Category: M

  • Muraadein Mil Rahi Hain Shaad Shaad Unka Suwali Hai

    Muraadein Mil Rahi Hain Shaad Shaad Unka Suwali Hai
    Labo(n) Par Iltija Hai Haath Mein Rouze Ki Jaali Hai

    Teri Soorat Teri Seerat Zamane Se Nirali Hai
    Teri Har Har Adaa Praye Daleel E Be-Misaali Hai

    Wo Hain Allah Waale Jo Tujhe Waali Kahein Apna
    Ke Tu Allah Waala Hai Tera Allah Waali Hai

    Faqeero(n) Be-Nawao(n) Apni Apni Jholiya(n) Bhar Lo
    Ke Bara Bat Raha Hai Faiz Par Sakaar E Aali Hai

    Nikala Kab Kisi Ko Bazme Faiz E Aam Se Tumne
    Nikali Hai To Aane Waalo(n) Ki Hasrat Nikali Hai

    Khuda Shahid Ke Rouz E Hashr Ka Khatka Nahi Rehta
    Mujhe Jab Yaad Aata Hai Ke Mera Koun Waali Hai

    Hasan Ka Dard O Dukh Mouquf Farma Kar Bahaali Do
    Tumhare Haath Mein Dunya Ki Mouqufi Bahaali Hai

  • Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye
    Qismat Apni Chamkau Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Jab Pesh E Nazar Ho Mere Minar O Ghumbad Tere
    Main Ghash Kha-kar Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Fir Tere Ghumbad E Khazra Pe Rookar Dast-ba-dasta
    Sab Haal Main Tumko Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Dilko Apne Samjhakar Deedar Ki Aas Dila Kar
    Ro-Ro Kar Main So Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Wo Khwab ME Jalwa Dikhaye Ay Kaash Karam Farmaye
    Main Qadmo Mein Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

    Hai Dil Ka Ubaid Ye Armaa(n) Fir Banke Unka Mehmaa(n)
    Darbaar Mein Naat Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye
  • Maangne Ka Maza Hai Dar E Yaar Par

    Maangne Ka Maza Hai Dar E Yaar Par
    Har Talab Par Ataa Hai Dar E Yaar Par

    Kaun Lab Kholta Hai Dar E Yaar Par
    Be-Talab Mil Raha Hai Dar E Yaar Par

    Maang Unse “Nahi” Jinke Lab Par Nahi
    Jo Bhi Maanga Mila Hai Dar E Yaar Par

    Bakhsh De Ya Khuda Fazl Farma Tera
    Aaj Haazir Hai Gadaa Dar E Yaar Par

    Kyun Na Maange Ubaid Unke Dar Par Dua
    Jee Gaya Jo Maraa Hai Dar E Yaar Par
  • Muhammad Mazhar E Kaamil Hain Haq Ki Shaan E Izzat Ka

    Muhammad Mazhar E Kaamil Hain Haq Ki Shaan E Izzat Ka, 
    Nazar Aata Hay Is Kasrat Mein Kuch Andaaz Wahdat Ka. 

    Yahi Hay Asl E Aalam E Maadah Ijaad E Khalqat Ka, 
    Yahaan Wahdat Mein Barpa Hay Ajab Hangaama Kasrat Ka. 

    Gadaa Bhi Muntazir Hay Khuld Mein Nekon Ki Da’wat Ka, 
    Khuda Din Khair Sey Laaye Sakhi Key Ghar Ziyafat Ka. 

    Gunah Maghfoor, Dil Raushan, Khanak Aankhein, Jigar Thanda, 
    Ta’ala Allah Maah E Taiba Aalam Teri Tal’at Ka. 

    Na Rakhi Gul Key Josh E Husn Ne Gulshan Mein Jaa Baaqi, 
    Chatakta Phir Kahaan Ghuncha Koi Baagh E Risaalat Ka. 

    Barhaa Ye Silsila E Rahmat Ka Daur E Zulf E Waala Mein 
    Tasalsal Kaale Koson Reh Gaya Isiyan Ki Zulmat Ka. 

    Saf E Maatam Uthe Khaali Ho Zindaan Tootein Zanjeerain, 
    Gunahgaaro Chalo Mawla Ne Dar Khola Hay Jannat Ka. 

    Sikhaaya Hay Yeh Kis Gustaakh Ne Aaina Ko Yaa Rab, 
    Nazaarah Rooye Jaanaan Ka Bahaana Kar Key Hairat Ka. 

    Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaaliq Ki Rahmat Par, 
    Niraala Taur Hoga Gardish E Chashme Shafa’at Ka. 

    Barhein Is Darja Maujein Kasrat E Afdaal E Waala Ki, 
    Kinaarah Mil Gaya Is Neher Sey Daryaa E Wahdat Ka. 

    Kham E Zulf E Nabi Saajid Hay Mehraab E Do Abru Mein, 
    Ke Yaa Rab Tu Hi Waali Hay Siyah Kaaraan E Ummat Ka. 

    Madad Aay Joshish E Girya Baha De Kooh Aur Sehra, 
    Nazar Aa Jaaye Jalwah Be Hijaab Us Paak Turbat Ka. 

    Hue Kam Khwaabi-E-Hijraan Mein Saaton Parde Kam Khwaabi, 
    Tassawwur Khoob Baandha Aankhon Ne Astaar E Turbat Ka. 

    Yaqeen Hay Waqt E Jalwah Laghzishain Paaye Negah Paaye, 
    Mile Josh E Safaaye Jism Sey Paa Bos Hazrat Ka. 

    Yahaan Chirka Namak Waa Marham E Kafoor Haath Aaya, 
    Dil E Zakhmi Namak Parwardah Hay Kis Ki Malaahat Ka. 

    Ilaahi Muntazir Hoon Woh Khiraam E Naaz Farmaaein, 
    Bicha Rakha Hay Farsh Aankhon Ne Kam Khwaab E Basaarat Ka. 

    Na Ho Aaqa Ko Sajdah Adam O Yusuf Ko Sajdah Ho, 
    Magar Sad E Zaraay’ E Daab Hay Apni Shari’at Ka. 

    Zabaan E Khaar Kis Kis Dard Sey Un Ko Sunaati Hay, 
    Tarapna Dasht E Taiba Mein Jigar Afgaar Furqat Ka. 

    Sirhaane Un Key Bismil Key Ye Betaabi Ka Matam Hay, 
    Shahe Kausar Tarahham Tishnah Jaata Hay Ziyaarat Ka. 

    Jinhein Marqad Me Taa Hashr Ummati Keh Kar Pukaroge, 
    Hamain Bhi Yaad Kar Lo Un Mein Sadqa Apni Rahmat Ka. 

    Woh Chamke Bijliyan Yaa Rab Tajalli Haaye Jaanaan Sey, 
    Ke Chashm E Toor Surma Ho Dil Mushtaaq Rooyat Ka. 

    Raza E Khasta Josh E Behr E ’Isiyaan Sey Na Ghabraana, 
    Kabhi To Haath Aajaayega Daaman Unki Rahmat Ka.

  • Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaye

    Muhammad naam pe Qurban meri Jaan ho jaye
    Isi ke Sadqay mein Kaamil mera Iman ho jaye

    Mere Mushkil kusha Hasanain ka Sadqa Ata kar de
    Balaen door hon Mushkil Meri Aasan ho jaye

    Mere Aamal ka badla tabahi hay magar piyaray
    Mein Jannat ko sidharon jo tera farmaan ho jaye

    Madinay Paak ke kutton ki khidmat ka sharaf paaon
    Sagaan-e-Taybah ka Khadim, meri pehchan ho jaye

    Mein jaun daar-e-faani se mera Emaan Salamat ho
    Teri chahat teri Ulfat mera Saman ho jaye

    Mere Shafay’ sawali hun Nijaat-e-Aakhirat ka mein
    Sar-e-Mehshar Shafa’at ka teri Aey’laan ho jaye

    Mein hun Sunni, rahun sunni, jeeun sunni, marun sunni
    Karam Aey Sayyid-e-Aalam tera Ihsaan ho jaye

    Teri Naatien parrhun teri Sana mein Mast ho jaon
    Paey Akhtar Nigaah-e-Hazrat-e-Hassan ho jaye

    Teri Madh-o-Sana sunn kar sarray munkir karay maatam
    Magar jab bhi koi Sunni sunay Farhaan ho jaye

    Khurooj-o-Rafz ke Shar se mera aur meri Naslon ka
    Salamat deen-o-Iman Aey Mere Sultan ho jaye

    Mein Baghdad-e-Mu’alla aanay ko tayyar hun kab se
    Izn bas Haazri ka az Shah e Jeelan ho jaye

    Bareilly Hziri dun phr Chaloon Ajmer ko Khwajah
    Raza ke Faiz se mujh par tera faizan ho jaye

    Mere Ghous o Raza ka, mere Khwaja, mere Daata ka
    Mere Murshid ka Mujh pe Daaimi Faizan ho jaye

    Meri Naslain chalain Raah e Sunan par taa Dam e Aakhir
    Meri Aulaad Aaqa Aalim-e-Quran ho jaye

    Karam karna karam walay bharam rakhna bharam walay
    Teri Namoos pe Qurban yeh Irfan ho jaye
  • Meem E Madina Marehra Ki Qismat Hai

    Meem E Madina Marehra Ki Qismat Hai
    Iss Ghumbad Ko Uss Ghumbad Se Nisbat Hai

    Khali Jholi Le Kar Mangta Aaye Hain
    Hazrat E Qasim Ki Jaanib Se Daawat Hai

    Yaha Se Jo Khaali Lauta Khali Hi Raha
    Han Han Aisa Saksh Bada Bad-Qismat Hai

    Dekho Ye Kaisa Noorani Chehra Hai
    Murshid Ka Deedar Bhi Ek Ibadat Hai

    Unke Murshid Unke Upar Naaz Kare
    Han Han Ye Bhi Shaan E Aala Hazrat Hai

    Nazmi Tum Bhi Paanv Pakad Lo Murshid Ke
    Inn Qadmon Ke Neeche Bhi To Jannat Hai
  • Muravvato ke Jameel Paykar Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Muravvato ke Jameel Paykar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder
    Inayaton Ke Sarapa Khu-gar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Amanato Ke Sharafato Ke 
    Najaabato Aur Fazeelato Ke
    Luta Rahe Hain Haseen Gouhar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Isharatein Inki Pyari Pyari
    Hiqayatein Inki Nyari Nyari
    Balahaton Ke Daraksha(n) Akhtar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Nawazishe Inki Be-Misaali
    Ye Bhar Hi Dete Hain Kaasa Khali
    Hain Be-Nawao Ke Aap Yaavar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Hain Ye Shariyat Ke Durre Yakta
    Hain Ye Tareeqat Ke Kohe Baala
    Hamare Haadi Hamare Rehbar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Bohat Ziyada Shafeeq Hain Ye
    Bohat Ziyada Khaleeq Hain Ye
    Haseen Inka Har Ek Tewar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Ye Noorie Gaddi Ke Pasbaa(n) Hain
    Ye Baagh E Barkat Ke Baghba(n) Hai
    Hain Meharbaan Ye Hamare Dilbar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Ho Tang Nazri Ki Door Zulmat
    Ho Har Su Roushan Charagh E Ulfat
    Lage Hai Koshish Mein Ye Sarasar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder

    Mere Labon Pe Yahi Dua Hain
    Yahi Mushahid Ka Mudd’a Hain
    Rahe Saro Par Ye Saaya Gustar
    Rafeeq E Millat Najeeb Hayder
  • Tumhare Sajde Ko Kaaba Salaam Kehta Hai

    Tumhare Sajde Ko Kaaba Salaam Kehta Hai
    Jalaal e quba e khazra salaam kehta hai.

    Chaman Ka Harr Gul O Guncha Salaam Kehta Hai
    Hussain Tum Ko Zamana Salaam Kehta Hai


    Charaag Wa Masjid Wa Mimbar Salaam Kehte Hain
    Nabi Rasool Payamber Salaam Kehte Hain

    Ali Wa Fatima Shabbar Salaam Kehte Hain
    Khuda Gawaah Ho Ke Nana Salaam Kehte Hai


    Khuda Ki Raah Me Sarr Ko Kata Diya Tumne
    Nabi Ke Deen Pe Ghar Ko Luta Diya Tumne

    Nishaan E Kufr Ko Yaksar Mita Diya Tumne
    Tumhe Khuda Bhi Tumhara Salaam Kehta Hai


    Tumhein Falak Ke Sitaare Salaam Kehte Hain
    Tumhein Quraan Ke Paare Salaam Kehte Hain

    Tumhein Haram Ke Minaare Salaam Kehte Hain
    Imaam Tum Ko Madina Salaam Kehta Hai


    Sana Tumhari Wazeefa Hai Mera Aaba-i
    Tumhari Mad-h To Shewa Hai Mera Maulai

    Bas Ek Nazar Ho Jo Mujh Par To Meri Ban Aayi
    Tumhara Sayyid Shaida Salaam Kehta Hai
  • Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain (Complete)

    Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain
    Yak Ne Jisko Yak Banaya Aap Hain

    Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
    Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain

    La Makaan Tak Jis Ki Phaili Raushni
    Wo Charaage Aalam Aara Aap Hain

    Hai Namak Jis Ka Khameer E Husn Mein
    Wo Maleehe Husn Aara Aap Hain


    Naazish E Arsho Waqaar E Arshiyaan
    Saahibe Qausain O Adna Aap Hain


    Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aaina
    Jis Mein Chamke Haq Ka Jalwa Aap Hain


    Aap Jaisa Koyi Ho Sakta Nahi
    Apni Har Khoobi Mein Tanha Aap Hain

    Aapko Rab Ne Kiya Apna Habeeb
    Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Hain

    Aapki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
    Qabr Mein Pohcha To Dekha Aap Hain


    Aapki Khatir Banaye Do Jahaan
    Apni Khatir Jo Banaya Aap Hain

    Jaan Tui Jaanam Qaraare Jaan Tui
    Jaane Jaan Jaane Maseeha Aap Hain

    Aapse Khud Aap Ka Saail Hun Main
    Jaane Jaan Meri Tamanna Aap Hain


    Bar Darat Aamad Gada Behre Suwaal

    Ho Bhala Akhtar Ka Daata Aap Hain

    Sallallahu Alaihe Wasallam


  • Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam

    Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam
    Daste Qudrat Ke Shahkaar Salaam
     
    Dono Aalam Ke Taajdaar Salaam
    Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam

     
    Khaake Taibah Bane Meri Hasti
    Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam
     
    Phir Madine Mein Kab Bulaaoge
    Tum Se Kehta Hai Intizaar Salaam

     
    Mujhe Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahee
    Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam

     
    Khuld Kehti Hai Yeh Madeene Se
    Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam

     
    Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila
    Jiska Barhta Rahe Khumaar Salaam
     
    Dard E Ulfat Mein De Mazaa Aisa
    Dil Na Paaye Kabhi Qaraar Salaam

     
    Teri Khaatir Zaleel Hona Hai
    Meri Izzat Mere Waqaar Salaam
     
    Apne Akhtar Ka Lo Salaam Shaha
    Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam!!!