Category: S

  • Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin

    Salle ala nabi ye na sale ala Mohammadin
    Salle ala shafiye na sale ala Mohammadin
    Ham bhi Madine jaye gei ajj nahi to kal sahi
    Aqa hamme bulaye gei ajj nahi to kal sahi
    Galiyoun mein ghum ghum kar Khakhe Madina chum kar
    Nazroun se ham lagaye gei aaj nahi to kal sahi
    Dekha jo Un ko baanethe main ne bhi bar ke shouk se
    Daste ata ke samne daste talab barha diya
    Aamade Mustafa hoyi roshan zamana ho geya
    Jin ke Huzoor ho geye un ka zamana ho geya
    Haal dil sunayein gei aaj nahi to kal sahi
    Bighri apni banaye gei aaj nahi to kal sahi
  • Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh

    Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
    Karam Ka Chashma E Jaari Hai Barahvi Tareekh


    Hame To Jaan Se Pyari Hai Barahvi Tareekh
    Aduu Ke Dil Ko Katari Hai Barahvi Tareekh


    Isi Ne Mousame Gil Ko Kiya Hai Mousame Ghul
    Bahar E Fazl E Bahari Hai Barahvi Tareekh


    Falak Pe Arshe Baree Ka Ghuman Hota Hai
    Zameen E Khuld Ki Kyari Hai Barahvi Tareekh


    Tamaam Ho Gayi Meelad E Ambiya Ki Khushi
    Hamesha Ab Teri Baari Hai Barahvi Tareekh


    Khuda Ke Fazl Se Imaan Me Hai Hum Poore
    Ke Apni Rooh Me Saari Hai Barahvi Tareekh


    Wiladat E Shahedee Har Khushi Ki Ba-is Hai
    Hazaar Eid Se Bhaari Hai Barahvi Tareekh


    Hamesha Tune Ghulamo Ke Dil Kiye Thande
    Jale Jo Tujhse Wo Naari Hai Barahvi Tareekh


    Aduu Wiladat E Shaita(n) Ke Din Manaye Khushi
    Ke Eid Eid Hamari Hai Barahvi Tareekh


    Hasan Wiladat E Sarkaar Se Huva Roushan
    Mere Khuda Ko Bhi Pyari Hai Barahvi Tareekh
  • SUBHE-BAHARAAN

    Maulood-E-Mustafa Hai Ye Jashn Ka Sama Hai  Ye Subh-E-Baharaan Hai Ye Jashn-E-Mustafa Hai
    Subh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo  Jashn-E-Baharaan Milkay Manao  Shaadmaani Ke Taranay Goonjtay Hain Har Jagah  Aashiqaan-E-Mustafa Jhoomtay Hain Har Jagah  Subh-E-Baharaan Aayei Hai Jhoomo  Jashn-E-Baharaan Milkay Manao
    Deep Khushi Ke Milkay Jalao  Aaye Hain Aaqa Sabko Batao
    Jashn-E-Nabi Phir Jashn-E-Nabi Hai  Karlo Charaghaan Rung Jamao
    Bachon Ko Apne Dars Ye Dena  Aal-E-Nabi Ka Ishq Sikhao
    Roothay Hain Jou Bhi Unko Manao  Rung-E-Mohabbat Dil Pe Charhao
    Deen-E-Nabi Ke Tum Ho Muhafiz  Apni Jawani Isspe Lutao
    Chahtay Ho Gar Sheyron Ka Charcha  Rung Raza Ka Naat Mein Lao
    Rehmat-E-Rab Hai Aamad-E-Aaqa  Ne’matein Rab Ki Khushiyan Manao
    Dil Ki Laggi Tum Aur Barhao  Naat Ujagar Aur Sunao
  • Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho

    Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
    Mairaj Ka Dulha Kain Bana Jibril e Amin Se Poocho
    Kya Hai Tauqeer e Shah e Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
    Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
    Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho
    Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
    Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
    Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho
    Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
    Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
    Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho
    Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
    Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
    Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho
    Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
    Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
    Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho
    Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
    Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
    Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho
    QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
    Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
    Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho
  • Shahe Kounain Jalwa Numa Ho Gaya

    Shahe Kounain Jalwa Numa Ho Gaya
    Rang A’alam Ka Bilkul Naya Ho Gaya


    Muntakhib Aapki Zaate Waala Hui
    Naam E Paak Aapka Mustafa Ho Gaya


    Mil Gaya Tujhse ALLAH Ka Raasta
    HAQ Se Milne Ka Tu Waasta Ho Gaya


    Aisa Aizaaz Kisko Khuda Ne Diya
    Jaisa Baala Tera Martaba Ho Gaya


    Aisi Nafiz Tumhari Hukumat Hui
    Tumne Jis Waqt Jo Kuch Kaha Ho Gaya


    Maah Paara Hua Suraj Ulta Phira
    Jab Ishara Tumhara Zara Ho Gaya


    Tere Hi Noor Se Dono A’alam Bane
    Tu Hi To Ibtida Intaha Ho Gaya


    Usne WALLAH ALLAH Ko Paa Liye
    Jo Koi Tujhpe Dil Se Fida Ho Gaya


    Naam Tera Dame Naz’a Jisne Liya
    Uska Imaan Par Khaatma Ho Gaya


    Ilme Gaibe Nabi Ka Jo Munkir Hua
    Kehre Kahhar Me Mubtila Ho Gaya


    Dekh Aayi Na Najdi Ke Touheen Se
    Tera Chehra To Ulta Tawa Ho Gaya


    Naaz Kar Ay Jameel Apni Qismat Par Tu
    Khaaq E Nalain E Ahmed Raza Ho Gaya
  • SARKAAR KE QADMO MEIN

    Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
    
    Sud Shukar Keh Mein Phir Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Rud Kaisay Bhala Hogi Ab Koi Dua Meri
    Mein Rub Ko Pukar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein


    Kuch Kehne Se Pehle Hee Puri Hoi Har Khuwahish
    Jo Socha Wohi Paaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Kuch Lamhay Huzoori Ke Paaye Tou Ye Lagta Hai
    Ik Umar Guzaar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein


    Mujh Jaisa Tahee Damaan Kiya Nazar Ko Lejaata
    Ik Naat Suna Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

    Yaad Aayi Sabih Apni Har Aik Khata Mujh Ko
    Aamaal Pe Sharmaaya Sarkaar Ke Qadmon Mein
  • Sabse Aula Wo A’ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Sabse Aula Wo A’ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
    Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
    Dono A’alam Ka Dulha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
    Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
    Shama’a Woh Le Kar Aaya  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
    Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,
    Aur Rasoolon Se A’ala  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
    Woh Maleehe Dilaara Hamara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
    Namakeen Husn Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
    Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,
    Inka Unka Tumhara  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi
    Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
    Deene Waala Hai Sachha  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise,
    Hain Us Achhe Se Achha  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
    Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
    Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    La Makaa Tak Ujaala Hai Jisko Wo Hain
    Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise
    Hai Uss Unche Se uncha  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
    Andhe Sheesho Mein Chamka  Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

    Gamzado Ko Raza Muzda-Di-Jiye Ke Hain
    Be-Kasoon Ka Sahaara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم


    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Sarwar Kahoo Ke Maliko Maula Kahu Tujhe

    Sarwar Kahoon Kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay
    Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoon Tujhay
    Subh-e-Watan Pay Shaam-e-Ghareeban Ko Doon Sharaf
    Bey-Kus Nawaaz Gey-Sue-Oon Wala Kahoon Tujhay
    Allah Nay Teyray Jism-e-Munawwar Kee Taa-Bish-Aeyn
    Aey Jaan-e-Jaan Mein Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhay
    Mujrim Hoon Apnay Af’oo Ka Samaan Karoon Shah-aa
    Ya’nee Shafe’e Roz-e-Jaza Ka Kahoon Tujhay
    Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hain Baree
    Hairaan Hoon Meyray Shah Mein Kya Kya Kahoon Tujhay
    Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khaam-Shee
    Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
    Leykin Raza Nay Khatm-e-Sukhan Iss Pay Kar Dia
    Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay