Category: Other Naat Shareef

  • Maangne Ka Maza Hai Dar E Yaar Par

    Maangne Ka Maza Hai Dar E Yaar Par
    Har Talab Par Ataa Hai Dar E Yaar Par

    Kaun Lab Kholta Hai Dar E Yaar Par
    Be-Talab Mil Raha Hai Dar E Yaar Par

    Maang Unse “Nahi” Jinke Lab Par Nahi
    Jo Bhi Maanga Mila Hai Dar E Yaar Par

    Bakhsh De Ya Khuda Fazl Farma Tera
    Aaj Haazir Hai Gadaa Dar E Yaar Par

    Kyun Na Maange Ubaid Unke Dar Par Dua
    Jee Gaya Jo Maraa Hai Dar E Yaar Par
  • Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaye

    Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaye
    Isi ke Sadqay mein Kaamil mera Iman ho jaye

    Mere Mushkil kusha Hasanain ka Sadqa Ata kar de
    Balaen door hon Mushkil Meri Aasan ho jaye

    Mere Aamal ka badla tabahi hay magar piyaray
    Mein Jannat ko sidharon jo tera farmaan ho jaye

    Madinay Paak ke kutton ki khidmat ka sharaf paaon
    Sagaan-e-Taybah ka Khadim, meri pehchan ho jaye

    Mein jaun daar-e-faani se mera Emaan Salamat ho
    Teri chahat teri Ulfat mera Saman ho jaye

    Mere Shafay’ sawali hun Nijaat-e-Aakhirat ka mein
    Sar-e-Mehshar Shafa’at ka teri Aey’laan ho jaye

    Mein hun Sunni, rahun sunni, jeeun sunni, marun sunni
    Karam Aey Sayyid-e-Aalam tera Ihsaan ho jaye

    Teri Naatien parrhun teri Sana mein Mast ho jaon
    Paey Akhtar Nigaah-e-Hazrat-e-Hassan ho jaye

    Teri Madh-o-Sana sunn kar sarray munkir karay maatam
    Magar jab bhi koi Sunni sunay Farhaan ho jaye

    Khurooj-o-Rafz ke Shar se mera aur meri Naslon ka
    Salamat deen-o-Iman Aey Mere Sultan ho jaye

    Mein Baghdad-e-Mu’alla aanay ko tayyar hun kab se
    Izn bas Haazri ka az Shah e Jeelan ho jaye

    Bareilly Hziri dun phr Chaloon Ajmer ko Khwajah
    Raza ke Faiz se mujh par tera faizan ho jaye

    Mere Ghous o Raza ka, mere Khwaja, mere Daata ka
    Mere Murshid ka Mujh pe Daaimi Faizan ho jaye

    Meri Naslain chalain Raah e Sunan par taa Dam e Aakhir
    Meri Aulaad Aaqa Aalim-e-Quran ho jaye

    Karam karna karam walay bharam rakhna bharam walay
    Teri Namoos pe Qurban yeh Irfan ho jaye
  • Durood Lab Par Khayal Dil Mein Aur Ashq Aankhon Mein Aa Rahe Hain

    Durood Lab Par Khayal Dil Mein
    Aur Ashq Aankhon Mein Aa Rahe Hain
    Huzoor Ke Dar Pe Jaa Rahe Hain
    To Iss Kareene Se Jaa Rahe Hain


    Rasool E Akram Zameen E Rabb Par
    Kisi Tarha Ghum Nibha Rahe Hain
    Jahan E Tarik Mein Lahu Se
    Charagh E Ulfat Jala Rahe Hain


    Charagh Tera Hai Noor Tera
    Badan Bhi Tera Lahu Bhi Tera
    Ye Sab Teri Milkiyat Hai Aaqa
    Ke Hum To Karza Chuka Rahe Hain


    Hum Apni Nafsaniyat Ke Chahkar
    Tumhara Haq Kya Adaa Karenge
    Bas Ik Tumhara Karam Hai Aaqa
    Ke Jis Pe Takiya Laga Rahe Hain


    Main Dayr Se Aa Sakunga Aaqa
    Gunah Ki Gathriyan Lagi Hain
    Ba Teri Rehmat Ke Aasre Par
    Qadam Qadam Badhte Jaa Rahe Hain


    Janaab E Adam Bhi Keh Rahe Hain
    Madad Kisi Aur Darr Se Maango

    Kaleem O Isa Bhi Mere Aaqa
    Tumhari Janib Hi Aa Rahe Hain


    Barouz E Mehshar Tumhara Mujrim
    Tumhare Daman Mein Aake Chhupta

    Magar Wahan Auliya Jama Hain
    Jo Sur Sun Sun Ke Aa Rahe Hain


    Mein Sakht Maayus Ho Chuka Tha
    Ke Ghous E Azam Pukar Uthhe
    Mere Aaqa Mere Muridon Ko
    Jaane Kab Se Bula Rahe Hain


    Humara Ghumkhwar Bhi Hai Koyi
    Kisi Ko Humse Bhi Hai Mahabbat
    Tumhari Naatein Suna Suna Kar
    Zamane Bhar Ko Jata Rahe Hain


    Teri Ghulmai Ki Tabedari Ko
    Badshahi Mukabala Hai
    Ke Ba-Yazeed O Junaid Jaise
    Sifarishein Leke Aa Rahe Hain


    Tumhari Sarkar Aala Shah Mein
    Huroof E Ashraf Ki Aabru Kya

    Wahan To Hassan Naat Khwan Hain
    Raza Bhi Nagme Suna Rahe Hain



  • Ek Main Hi Nahi Unn Par Qurbaan Zamana Hai

    Ek Main Hi Nahi Unn Par Qurbaan Zamana Hai
    Jo Rabb E Do A’alam Ka Mehboob Yagana Hai

    Kal Pul Se Hamey Jisne Khud Paar Lagana Hai
    Zahra Ke Wo Baba Hai Hasnain Ke Nana Hai

    Izzat Se Na Kyu Marr Jaayein Naam E Muhammad Par
    Yun Bhi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai

    Pur Noor Siraahe Hai Ghumbad Pe Nigahein Hai
    Jalwe Bhi Anokhe Hain Manzar Bhi Suhana Hai

    Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Me Kuch Mohlat
    Milaad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

    Aao Dar E Zahra Par Failaaye Hue Daaman
    Ye Nasl Kareemo Ki Lajpaal Gharana Hai

    Mehroom E Karam Isko Rakhna Na Sar E Mehshar
    Jaisa Hai Naseer Aakhir Sa’il To Purana Hai
  • Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain

    Lou Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain
    Dil Ko Hum Matla E Anwaar Banaye Huye Hain

    Kashtiya Apni Kinaare Se Lagaye Huye Hain
    Wo Kya Doobe Jo Muhammad Ki Tiraye Huye Hain

    Sharm E Isyaan Se Nahi Saamne Jaaya Jaata
    Ye Bhi Kya Kam Hai Tere Shehar Mein Aaye Huye Hain

    Ik Jhalak Aaj Dikha Ghumbad E Khazra Ke Makee
    Kuch Bhi Hain Door Se Deedar Ko Aaye Huye Hain

    Qabr Ki Neend Se Uthna Koyi Aasaan Na Tha
    Hum To Mehshar Mein Unhe Dekhne Aaye Huye Hain

    Naam Aate Hi Abu Bakro Umar Ka Lab Par
    Kyu Bigadta Hai Wo Pehlu Mein Sulaye Huye Hain

    Haazir O Naazir O Noor O Bashar O Ghaib Ko Chor
    Shukr Kar Wo Tere Aybo Ko Chupaye Huye Hain

    Kyu Na Palla Tere A’amal Ka Bhari Ho Naseer
    Ab To Meezan Pe Sarkaar Bhi Aaye Huye Hain



    Listen Audio 

  • Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya

    Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
    Yusuf Ko Tera Taalib E Deedar Banaya

    Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
    Kaunain Ki Khaatir Tumhein Sarkaar Banaya

    Kunji Tumhein Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
    Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya

    Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
    Aasi Ka Tumhein Haami O Ghumkhwaar Banaya

    Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hain Bhikaari
    Sarkaar Banaya Tumhein Sarkaar Banaya

    Lillah Karam Mere Bhi Veerana E Dil Par
    Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya

    Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
    Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya

    Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
    Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya

    Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
    Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya

    Har Baat Bad A’amaliyon Se Maine Bigaadi
    Aur Tum Ne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya

    Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
    Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya
  • Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina

    Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
    Ke Sab Jannatein Hain Nisaar E Madina

    Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina
    Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina 

    Khula Hain Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat
    Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali
    Muraadon Se Daaman Nahi Koi Khaali
    Qitare Lagaye Khade Hai Suwaali

    Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
    To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Wali
    Wo Darbaar Sach Much Mere Saamne Tha
    Abhi Tak Tasavvur Tha Jiska Khayali

    Main Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
    To Thi Dusre Haath Me Thi Unki Jaali
    Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
    Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali

    Madina Madina Humara Madina
    Hume Jaan O Dil Se Hai Pyara Madina
    Suhana Suhana Dilara Madina
    Har Aashiq Ki Aankhon Ka Taara Madina

    Pahado Pe Bhi Husn, Kaante Bhi Dilkush
    Hain Qudrat Ne Kaise Sawaara(n) Madina
    Khuda Gar Qayamat Mein Farmaye Maango
    Lagayenge Deewane Naara Madina

    Rage Ghul Ki Jab Naazuki Dekhta Hu
    Mujhe Yaad Aate Hain Khaar E Madina
    Mubarak Rahe Andalibo Tumhe Gull
    Hume Gull Se Behtar Hain Kahaar E Madina

    Rahe Unke Jalwe Base Unke Jalwe
    Mera Dil Bane Yaadgaar E Madina
    Murad E Dil Bul Bule Be Nawade
    Khudaya Dikha De Bahaar E Madina

    Audio Credit: owaisqadri.com
  • Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain (Complete)

    Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain
    Yak Ne Jisko Yak Banaya Aap Hain

    Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
    Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain

    La Makaan Tak Jis Ki Phaili Raushni
    Wo Charaage Aalam Aara Aap Hain

    Hai Namak Jis Ka Khameer E Husn Mein
    Wo Maleehe Husn Aara Aap Hain


    Naazish E Arsho Waqaar E Arshiyaan
    Saahibe Qausain O Adna Aap Hain


    Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aaina
    Jis Mein Chamke Haq Ka Jalwa Aap Hain


    Aap Jaisa Koyi Ho Sakta Nahi
    Apni Har Khoobi Mein Tanha Aap Hain

    Aapko Rab Ne Kiya Apna Habeeb
    Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Hain

    Aapki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
    Qabr Mein Pohcha To Dekha Aap Hain


    Aapki Khatir Banaye Do Jahaan
    Apni Khatir Jo Banaya Aap Hain

    Jaan Tui Jaanam Qaraare Jaan Tui
    Jaane Jaan Jaane Maseeha Aap Hain

    Aapse Khud Aap Ka Saail Hun Main
    Jaane Jaan Meri Tamanna Aap Hain


    Bar Darat Aamad Gada Behre Suwaal

    Ho Bhala Akhtar Ka Daata Aap Hain

    Sallallahu Alaihe Wasallam


  • Abr e Karam Gesoo e Muhammad

    Abr e Karam Gesoo E Muhammad
    Donu Haram Abroo E Muhammad

    Sab ki Nazar hay Soo E Ka’bah
    Ka’bah takay hay Roo E Muhammad

    Ka’bay ko kis ne banaya Qiblah
    Ka’bay ka Ka’bah Roo E Muhammad

    Sajda E Sar hay Soo E Ka’bah
    Sajda-e-Dil hay Soo E Muhammad

    Saaray Chaman mein kis ki Khushboo
    Khushboo hay Khushboo E Muhammad

    Kis ki Chamak hay Paykar E Gul mein
    Gul mein Khila hay Roo E Muhammad

    Dhaaray chalay har Ungli se Unki
    Dekho wo Nikli Joo E Muhammad

    Sab se Anokha Moo E Muhammad
    Sab se Niraali Koo E Muhammad

    Kis ka Moo deta hay Gawahi
    Moo E Muhammad Moo E Muhammad

    Zinda hay Wallah Zinda hay Wallah
    Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad 

    Rashk E Tayba kia hay dikhaun?
    Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad

    Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
    Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

    ye raah Mahki woh raah mahki
    Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

    Akhtar E Khasta Chal de Jinaan ko
    Baag E Jinaan hay Koo E Muhammad
  • Farishtay Jis Kay Zaa’ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay

    Farishtay Jis Kay Zaa’ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay
    Yeh Woh Turbat Hay Ji Ko `Arsh e A`zam Pur Fazeelat Hay!


    The destination of the angels is the shrine in Medina,
    Ranking higher than the Great Throne, is this shrine in Medina!



    Bhala dasht e Madinah say chaman ko koi nisbat hai;
    Madinay ki fazaa rashk e bahaar e baagh e jannat hai.

    Can the gardens even compare with the plains of Medina?
    The bloom of Paradise envies the air of Medina!

    Madinah gar salamat hay to phir sab kuch salamat hai;
    Khuda rakhay Madinay ko, issi ka damm ghaneemat hai..

    Guaranteed is the safety of all, upon the safety of Medina,
    May Allah preserve the city, sufficient for us is Medina!

    Madinah aisa gulshan hai jo har gulshan ki zeenat hai;
    bahaar e baagh e jannat bhi Madinay ki ba-dawlat hai..

    The beauty of every garden is the garden of Medina,
    The blossoms of Paradise too, are due to Medina!

    Madinah chor kar sayr e jinaa(n) ki kya zaroorat hai;
    yeh jannat say bhi behter hai yeh jeete jee ki jannat hai.

    What is the need to roam in Paradise, leaving Medina?
    A living Paradise, nay better than Paradise is Medina!

    Humee(n) kya Haqq ta’aala ko Madinay say muhabbat hai;
    Madinay say muhabbat un say ulfat ki `alaamat hai!

    Not just we, even the truthful Lord loves Medina,
    A sign of love for the beloved, is the love of Medina!

    Ilahi!! Woh Madinay Kaisi Basti Hay Dikhaa-Dayna;
    Jahaa(n) Rahmat Barasti Hay Jahaa(n) Rahmat Hi Rahmat Hay..

    What does the city look like? O Lord, show us Medina!
    Where it rains mercy upon mercy, the city of mercy Medina!



    Madinah Chor Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahi(n) Sakti;
    Madinay Say Mahabbat Hay To Jannat Ki Zamanat Hay.

    Lost is the aroma of Paradise, if you abandon Medina,
    Gained is Paradise itself, if you have love for Medina!



    Zamee(n) Pur Woh Muhammad Hain, Woh Ahmad Asmaano(n) Main;
    Yahaa(n) Bhi Un Ka Charcha Hay – Wahaa(n) Bhi Un Ki MidHat Hay..

    He is Mohammad on earth, and Ahmed in the skies,
    Praised in both the worlds, is the master of Medina!



    Yahaa(n) Bhi Un Ki Chalti Hay, Wahan Bhi Un Ki Chalti Hay;
    Madinah Raajdhaani Hay Do `Aaalam Pur Hukoomat Hay!

    He reigns in this world, and is obeyed even in the heavens,
    He governs both the worlds, the capital is Medina!



    Ghazab Hi Kardiya AKHTAR, Madinay Say Chalay Aa’aey;
    Yeh Woh Jannat Hay Jis Ki `Arsh Waalo(n) Ko Bhi Hasrat Hay.

    You wronged yourself, O Akhtar, why did you leave Medina?
    Even the angels long for it- such is the Paradise called Medina!

    Madinah Chor Kar Akhtar Bhala Kyu(n) Jaa’ayn Jannat Ko?
    Yeh Jannat Kya Har Ik Ni`mat Madinay Ki Ba-Dawlat Hay.

    So why should you, O Akhtar, go to Paradise leaving Medina?
    For all the bestowals, not just Paradise, are due to Medina!


    English Translation By : Aqib alQadri