kehte Hain
    Sakhawat Aisi Ataa Rab Ne Un Ko Farmayi

     
    Shab E Wiladat E Sarkar Ka Hai Ye Sadqa
    Ke Mil Gaya Hai Sana Ka Ubaid Ko Jazba
    Musafir Is Ki Ye Mehnat Jabhi To Rang Laayi

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • SUBHE-BAHARAAN

    Maulood-E-Mustafa Hai Ye Jashn Ka Sama Hai  Ye Subh-E-Baharaan Hai Ye Jashn-E-Mustafa Hai
    Subh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo  Jashn-E-Baharaan Milkay Manao  Shaadmaani Ke Taranay Goonjtay Hain Har Jagah  Aashiqaan-E-Mustafa Jhoomtay Hain Har Jagah  Subh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo  Jashn-E-Baharaan Milkay Manao
    Deep Khushi Ke Milkay Jalao  Aaye Hain Aaqa Sabko Batao
    Jashn-E-Nabi Phir Jashn-E-Nabi Hai  Karlo Charaghaan Rung Jamao
    Bachon Ko Apne Dars Ye Dena  Aal-E-Nabi Ka Ishq Sikhao
    Roothay Hain Jou Bhi Unko Manao  Rung-E-Mohabbat Dil Pe Charhao
    Deen-E-Nabi Ke Tum Ho Muhafiz  Apni Jawani Isspe Lutao
    Chahtay Ho Gar Sheyron Ka Charcha  Rung Raza Ka Naat Mein Lao
    Rehmat-E-Rab Hai Aamad-E-Aaqa  Ne’matein Rab Ki Khushiyan Manao
    Dil Ki Laggi Tum Aur Barhao  Naat Ujagar Aur Sunao
  • MILAAD HAI

    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Konain Mein Hai Shohrat Milaad-E-Mustafa Ki  Bajti Hai Jug Mein Nobat Milaad-E-Mustafa Ki
    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Maah-E-Rabi-Ul-Awwal Mauqa Hai Iss Khushi Ka  Behtar Ho Iss Mein Kasrat Milaad-E-Mustafa Ki
    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Farsh-E-Zameen Se Leykar Arsh-E-A’zeem Tak Hai  Ye Saari Khair-O-Barkat Milaad-E-Mustafa Ki
    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Iblis Ke Jigar Per Chaltay Issiyare  Iss Per Giraan Hai Shirkat Milaad-E-Mustafa Ki
    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Ta’zeem Ko Uthay Ab Yaaran-E-Anjum Sab  Aayei Qareeb Sa’at Milaad-E-Mustafa Ki
    Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Aao Milaad Manayein Aao Milaad Manayein
    Shukr-E-Khuda Ada Kar Dil Se Habib Har Dum  Jisnay Ye Dei Hai Ne’mat Milaad-E-Mustafa Ki
  • A’alam E Islam Ko Eid-E-Meelad-Un-Nabi

    Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba  Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba
    Ya Mustafa
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    Ho Mubarak Ahl-E-Imaan Hogayei Qismat Darakhshaan  Chaar Jaanib Dhoom Hai Sarkar Ki Milaad Ki  Jhoomta Hai Har Musalmaan Eid-E-Milaad Un Nabi
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    Ghunchay Chutkay Phool Mehke Har Taraf Aayei Bahaar  Hogayei Subh-E-Baharaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Hum Na Kyun Roshan Karein Ghar Ghar Diye Milaad Ke  Khud Karay Jab Haq Charaghaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Eid-E-Milaad-Un-Nabi Tou Eid Ki Bhi Eid Hai  Bil Yaqeen Hai Eid-E-Eidaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Eid-E-Milaad-Un-Nabi Pe Jou Bhi Karta Hai Khushi  Uss Pe Ghurraata Hai Shaytaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Amina Ke Ghar Mohammad Ki Wiladat Hogayei  Khoob Jhoomo Ahl-E-Emaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Aao Deewano Chalo Sab Aamina Ke Ghar Chalein  Noor Se Bhar Laayein Damaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Khoob Jhoomo Ae Gunaahgaron Tumhari Eid Hai  Hogaya Bakhshish Ka Samaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Gham Ke Maaron Bay-Saharo Buss Tumhari Eid Hai  Hogaya Rahat Ka Samaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
    Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba  Allah Allah Ya Allah Allah Allah
    A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi  Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
    Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba  Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba 
    Ya Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم

  • JASHN-E-WILADAT ZINDABAD

    Rif’at-e-Subh-e-Sa’adat Zindabad
    
    Marhaba Jashn-e-Wiladat Zindabad

    Mu’ajza Hee Mu’ajza Hai Unki Zaat
    Shahkar Dast-e-Qudrat Zindabad


    Har Tajalli Aapse Zahir Hui
    Marhaba Mah-e-Risalat Zindabad

    Zindagi Phir Zindagi Lagne Lagi
    Jab Keh Aaye Wahdat Zindabad


    Kabar-O-Nakhoot Ko Mitaya Aapne
    Parcham-e-Ijz-o-Muhabbat Zindabad

    Dushman-e-Jaan Per Bhi Saya-e-Karam
    Aapki Tanveer Seerat Zindabad

    Na’at Unki Ae Ujaagar Likhte Hee
    Mujh Mein Utri Hai Mussarat Zindabad
  • ARZO-SAMAA BANAY HAIN

    Arz-O-Sama Banay Hain Issi Noor Ke Tufail
    
    Taaray Chamak Rahay Hain Issi Noor Ke Tufail
    Gulshan Haray Bharay Hain Issi Noor Ke Tufail
    Dono Jahan Sajay Hain Issi Noor Ke Tufail
    Iss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
    Ye Noor Who Hai Jiss Ka Taraf Daar Hai Khuda

    Aaya Hai Rah-e-Raast Dikhanay Ke Waastay
    Bando Ko Unke Rab Se Milanay Ke Waastay
    Bunyaad But Kadoon Ki Giraanay Ke Waastay
    Rasm-O-Riwaaj Kufr Mitaanay Ke Waastay
    Insaan Ko Bandagi Ka Saleeqa Sikhaye Ga
    Ye Noor Zulmatoon Ko Ujaalay Banaye Ga


    Guftaar Lajawaab Hai Kirdaar Bay Nazeer
    Haami Sitam Zadoon Ka Yateemon Ka Dastageer
    Halqa Bagosh Iske Hain Kya Shah Kya Faqeer
    Insaan Reh Sakay Ga Na Insaan Ka Aseer
    Bhooka Rahe Ga Khud Who Jahan Ko Khilaye Ga
    Woh Apnay Dushmano Ko Galay Se Lagaye Ga

    Peghaam-e-Haq Ye Saaray Jahan Ko Sunaye Ga
    Keena Zadoon Ko Rushk-e-Gulistan Banaye Ga
    Har Gaam Rehmaton Ke Khazanay Lutaye Ga
    Insaan Ko Ye Dars-e-Akhuwat Sikhayega
    Dega Kuch Iss Adaa Se Peghaam-e-Dosti
    Zehno Se Door Kardega Sadiyon Ki Dushmani

    Yeh Sahib-e-Jamal Hai Ye Sahib-e-Kamal
    Khush Dil Hai Khush Pasand Khush Khulq Khush Khisaal
    Khalaaq-e-Dou Jahan Ki Hai Takhleeq-e-Bay Misaal
    Mumkin Nahin Hai Isko Kissi Dor Mein Zawaal
    Roshn Karega Rushdo Hidayat Ke Woh Diye
    Bun Jayeingay Sabaq Jou Har Dor Ke Liye

    Beshak Yehi Hai Bayiss-e-Takhleeq-e-Kainaat
    Chamkay Ga Iske Husn Se Har Gosha-e-Hayaat
    Rasikh Hai Iska Qol Tou Sachi Hai Har Ik Baat
    Dil Mein Hai Iske Rehem Nazar Mein Iltifaat
    Iske Karam Ki Hadh Hai Na Koi Hisaab Hai
    Jiss Par Nigaah Daal De Woh Aftaab Hai


    Aaya Hai Muflison Ki Himayat Liye Huay
    Mazloom-O-Bekasoon Ki Mohabbat Liye Huay
    Ahl-e-Gunaah Ke Haq Mein Shifa’at Liye Huay
    Saaray Jahan Ke Liye Rehmat Liye Huay
    Hoga Iski Zaat Par Qur’an Ka Nuzool
    Woh Aakhri Kitaab Hai Ye Aakhri Rasool

  • ARSH KA DULHA AAYA HAIN

    A’alam Mein Baraat Rachi Hai
    
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai
    Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Arsh Se Utra Noor Khuda Ka
    Noor Badamaan Saari Duniya
    Inki Zia Se Ye Chamki Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai


    Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai
    Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se
    Khushboo-e-Iman Pehli Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay
    Kaysi Masti Chayi Hai
    Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Nikhre Nikhre Gulshan Saaray
    Rung Ajab Hain Phoolon Ke
    Daali Daali Youn Mehki Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik
    Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain
    Donoo A’alam Par Shahi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai


    Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
    Amina Bi Ke Ghar Utra
    Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai

    Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar
    Tanha Fayiz Sarwar Hain
    Baraati Har Aik Nabi Hai
    Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  • BAARWEIN KA CHAAN AAYA

    Bacha Bacha Muskuraya Baarwein Ka Chaand Aaya
    
    Khushiyun Ka Tufaan Laya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Shaadmani Ke Taranay Goonjtay Hain Deher Mein
    Wajd Mein Har Shakhs Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya


    Roshni Hee Roshni Hai Chandni Hee Chandni
    Zarra Zarra Jagmagaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Ho Gaye Hain Bund Saaray Zulmaton Ke Baab Aaj
    Deher Mein Woh Noor Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Khil Uthein Kaliyan Muhabbat Ki Gulon Par Hai Nikhaar
    Baagh-e-Ulfat Lehlahaya Baarwein Ka Chaand Aaya

    Saaz-e-Jaan Per Baj Raha Hai Aik Naghma Baar Baar
    Aamina Ka Laal Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya


    Shukar Karte Hee Raho Rub Ka Ujaagar Subho Shaam
    Rub Ka Kaisa Fazal Paaya Baarwein Ka Chaand Aaya