Category: H

  • Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein

    Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein
    Sang Reze Paate Hai Sheeri(n) Maqaali Haath Mein

     

    Be Nawaaon Ki Nigaahein Hain Kahaa Tehreer E Dast
    Reh Gayi Jo Paa Key Jood E Laa Yazaali Haath Mein

     

    Kya Lakeero(n) Mein Yadullah Khat Sar O Aasa Likha
    Raah Yu(n) Iss Raaz Likhne Ki Nikali Haath Mein

     

    Jood Shah E Kousar Apne Pyaso(n) Ka Juya Hai Aap
    Kya Ajab Udd Kar Jo Aap Aayein Pyaali Haath Mein

     

    Abre Nisyaa(n) Mo’mino(n) Ko Taigh E Uriyaa(n) Kufr Par
    Jam’a Hain Shaan E Jamaali O Jalaali Haath Mein

     

    Maalik E Qounain Hai Go Paas Kuch Rakhte Nahi
    Do Jahaa(n) Ki Ne’amatein Hai Unke Khaali Haath Mein

     

    Saaya Afgan Sarr Pe Ho Parcham Ilahi Jhoom Kar
    Jab Liwa Ul Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein

     

    Har Khat E Kaff Hai Yahaa(n) Ay Dast E Bayza E Kaleem
    Mo’jazan Dariya E Noor Be Misaali Haath Mein

     

    Wo Giraa Sangi E Qadr E Mas Wo Arzaani E Jood
    Nauiya Badla Kiye Sang O La-Aali Haath Mein

     

    Dastageer E Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko
    Ay Mein Qurbaa(n) Jaan E Jaa(n) Angusht Kya Li Haath Mein

     

    Aah Wo Aalam Ki Aankhein Band Aur Lab Par Durood
    Wakf E Sang E Dar Jabee(n) Rouze Ki Jaali Haath Mein

     

    Jiss Ne Bai’at Ki Bahaar E Husn Par Qurbaa(n) Raha
    Hain Lakeer E Naqsh E Taskheer E Jamaali Haath Mein

     

    Kaash Ho Jau(n) Lab E Kousar Mein Yu Warafta Hosh
    Le Kar Uss Jaan E Karam Ka Zail E Aali Haath Mein

     

    Aankh Mahw E Jalwa E Deedar Dil Purjosh E Wajd
    Lab Pe Shukr E Bakhshish E Saaqi Piyali Haath Mein

     

    Hashr Mein Kya Kya Mazee Waraftagi Ke Lu Raza
    Lout Jaun Paa Ke Woh Daama(n) E Aali Haath Mein

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara

    Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
    Hara Bhara Rahe Ye Qadri Chaman

    Main Qadri Hu Shukr Hai Rabbe Qadeer Ka
    Hatho Mein Mere Haath Hai Peeran E Peer Ka

    Imdad Kun Imdad Kun Az Bande Ghum Aazad Kun
    Dar Deen O Duniya Shaad Kun Ya Ghous E Azam Dastagheer

    Jiska Koyi Nahi Hai Sahara Uske Tum Ho Sahara
    Kurba Jau Mein Ay Mere Meera Hain Kitna Pyara Sahara
    Chalo Ay Aashiqo Chal Ke Ab Dekh Lo
    Khila Hai Noor Se Ye Qadri Chaman

    Tere Qadmo Mein Jo Maut Aaye Wo Maut Kitni Hasee(n) Ho
    Baqsha Jaunga Rouz E Qayamat Itna Mujhko Yaqee(n) Hain
    Tamanna Hai Meri Ho Chaadar Aapki
    Khuda Kare Yahi Bane Mera Kafan


    Audio Credits: Hi-Tech Islamic Naat

  • Hum Khaak Hai Aur Khaaq Hi Mava Hai Hamara

    Hum Khaak Hai Aur Khaaq Hi Mava Hai Hamara
    Khaaki To Wo Aadam Jad E Aala Hai Hamara

    ALLAH Humein Khaak Kare Apni Talab Me
    Yeh Khaaq To Sarkaar Se Tamgha Hai Hamara

    Jis Khaaq Pe Rakhte The Qadam Sayyide A’alam
    Us Khaaq Pe Qurbaa(n) Dil E Shaida Hai Hamara

    Kham Ho Gayi Pushte Falak Iss Ta’ane Zamee(n) Se
    Sunn Hum Pe Madina Hai Wo Rutba Hai Hamara

    Usne Laqab E Khaaq Shahenshah Se Paaya
    Jo Haider E Karrar Ki Maula Hai Hamara

    Ay Mudda’eyo! Khaak Ko Tum Khaak Na Samjhe
    Iss Khaak Me Madfu(n) Shahe Bat-ha Hai Hamara

    Hai Khaak Se Ta’ameer Mazaar E Shahe Qounain
    Ma’mur Isi Khaak Se Kibla Hai Hamara

    Hum Khaak Udayenge Jo Wo Khaak Na Paayi
    Aabad Raza Jis Pe Madina Hai Hamara

  • Hum Apni Hasrate Dil Ko Mitane Aaye Hai

    Hum Apni Hasrate Dil Ko Mitane Aaye Hai
    Hum Apni Dil Ki Lagi Ko Bujhane Aaye Hai

    Kareem Hai Wo Nigah E Karam Se Dekhenge
    Hai Daagh-Daagh Dil Apna Dikhane Aaye Hai

    Huzoor Bahre Khuda Daastaan E Ghum Sun Le
    Ghum E Firaaq Ka Kissa Sunane Aaye Hai

    Nigaah E Lutf O Karam Hogi Aur Fir Hogi
    Ki Zakhm E Dil Pe Ye Marham Lagane Aaye Hai

    Faqeer Aapke Darr Ke Hai Hum Kaha Jaye
    Tumhare Kuche Me Dhuni Ramaane Aaye Hai

    Naseeb Jaag Utha Uska Chayn Se Soya
    Wo Jisko Kabr Me Sarwar Sulane Aaye Hai

    Naseeb Tera Chamak Uthha Dekh To Noori
    Arab Ke Chand Lahad Ke Sir-hane Aaye Hai
  • Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai

    Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai
    Sach Batana Ay Duniya Tera Kya Lete Hai


    Pattharo Tum To Ho Patthar Aur Mere Aaqa
    Tumse Gar Chahe To Kalmah Bhi Padha Lete Hai


    Waqt Ki Qaid Nahi Hai Ye Karam Ki Baatein
    Jab Bhi Sarkaar Ki Marzi Ho Bula Lete Hai


    Usko Aankho Me Bithate Hai Zamane Wale
    Jisko Mehboob e Khuda Apna Bana Lete Hai


    Jab Nahi Milti Kahi Se Bhi Suku(n) Ki Daulat
    Teri Mehfil Tere Deewane Saja Lete Hai


    Jab Se Dekha Hai Niyazi Wo Riyazul Jannah
    Humto Ghar Baith Ke Jannat Ki Hawa Lete Hai
  • Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa

    Hamaray Aaqa hamaray Moula Imam e Azam Abu Hanifa
    Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu Hanifa
    Tum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray
    Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
    Zamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin
    Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
    Tumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham
    Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa
    Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat
    Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa
    Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib
    Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa
    Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan
    Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa
    Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik
    Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa
    Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain
    wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa
    Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat
    Wo Tera ho kar phiray bathakta? Imame Azam Abu Hanifa
  • Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho (with audio)

    Haajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
    Kaaba To Dekh Chuke Kaabe Ka Kaaba Dekho

    Rukn E Shaami Se Miti Wah’shate Shaame Ghurbat
    Ab Madine Ko Chalo Subhe Dil Aaraa Dekho

    Aabe Zam-Zam To Piyaa Khoob Bujhaa-Ee Pyaase
    Aao Joode Shahe Kowsar Ka Bi Darya Dekho

    Zayre Mizaab Mile Khoob Karamke Cheente
    Abre Rehmat Ka Yaha Zowr Barasnaa Dekho

    Dhoom Dekhi Hai Dare Kaaba Pe Betaabo Ki
    Unke Mushtako Me Hasrat Ka Tadapna Dekho

    Misle Parwana Phiri Karte The Jis Sham’a Ke Gird
    Apni Uss Sham’a Ko Parwana Yaha Ka Dekho

    Khoob Aankho Se Lagaaya He Gilaafe Kaaba
    Qasre Mehboob Ke Parde Ka Bhi Jalwa Dekho

    Wa(N) Mutiyo Ka Jigar Khauf Se Pani Paaya
    Ya(N) Siyahkaaro Ka Daaman Pe Machalna Dekho

    Awwali Khana E Haq Ki To Ziyaye Dekhi
    Aakhri Bait E Nabi Ka Bhi Tajalla Dekho

    Aymane Tur Ka Tha Rukne Yamani Me Farog
    Shola E Tur Yaha Anjuman-Aara Dekho

    Mehre Madar Ka Maza Deti Hai Aagosh E Hateem
    Jin Pe Maa Baap Fida Ya(N) Karam Unka Dekho

    Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
    Aao Ab Daad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

    Dho Chuka Zulmate Dil Bosaa-E Sunge Aswad
    Khaak Bosi-E-Madina Ka Bhi Rutbaa Dekho

    Kar Chuki Rif’ate Kaaba Pe Nazar Par-Vaze
    Topi Ab Thaam Ke Khaaq E Dar E Wala Dekho

    Be-Niyazi Se Waha Kaapti Payi Ta’at
    Joshe Rehmat Pe Yaha Naaz Gunah Ka Dekho

    Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
    Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

    Multazim Se To Gale Lag Ke Nikale Armaan
    Adab O Shouq Ka Yaha Baham Ulajhna Dekho

    Khoob Mas’a Me B-Ummide Safa Daud Liye
    Rahe Jana(N) Ki Safaka Bhi Tamasha Dekho

    Raqs E Bismil Ki Bahaare To Meena Me Dekhi
    Dil E Khu-Naaba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho

    Zeenate Kaaba Me Tha Laakh Arooso Ka Banaw
    Jalwa Farma Yaha Kownain Ka Doolhaa Dekho

    Gowr Se Sun To Raza Kaaba Se Aati He Sadaa
    Meri Aankho Se Mere Pyaare Ka Rozaa Dekho

    Audio Credit: IslamicAcademy.org

  • Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha (with audio)

    Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam
    Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam
    Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
    Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam
    Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila
    Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam
    Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
    Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam
    Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
    Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam
    Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
    Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam
    Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija
    Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam
    Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
    Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (with Audio)

    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
    jo yaad e Mustafa  
    صلی اللہ علیہ وسلم  se dil ko garmaya nehi karte
    ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte,
    Nabi صلی اللہ علیہ وسلم 
    ke naam lewa gham se gabraya nehi karte
    yeh he darbaar Aqa  صلی اللہ علیہ وسلم ka yahaaN milta he bemange,
    are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte
    Yeh darbaar e Mohammad صلی اللہ علیہ وسلم  he Yahaan apno ka kya kehna,
    Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte
    Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr,
    yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte
    Mohammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ki shaan e rehmet to zarah dekho,
    sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte
    Mohammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ke baagh keh sabh phool aise hain,
    Yeh bepaani ke tarr rehte hain murjaya nehi karte
    Nadamat sath le karr hashr me ae asio jana,
    sonna he sharm walo ko woh sharmaya nehi karte
    Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
    woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte
    Jo inke damaan e rehmet se wabasta hain ae Hamid,
    Kissi ke samne woh hath phelaya nehi karte
    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
    jo yaad e Mustafa 
    صلی اللہ علیہ وسلم se dil ko garmaya nehi karte


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player

  • Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho (with audio)

    Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho
    Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho
    Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
    Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho
    Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
    Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho
    Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
    Ai kaash! muqaddar se mayas’sar woh ghadi ho
    Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
    Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho
    Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
    Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho
    Jab leke chalo gharibaan ko janazah
    Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
    Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
    Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho
    ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
    Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho
    AQA ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle
    Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
    Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
    Pura mera Sarkaar har armaan dili ho
    Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
    Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho
    Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
    Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho
    Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
    Daste Shaha batha se yehi chit’thi mili ho



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player