Category: K

  • Kis Chiz ki Kami hai Maula teri Gali main

    Kis Chiz ki Kami hai Maula teri Gali main
    Duniya Teri Gali main uqba Teri Gali main

    Diwangi pe meri Haste hai aqalwale
    Rasta teri gali ka puchha Teri gali main

    Diwana kar diya hai Diwana ho gaya hu
    Dekha hai Maine Aisa jalwa Teri gali main

    Mauto Hayat Meri Dono Tere liye hai
    Marna Teri gali main Jina teri gali main


    Kis Tarah pao Rakhe YaSahibe Bashirat
    Aankhe bichi huwi hai "Har" jaa teri gali main

    Suraj Tajallio ka har dam chamak Raha hai Dekha nahi kisi Din Saya Teri gali main Amjad ko Aaj tak ham Adna samajh rahe the Lekin Maqam uska paya teri gali main

  • Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me

    Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
    Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me



    Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me
    Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me

    Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
    Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me


    Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe
    Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me

    Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke
    Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me


    Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye
    Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me

    Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
    Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me


    Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz
    Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me

    Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
    Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me


    Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye
    Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me

    Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
    Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me


    Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho
    Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me

    Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he
    Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me


    Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
    Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me 



    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Kaabe ke rounaq Kaabe ka manzar

    Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar
    Allahu Akbar Allahu Akbar
    Dekhon tu dekhe jaon barabar
    Allahu Akbar Allahu Akbar


    Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane
     kaano mein russ gholtee hein Azaane
    Bas ik sadaa aarahi he baraabar


    Tere haram ki kya baat Mawla 
    tere karam ki kya baat Mawla
    Ta umar karde aana muqaddar


    Maangi hein mein ne jitnee duae
    manzoor hongi maqbool hongi
    Meezab-e-Rehmat he mere sar par


    Yaad agaye jab apni khataye 
    ashkon mein dhalne lagee iltijaye
    Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar


    Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne 
    chuuma he tujhko khud Mustafa ne
    Ay sung-e-Aswad tera muqqadar


    Mawla sabhi aur kya chahta he 
    bas maghfirat ki ataa chahta he
    Bakhshish ke talib pe apna karam kar

  • Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye


    Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye
    To Har Badkaar Banda Damme Nekokaar Ho Jaye


    Jo Mo’min Dekhe Tumko Mahram E Asraar Ho Jaye
    Jo Kafir Dekhle Tumko Wo Deendaar Ho Jaye


    Jo Sar Rakhde Tumhare Qadam Pe Sardaar Ho Jaye
    Jo Tumse Sar Koi Fere Zaleelo Khaar Ho Jaye


    Talatum Kaise Bhi Kuch Ho Magar Ay Na Khuda E Man
    Ishara Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye


    Inayat Se Mere Sar Par Agar Wo Kafshe Paa Rakh De
    Ye Banda Taajdaaro Ka Bhi To Sardaar Ho Jaye


    Tumhare Faiz Se Lathi Misaale Sham’a Roushan Ho
    Jo Tum Lakdi Ko Chaho Tej Talwaar Ho Jaye


    Gunah Kitne Hi Aur Kaise Hi Ho Par Rehmate Aalam
    Shafa’at Aap Farmaye To Beda Paar Ho Jaye


    Bharam Reh Jaye Mehshar Me Na Palla Halka Ho Apna
    Ilahi Mere Palle Par Mere Ghum Khwar Ho Jaye


    Tumhare Hukm Ka Bandha Hua Suraj Phire Ulta
    Jo Tum Chaho Ke Shab Din Ho Abhi Sarkaar Ho Jaye


    Kawafi Aur Mazami Achhe Achhe Hai Abhi Baaki
    Magar Bas Bhi Karo Noori Na Parhna Baar Ho Jaye
  • Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah (with audio)

    Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah
    Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah
    Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah
    Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah
    Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(n)
    Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah
    Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
    Nadiya(n) Panj Aab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah
    Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah
    Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah
    Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi
    Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah
    Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain
    Naatwa(n) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah
    Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah
    Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah
    Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein
    Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah
    Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj
    Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah
    Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka
    Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah
    Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar
    Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah
    Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke
    Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah
    Para-E-Dil Bhi Na Nikla dil Se Tohfe Me Raza
    Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah

    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player

  • Khairul Bashar Par Lakho Salam (salaam) (with audio)

    Khairul Bashar par Lakho Salam
    Lakho Darood aur Lakho Salam


    Jinno Malaek Tere Ghulam
    Sab se siwa hai Tera Muqaam
    Yaseen O Taha Tere hi naam


    Ala se Ala Tera Muqaam
    Sab Ambiya ka Tu hai IMAM
    Kul Aulia hai Tere Ghulam


    Arshe baree tak charcha Tera
    Shams o Qamar hai Sadqa Tera
    Yeh mahe kamil husne tamam


    Sab ko mayas’sar ho yeh muqaam
    Pahoonche Madine bankar Ghulam
    Padhte Darood aur Padhte Salam


    Itna Karam to Farmaiye
    Rauze pe sab ko bulwaiye
    Hazir yahaan hai jitne ghulam


    Teri Sana hai mera naseeb
    Qurbaan Tujh par jaane Adeeb
    Tujh par tassaduq Alam tamam




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai (with audio)

    Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
    Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
    Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
    Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
    Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
    Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
    Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
    Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
    Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
    Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
    Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
    Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
    Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
    Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
    Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
    Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
    Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai





    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Kushiyo ki bahaare laaya Ramzan mubarak aaya

    Kushiyo ki bahaare laaya
    Ramzan mubarak aaya…
    dil joom ke mera gaaya
    Ramzan mubarak aaya..


    Qur’aa ki tilawat hogi
    bhar pur ibaadat hogi
    Quraan ka tohfa laaya
    Ramzan mubarak aaya


    sehri ki ajab raahat he
    iftar me wo ronaq he
    ik kaif ajab he chhaya
    Ramzan mubarak aaya


    roze ki ye lazzat dekho
    na pyas ki shiddat he wo
    kya sabr he hum ne paaya
    Ramzan mubarak aaya


    Ramzan to he oos ki
    ho saath me maa jiski
    ”turkee” ne to ashk bahaya
    jab Ramzan mubarak aaya


    Allah meri maa ko
    Ramzan ke sadqe me
    sab maaf gunah karde
    jannat bhi ataa karde
    zahra ka mile saaya
    Ramzan mubarak aaya
  • Kaun Shehre Makkah Mein

    Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha Aaya Hai
    Jiske Noor Se A’alam Saara Jagamagaya Hai


    Ghaib Se Nida Aayi Aamena Mubarak Ho
    Tune Rehmate Haq Se Noor Haq Ka Paaya Hai


    Thi Nida Shab E Asra Udno Minne Mehboob 
    Be Thadak Chale Aao, Humne Hi Bulaya Hai


    Aql Sabki Hairaa Hain Dekh Kar Shahe Dee Ko
    Ye Bashar To Hai Lekin, Kyu Na Inka Saaya Hai


    Inna-ma Ana Basharum Mislokum Ke Parde Me
    Haq Ne Apne Jalwo Ka Aayina Sajaya Hai


    Ya Nabi Main Tumpar Kyu Na Jaano Dil Fida Kar Du
    Humne Aapko Paa Kar To Khuda Ko Paaya Hai


    Daaman E Nabi Aashiq Ab Na Humse Chootega
    Humne Unse Jo Maanga, Wo Khuda Se Paaya Hai
  • Kaliya Zulfo Wala

    Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara
    Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
    Dassan ki main Mustafa di kaydi sohnii shaan hai
    Aap di tareef which sara hee Qur’an hai,
    Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Eyda sohna Nabi koi duniya tay aaya nahin
    Yaar ey ho jiyaa koyi Rab nay banaya naheen,
    Deed meray Nabi di hai Rab da nazaara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Denday nay gawahi zaray zaray koay toor day
    Wekhday naseeban walay jalway Hazoor day,
    Aamina da chan tay Halima da dhulara
    Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara.
    Kar kay ishara sohna suraj noon morda
    Aapay chaan torda tay aapay chan jorda,
    Bigari banaway meray Nabi da ishaara
    Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara.
    Kehndi aye Heleema mukh wekh lajpal da
    Lab kay leyawaan kithoon sohna teray naal da,
    Aamina da chan tay Halima da dhulara
    Chohdween da chaand tay arshaan da tara