Ghamo Ko Dhoop Me Wo Saayae Zulfe Dota Kar De
Jahaan Bani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De
Nabi Mukhtare Qul Hai Jiss Ko Jo Chahe Ataa Kar De
Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam-me Kya Se Kya Kar De
Jameen Ko Aasmaa Kar De Suraiya Ko Sara Kar De
Fazaa Me Udne Waale Yu Na Itraye Nida Kar De
Wo Jab Chahe Jise Chahe Usme Farma Rawa Kar De
Meri Mushkil Ko Yu Aasaa Mere Muskil Kusha Kar De
Har Aik Mauje Balaa Ko Mere Maula Nakhuda Kar De
Ataa Ho Bekhudi Mujhko Khudi Meri Hawa Kar De
Mujhe Yu Apni Ulfat Me Mere Maula Fanaa Kar De
Jahaan Me Aam Paighame Shahe Ahmad Raza Kar De
Palat Kar Peeche Dekhe Fir Se Tajdeede Wafa Kar De
Nabi Se Jo Ho Begana Use Dil Se Juda Kar De
Pidar Madar Biradar Maalo Jaan Un Par Fida Kar De
Wo Yu Hi Aazmate Hain Wo Ab To Faisla Kar De
Gile Taibah Me Mil Jau Gulome Milke Khiljau
Hayaate Jaavedaani Se Mujhe Yu Aashna Kar De
Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yaawar Hain Wo Yaawar
Balao Ko Meri Jo Khud Giraftare Balaa Kar De
LISTEN ONLINE Audio Credit: owaisqadri.com
Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Tadapte Hai Tere Gulam Unse Kehna
Ho Jab Saamne Sabz Ghumbad tumhare
Nigahe Aqeedat Se Daaman Pasare
Hai Haazir Tumhara Ghulam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Badi Chahato Se Hai Iss Darr Ko Paaya
Pada Hi Rahu Darr Na Chute Tumhara
Na Jaunga Ab Tishnakaam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Phire Kab Talak Darr Ba-Darr Be Sahare
Kise Jaye Hum Apne Dil Ki Sunane
Tumhi To Banate Ho Kaam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Isi Aarzu Me Guzarte Rahe Din
Ki Pahuche Dayare Nabi Hum Bhi Lekin
Nahi Hai Koi Intezam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Dikha Do Anas Ko Dilkash Nazare
Taraste Hai Jinko Musalmaan Saare
Ye Baatein Basad Ehteraam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Mere aaqa ki hai shaan sabse alag
unki bakshish ka unwaan sabse alag
Audio Credit: owaisqadri.com
Mustafa Khairul Wara Ho
Sarware Har Do Sara Ho
Kiske Fir Ho Kar Rahe Hum
Gar Tumhi Humko Na Chaho
Badd Kare Har dam Burayi
Tum Kaho Unka Bhala Ho
Hum Wahi Shayane Rad Hai
Tum Wahi Shaan E Sakhaa Ho
Hum Wahi Nange Zafa Hai
Tum Wahi Jaan E Wafa Ho
Umr Bhar To Yaad Rakha
Waqt Par Kyu Bhulna Ho
Ye Bhi Maula Arz Kar Du
Bhul Agar Jaao To Kya Ho
Wo Ho Jiska Naam Lete
Dushmano Ka Dil Bura Ho
Mar Mite Barbaad Bande
Khana Aabad Aagh Ka Ho
Tumko Wo WALLAH Tum Ko
Jaan O Dil Tum Par Fida Ho
Tumse Ghum Ko Kya Ta’alluk
Be-kaso Ke Ghumzuda Ho
Wo Ataa De Tum Ataa Lo
Wo Wahi Chahe Jo Chaho
Kyu Raza Mushkil Se Dariye
Jab Nabi Mushkil Kusha Ho
Main lab kusha nahi hoon aur mehwe ilteja hu
main mehfil e haram ke aadaab jaanta hu
Koi to aankh waala guzrega is taraf se
Taibah ke raaste me main muntazir khada hu
Ye roshni si kya hai, khushboo kahan se aayi
shayad main chalte chalte ROUZE tak aa gaya hu
Taibah ke sab bhikari pehchante hai mujhko
mujhko khabar nahi thi main is kadar bada hu
Doori o haazri mein ek baat mushtarak hai
kuch khwaab dekhta tha kuch khwaab dekhta hu
Iqbaal mujhko ab bhi mehsus ho raha hai
ke ROUZE ke saamne hu aur naat padh raha hu
Maah E Rabi Ul Awwal Aaya
Rabb Ki Rehmat Saath Me Laaya
Peer Ka Din Tareekh Hai Baarah
Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Aaj Ki Raat Baraat Rachi Hai
Aamena Ke Ghar Dhoom Machi Hai
Ghar Me Hoore Darr Pe Malak Hai
Jinke Qatare Ta-b-Falak Hai
Thandi Hawa Ka Jhonka Aaya
Shour Macha Ik Salle Alaa Ka
Lo Ab Uthi Gard E Savari
Paide Hue Mehboob E Baari
Rehmat E Aalam Noor E Mujassam
Sallallahu Alaihe Wasallam
Tum Bhi Utho Ab Waqt E Adab Hai
Zikre Wiladat Shahe Arab Hai
Takht Hai Unka Taaj Hai Unka
Dono Jahan Pe Raaj Hai Unka
Jinno Malak Hai Unke Sipahi
Rab Ki Khudai Me Inshahi
Unche Unche Yaha Jhukte Hai
Saare Unhi Ka Muh Takte Hai
Shaho Gada Hai Unke Sawaali
Fakhr Hai Sabko Inki Ghulami
Kaabe Ki Zeenat Inhi Ke Dam Se
Taibah Ki Rounak Inke Qadam Se
Kaaba Ki Kya Saare Jaha(n) Me
Dhoom Machi Hai Kono Makaa(n) Me
Aamena Bi Ko La’al Mubarak
Daayi Haleema Ko Baal Mubarak
Tumko Khaleelullah Mubarak
Tumko Zabeehullah Mubarak
Daan Karo Kuch Jashn Hai Bhari
Darr Pe Khade Hai Saare Bhikari
Darr Pe Hai Haazir Apne Paraye
Aapke Dam Se Aas Lagaye
Chashme Karam Lillah Idhar Ho
Saalike Khasta Par Bhi Nazar Ho
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam (COMPLETE)
Muhammad nabina (With English Translation)
Binuru atina
Min Makkah Habibi nuru sata’ aal Madinah
Min salla Salatu, wet’hala bsifatu
Ya bakht elli fdhelou mechi, yechfa’alu fimamatu
Muhammad our prophet guides us with his light
From Makkah, O Beloved his light was glowing over Madinah
He who prays his prayers and tries to imitate his attitudes
Oh how lucky he is who walks in his presence
And gains his intercession after death
Ya Imamna ya Ameen
Ya sanad lil muslimeen
Ya Habibi ya Muhamad ya Ibn Abdullah.
Tammet irrisalat tamam, wel Habib Misk Elkhitam
Tul hayati wfslati bad’i assalli warah
Oh our Imam, the trustworthy One
Oh guardian & support to all Muslims
Oh my beloved Muhammad (s.a.w), the son of Abdullah
You completed the prophecies completely
And the Beloved One is the sweetest seal (of the Prophets)
Min awel youm fi o’mri, seme’t abuya wommi bisallu aalih
Allah umma salli aalih
Habbibni fil Iman, hassesni bil amen, we t’ala’t bih
Allahuma salli wasallem wabarek aalih
Allahuma salli wasallem wabarek aalih
Nefsi achufak fil manam… ya Rasulallah.
waabki aala kitfak wanam… ya habiballah.
wanul charaf lu’a sohbitak
wakhatti fi sfuf ummitak
wat’hama fik
Throughout all my life and in my prayers, I make a supplication to pray behind him [in the next life]
From the first day in my life that I heard my mother and father praying upon him
He endeared faith to me, granted peace to me & made me love him
Oh Allah send blessings & peace upon him
Oh Allah send blessings & peace upon him
I wish to see you in my dreams, O Messenger of God
And I cry on your shoulder & sleep there, o Beloved of God
And I attain honor with your accompaniment
And I walk among the ranks of your Ummah
And I am protected by you
Ya Habibi ya Taha, ya nagat mel mataha
Ghayart edonya fi I’inina bin lila wdhu’haha
Min salla Salatu, wet’hala bsifatu
Ya bakht elli fdhelou mechi, yechfa’alu fimamatu
Oh Beloved, o Pure One, you who had survived the maze
You changed the world in our eyes between a night and its morning [referring to the night journey]
He who prays his prayers and tries to improve his attributes
How lucky is he who walks in his shadow
And adds to him with his death
MILAAD HAI
Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinKonain Mein Hai Shohrat Milaad-E-Mustafa Ki Bajti Hai Jug Mein Nobat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinMaah-E-Rabi-Ul-Awwal Mauqa Hai Iss Khushi Ka Behtar Ho Iss Mein Kasrat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinFarsh-E-Zameen Se Leykar Arsh-E-A’zeem Tak Hai Ye Saari Khair-O-Barkat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinIblis Ke Jigar Per Chaltay Issiyare Iss Per Giraan Hai Shirkat Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinTa’zeem Ko Uthay Ab Yaaran-E-Anjum Sab Aayei Qareeb Sa’at Milaad-E-Mustafa KiMilaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai Aao Milaad Manayein Aao Milaad ManayeinShukr-E-Khuda Ada Kar Dil Se Habib Har Dum Jisnay Ye Dei Hai Ne’mat Milaad-E-Mustafa Ki