Category: H

  • Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar

    Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar
    Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar


    Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar
    Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar


    Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba Mujhe
    Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar


    Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
    Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab


    Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan
    Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar


    Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko
    Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar


    Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri
    Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar
  • Huzoor Aaisa Koi Intizam Ho Jaye

    Huzoor aisa koi intizam ho jaye,
    Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye.
    Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye,
    Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jaye.
    Main shad shad maroon ga, agar dameakhir,
    Naseeb jalwa e kahirul anam ho jaye.
    Fuzool goi say bach jaye yeh zaban meri,
    Mera kalam Durood-o-Salaam ho jaye.
    Pia Raza ne pia jo murshid nay,
    Ataa mujhe shaha aisa jaam ho jaye.
    Shaha Ubaid-e-Raza dar badar phiray kab tak,
    Huzoor is ka Madinah maqam ho jaye.
    Ubaid mar kay Madinah mein paa chuka hai baqi,
    Khabar watan mein kabhi to yeh aam ho jaye.
  • Humko Bulana Ya Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم

    Humko Bulana Ya RasulAllah
    Humko Bulana Ya HabibAllah

    Kabhi To Sabz Gumbad Ka Ujala Hum Bhi Dekhenge
    Hamein Bulwaeinge Aaqa Madina Hum Bhi Dekhenge

    Dhadak Uthhayga Ye Dil Ya Dharakna Bhool Jayega
    Dil E Bismil Ka Uss Dar Par Tamasha Hum Bhi Dekhenge

    Adab Sey Hath Bandhay Unkay Rozay Per Kharay Hounge
    Sunehri Jaliyoon Ka Yun Nazara Hum Bhi Dekhenge

    Dar E Doulat Sey Lootaya Nahin Jata Koi Khali
    Wahan Khayrat Ka Batna Khudaya Hum Bhi Dekhenge

    Barasti Gumbad E Khazra Say Takrati Hoi Boundein
    Vahan Per Shaan Sey Baarish Barasna Hum Bhi Dekhenge

    Guzaray Raat Din Apne Isi Umeed Per Hum Ne
    Kisi Din To Jamal E Ruey Zaiba Hum Bhi Dekhenge

    Dam E Rukhsat Qadam Maan Bhar Kay Hein Mehsoos Kertay Hain
    Kisay Hai Jaakay Lout Aanay Ka Yara Hum Bhi Dekhenge

    Puhanch Jayeinge Jis Din Ay Ujagar Unkay Qadmoon Main
    Kisay Kehtay Hain Janat Ka Nazara Hum Bhi Dekhenge

  • Habeeb E Khuda Ka Nazara Karu Main


    Habeeb-E-Khuda Ka Nazara Karoon Mein
    Dil-O-Jaan Unn Per Nisara Karoon Mein


    Teri Kafsh-E-Paa Yoon Sanwara Karoon Mein
    Ke Palkon Se Uss Ko Bohara Karoon Mein


    Khudara Ab Aao Ke Dum Hai Labbon Per
    Dum-E-Waapsi Tou Nazara Karoon Mein


    Teray Naam Per Sar Ko Qurbaan Karke
    Tere Sar Se Sadqay Utara Karoon Mein


    Ye Ek Jaan Kia Hai Agar Ho Karoron
    Tere Naam Per Sab Ko Waara Karoon Mein


    Mera Deen-O-Imaan Farishtay Jou Poochein
    Tumhari Hee Jaanib Ishara Karoon Mein


    Khuda Khayr Se Laaye Woh Din Bhi Noori
    Madinay Ki Galiyyan Bohara Karoon Mein