Category: Kalaam E Raza

  • Utha Do Parda Dikha Do Chehra

    Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai

    Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

    Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
    Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

    Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
    Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

    Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
    Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

    Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
    Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A’ada Ka Daab Me Hai

    Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
    Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

    Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
    Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

    Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
    Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

    Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
    Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

    Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
    Bacha Lo Aa Kar Shafe’e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

    Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
    Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

    Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
    Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

    Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
    Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai
  • Raah pur khaar hai kya hona hai

    Raah pur khaar hai kya hona hai
    Paa(n)v afgaar hai kya hona hai


    Khushk hai khoon ki dushman zalim
    Sakht khunkhaar hai kya hona hai


    Humko bid kar wahi karna jis se
    Dost bezaar hai kya hona hai


    Tan ki aab kaun khabar le he-hai
    Dil ka aazaar hai kya hona hai


    Meethe sharbat de maseeha jab bhi
    Zid hai inkaar hai kya hona hai


    Dil ki teemar hamara karta
    Aap bimaar hai kya hona hai


    Par kate, tang kafas aur bulbul
    Nou-giraftaar hai kya hona hai


    Chup ke logo(n) se kiye jiske gunah
    Woh khabardaar hai kya hona hai


    Are O mujhrim e be-parwah dekh
    Sar pe talwaar hai kya hona hai


    Tere bimaar ko mere isaa
    Gash lagatar hai kya hona hai


    Nafse puzor ka wo zor aur dil
    Zer hai zaar hai kya hona hai


    Kaam zinda ke kiye aur hame
    Shouke gulzaar hai kya hona hai


    Haye re neend musafir teri
    Kooch taiyar hai kya hona hai


    Duur jaana hai raha din thoda
    Rah dushwaar hai kya hona hai


    Ghar bhi jaana hai musafir ki nahi
    Mat pe kya maar hai kya hona hai


    Jaan halkaan hui jaati hai
    Baar sa baar hai kya hona hai


    Paar jaana hai nahi milti naav
    Zor par dhaar hai kya hona hai


    Raah to taigh par aur talwo(n) ko
    Gila-e khaar hai kya hona hai


    Roushni ki hame aadat aur ghar
    Teera-wo taar hai kya hona hai


    Beech me aag ka dariya ha-il
    Qasd us paar hai kya hona hai


    Iss kadee dhoop ko kyu kar jhele
    Shola jan naar hai kya hona hai


    Haye bigdi tu kaha aakar naav
    Ayn e manj-dhaar hai kya hona hai


    Kal to deedar ka din aur yaha
    Aankh bekaar hai kya hona hai


    Muh dikhane ka nahi aur sahar
    Aam darbaar hai kya hona hai


    Unko raham aaye to aaye warna
    Woh kadi maray kya hona hai


    Le wo haakim ke sipahi aaye
    Subhe izhaar hai kya hona hai


    Wa(n) nahi baat banane ki majaal
    Chaara iqraar hai kya hona hai


    Saath walo ne yahi chor diya
    Bekasi yaar hai kya hona hai


    Aakhri deed hai aao mil le
    Rang bekaar hai kya hona hai


    Dil hame tumse lagana hi na tha
    Ab safar baar hai kya hona hai


    Jaane walo pe ye rona kaisa?
    Banda nachaar hai kya hona hai


    Naz’A me dhyan na batt jaye kahi
    Ye abas pyar hai kya hona hai


    Iska ghum hai ki har ek ki soorat
    Gale ka haar hai kya hona hai


    Baatein kuch aur bhi tumse karte
    Par kaha vaar hai kya hona hai


    Kyu Raza kudhte ho haste uththo
    Jab wo ghaffar hai kya hona hai


    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool

    Sar ta ba-qadam hai tan e sultane zaman phool
    Lab phool, dahan phool, zakan phool, badan phool


    Sadqe me tere baagh to kya laye hai ban phool
    Iss guncha e dil ko bhi to imaa ho ki ban phool


    Tinka bhi hamare to hilaye nahi hilta
    Tum chaho to ho jaye abhi kohe mehan phool


    WALLAH jo mil jaye mere ghul ka paseena
    Maange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool


    Dil-basta wa khu-gashta na khusbu na latafat
    Kyo guncha kahu hai mere AAQA ka dehan phool


    Shab yaad thi kin daanto ki shabnam ki dam e subh(a)
    Shokhane bahari ke jada-u hai kiran phool


    Dandaan o lab o zulf o rukhe shah ke fidayi
    Hai durre adan la’ale yaman mushke khotan phool


    Bu hoke nahi ho gaye taabe rukhe shah me
    Lo ban gaye hai ab to haseeno ka dahan phool


    Ho baare gunah se na khazil doshe azeeza(n)
    Lillah meri na’ash kar aaye jane chaman phool


    Dil apna bhi shaidayi hai us naakhun e paa ka
    Itna bhi mahe nou pe na ay charkhe kuhan phool


    Dil khol ke khu ro le game aarize shah me
    Nikle to kahi hasrat e khu-naaba shudan phool


    Kya gaaza mala garde madeena ka jo hai aaj
    Nikhre hue joban me qiyamat ki phaban phool


    Garmi ye qiyamat hai ki kaante hai zabaa(n) par
    Bulbul ko bhi ay saaqi e sahba wa laban phool


    Hai kaun ki girya kare ya faatiha ko aaye
    Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool


    Dil ghum tujhe ghere hai khuda tujhko wo chamkaye
    Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool


    Kya baat Raza us chamanistaan e karam ki
    Zahra hai kali jisme husain aur hasan phool

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Mustafa Khairul Wara Ho

    Mustafa Khairul Wara Ho
    Sarware Har Do Sara Ho


    Apne Achho Ka Tasadduq

    Hum Bado(n) Ko Bhi Niba Ho


    Kiske Fir Ho Kar Rahe Hum
    Gar Tumhi Humko Na Chaho

    Badd Ha(n)se Tum Unki Khaatir
    Raat Bhar Rouo  Karaho



    Badd Kare Har dam Burayi
    Tum Kaho Unka Bhala Ho

    Hum Wahi Nashusta Ru Hai
    Tum Wahi Bahre Ataa Ho



    Hum Wahi Shayane Rad Hai
    Tum Wahi Shaan E Sakhaa Ho

    Hum Wahi Be Sharmo Badd Hai
    Tum Wahi Kaan E Haya Ho



    Hum Wahi Nange Zafa Hai
    Tum Wahi Jaan E Wafa Ho


    Hum Wahi Kabil Saz Ke
    Tum Wahi Rehme Khuda Ho

    Charkh Badle Dahar Badle
    Tum Badalne Se Wara Ho

    Ab Hume Ho Sahw Hasha
    Aisi Bhulo Se Juda Ho



    Umr Bhar To Yaad Rakha
    Waqt Par Kyu Bhulna Ho

    Waqte Paidaish Na Bhule
    Qaif Yansa Kyo Kaza Ho



    Ye Bhi Maula Arz Kar Du
    Bhul Agar Jaao To Kya Ho

    Wo Ho Jo Tum Par Gira(n) Hai
    Wo Ho Jo Hargiz Na Chaho



    Wo Ho Jiska Naam Lete
    Dushmano Ka Dil Bura Ho

    Wo Ho Jiske Radd Ki Khaatir
    Raat Din Wakf E Dua Ho



    Mar Mite Barbaad Bande
    Khana Aabad Aagh Ka Ho

    Shaad Ho ibleese Mal-u(n)
    Ghum Kise Is Kahar Ka Ho



    Tumko Wo WALLAH Tum Ko
    Jaan O Dil Tum Par Fida Ho

    Tumko Ghum Se Haq Bachaye
    Ghum Adu Ko Jaa(n) Guza Ho



    Tumse Ghum Ko Kya Ta’alluk
    Be-kaso Ke Ghumzuda Ho

    Haq Durude Tum Pe Bheje
    Tum Mudaam Usko Saraho



    Wo Ataa De Tum Ataa Lo
    Wo Wahi Chahe Jo Chaho

    Bar Tu Uu Paashad Tu Bar Ma
    Ta Abad Ye Silsila Ho



    Kyu Raza Mushkil Se Dariye
    Jab Nabi Mushkil Kusha Ho

  • Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai

    Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai, Shar-he Wash-shamso Zuha Karte Hai
    Unki Hum Madd-ho Sana Karte Hai, Jinko Mahmood Kaha Karte Hai


    Maahe Shak Gashta Ki Soorat Dekho, Kaap Kar Mehr Ki Raj’at Dekho
    Mustafa Pyare Ki Qudrat Dekho, Kaise Ayjaz Hua  Karte Hai 


    Tu Hai Khursheed E Risalat Pyare, Chup Gaye Teri Ziya Me Taare
    Ambiya Aur Hai Sab Mah-Paare, Tujhse Hi Noor Liya Karte Hai


    Ay Balaa Be Khirdi-E Kuffar Rakhte Hai Aise Ke Haq Se Inkaar
    Ki Gawahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaa(n) Bol Utha Karte Hai


    Apne Maula Ki Hai Bas Shaan E Azeem, Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta’azeem
    Sang Karte Hai Adab Se Tasleem, Ped Sajde Me Gira Karte Hai


    Rif’ate Zikr Hai Tera Hissa, Dono A’alam Me Hai Tera Charcha
    Murge Firdous Pas Az Hamde Khuda Teri Hi Madho Sana 
    Karte Hai



    Ungliya Paayi Wo Pyari-Pyari, Jinse Dariya E Karam Hai Jaari
    Josh Par Aati Hai Jab Gamkhwari, Tishne Sairaab Hua Karte Hai


    Haa Yahi Karti Hai Chidiya(n) Fariyaad, Haa Yahi Chahti Hai Hirni Daad
    Isi Darr Par Shutrane-Naashaad Gil-E Ranjo Ana Karte Hai


    Aasti Rehmat E A’alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
    Girne Waalo Ko Kucha E Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hai


    Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya(n) Yaksar
    Phool Jaama Se Nikal Kar Baahar Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hai


    Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa(n) Ki Malak Haft Falak Ke  Har Aa(n)
    Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa(n) Teri Daulat Ki Dua Karte Hai


    Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n) Ma’adane Noor Hai Uska Damaa(n)
    Hum Bhi Us Chand Pe Ho Kar Qurbaa(n) Dil E Sangi Ki Jila Karte Hai


    Kyo Na Zeba Ho Tujhse Taajwari Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
    Malako Jinno Bashar Huuro Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hai



    Toot Padti Hai Balaye Jin Par, Jinko Milta Nahi Koi Yaavar
    Har Taraf Se Wo Pur Armaa(n) Fir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Hai


    Lab Par Aa Jaata Hai Naam E Janaab Muh Me Ghul Jaata Hai Shahde Nayab
    Wajd Me Ho Ke Hum Ay Ja(n) Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Hai


    Lab Pe Kis Muh Se Ghum E Ulfat Laye(n) Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Sunaye
    Hum To Unke Kafe Paa Par Mitt Jaye Unke Darr Par Jo Mita Karte Hai


    Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
    Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam Chara-E Dard E Raza Karte Hai
  • Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai

    Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
    Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai


    Ankh Se Kajal Saaf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke Hai
    Teri Takri Takee Hai Aur Tu Ne Neend Nikali Hai


    Yeh Jo Tujh ko Bulata Hai Yeh Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga
    Hye Musafir Dam Main na Ana Mat Kaisi Matwali hai


    Sona Paas hai Soona Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyaare
    Tu Kehta Hai Meethi Neend Hai Teri Mat hi Nirali Hai


    Ankhne Mal na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
    Array Nam Pe Uthne ke Larta Hai Uthna Bhi kuch Gaali Hai


    Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
    Dar Samjhaye Koi Pavan Hai Ya Agiya be Taali Hai


    Badal Garge Bijli Tarke Dhak se Kaleja Ho Jaaye
    Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kaali Kaali Hai


    Paaon Utha Aur Thaukar Khaayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
    Neend ne Phislan Kar Di Hai Aur Dhortak Khaayi Naali Hai


    Saathi Saathi Keh ke Pukaron Saathi Ho Tu Jawab Aaye
    Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali Hai


    Tum To Chand Arab ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
    Dekho Mujh Bekas Par Sab ne Kaisi Afat Daali Hai


    Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Kaatil Daen Shohar Kush
    Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhaali Hai


    Woh tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hain Jannat Ka
    Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Haath Hi Khaali Hai


    Mola Tere Afw-o-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
    Warna Raza se Chor pe Teri Digree Tu Iqbali Hai
  • Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu (complete)

    Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu
    Zarra Tera Jo Ay Shahe Gardu Janaab Hu


    Durre Najaf Hu Gohare Paak E Khushab Hu
    Yani Turaabe Rah guzare Bu turab Hu


    Gar Aankh Hu To Abr Ki Chashme Par Aab Hu
    Dil Hu To Bark Ka Dile Pur Izteraab Hu


    Khooni Jigar Hu Ta-ir E Be Aashiya(n) Shaha
    Range Pardi-E Rukhe Ghul Ka Jawab hu


    Be Aslo Be Sabaat Hu Bahre Karam Madad
    Parwarda E Kinaare Saraabo Hubaab Hu


    Ibrat Feza Hai Sharme Gunah Se Mera Sukut
    Goya Lab E Khamoshe Lahad Ka Jawab Hu


    Kyo Naala Soz Le Karu Kyu Khoon E Dil Piyu
    Seekh E Kabaab Hu Na Mai Jaame Sharab Hu


    Dil Basta Bekaraar Jigar Chaak Ashkbaar
    Guncha Hu Ghul Hu Barke Tapaa(n) Hu Sahaab Hu


    Daava Hai Sabse Teri Shafa’at Pe Beshtar
    Daftar Me Aasiyo Ke Shahe Intekhab Hu


    Maula Duha-i Nazro Se Gir Kar jalaa Ghulam
    Ashqe Mizaa(n) Raseeda-E Chashme Kabaab Hu


    Mitt Jaye Ye Khudi To Wo Jalwa Kaha Nahi
    Darda Me Aap Apni Nazar Ka Hijaab Hu


    Sadke Hu Uspe Naar Se Dega Jo Mukhlesi
    Bulbul Nahi Ki Aatishe Ghul Par Kabaab Hu


    Kaalib Tahi Kiye Hamaa Aaghosh Hai Hilaal
    Ay ShehSuware Taibah Me Teri Rikaab Hu


    Kya Kya Hai Tujhse Naaz Tere Qasr Ko Ki Mai
    Ka’abe Ki Jaan Arshe Baree Ka Jawaab Hu


    Shaha Bujhe Sakar Mere Ashko Se Taa-n Mai
    Aabe Ab(a)s Chakida E Chashme Kabaab Hu


    Mai To Kaha Hi Chahu Ke Banda Hu Shah Ka
    Par Luft Jab Hai Keh De Agar Wo Janab “Hu”


    Hasrat Me Khaaq Bosi E Taibah Ki Ay Raza
    Tapka Jo Chashme Mehar Se Wo Khoon E Naab Hu

    Audio Credit: owaisqadri.com
  • Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai

    Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai
    Jane Muraad Ab Kidhar Haye Tera Makaan Hai

    Bazme Sana E Zulf Me Meri Aruse Fikr Ko
    Saari Bahaar E Hasht Khuld Chota Sa Itrdaan Hai

    Arsh Pe Jaake Murge Aql Thak Ke Gira Gash Aa Gaya
    Aur Abhi Manzilo Pare Pehla Hi Aastan Hai


    Arsh Pe Taaja Cher Char Farsh Pe Turfa Dhoom Dhaam
    Kaan Jidhar Lagaiye Teri Hi Daastaan Hai



    Ik Tere Rukh Ki Roushni Chain Hai Do Jahan Ki
    Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hi Jaan Hai

    Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Ho To Kuch Na Ho
    Jaan Hai Wo Jahan Ki Jaan Hai To Jahan Hai

    Ghod Me Aalam E Shabab Haal e Shabaab Kuch Na Pooch
    Ghulbune Baagh E Noor Ki Aur Hi Kuch Uthan Hai


    Tujhsa Siyahkaar Kaun Unsa Shafe’a Hai Kaha
    Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaye Dil Ye Tera Ghuman Hai



    Peshe Nazar Wo Nou Bahaar Sajde Ko Dil Hai Bekaraar
    Rokiye Sar Ko Rokiye Ha Yahi Imtehaan Hai



    Shaan E Khuda Na Saath De Unke Kheram Ka Wo Baaz
    Sidra Se Ta Zamee Jise Narm Si Ek Udaan Hai


    Baare Jalaal Utha Liya Garche Kaleja Shak Hua
    Yu To Ye Maahe Sabz Rang Nazro Me Dhaan Pan Hai


    Khauf Na Rakh Raza Zara Tu To Hai Abad E Mustafa
    Tere Liye Amaan Hai Tere Liye Amaan Hai

  • Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale

    Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale
    Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale



    Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat
    Badoo(n) Par Bhi Barsa De Barsane Waale



    Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe
    Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale



    Tu Zinda Hai WALLAH Tu Zinda Hai WALLAH
    Mere Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale



    Me Mujrim Hu AAQA Mujhe Saath Le Lo
    Ke Raste Me Hai Jaa Baja Thane Waale

    Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Ke Chalna
    Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale



    Chal Uth Zabah Farsa Ho Saaki Ke Dar Par
    Dar E Jood Hai Mere Mastane Waale


    Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe
    Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale



    Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega
    Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale

    Ab Aayi Shafa’at Ki Sa’at Ab Aayi
    Zara Chain Le Mere Ghabhrane Waale

    Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana
    Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale

  • Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam (COMPLETE)

    Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam
    Shamme Bazme Hidayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mehre Charkhe Nubuvvat Pe Roushan Durood
    Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
    Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shab E Asra Ke Dulha Pe Da-im Durood
    Nausha E Bazme Jannat Pe laakho(n) Salaam

     

    Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
    Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakho(n) Salaam

     

    Noor E Ain E Latafat Pe Alt(a)f Durood
    Jaibo Jaine Najafat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sarve Naaz E Kidam Maghze Raaze Hikam
    Yakka Taaze Fazilat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Nukta E Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
    Markaze Daure Kasrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sahibe Raj’ate Shamso Saqqul Qamar
    Naib E Daste Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Zere Liwa Adamo Man Siva
    Uss Sada E Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Arsh Ya Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
    Uski Qaahir Riyasat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Asle Har Buudo Bahbood Takhme Wajood
    Qasim E Kanze Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Fathe Baab E Nubuvvat Pe Behad Durood
    Khatme Daur E Risalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
    Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Be-Saheemo Q(a)simo Adeelo Maseel
    Jouhar E Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sirre Ghaib E Hidayat Pe Ghaibi Durood
    Itre Jaibe Nihayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Maahe Lahoote Khilwat Pe Laakho(n) Durood
    Shahe Naasoot E Jalwat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
    Harze Har Rafta Taaqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Partave Isme Zaate Ahad Par Durood
    Nuskha E Jaameiyyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mat-La’e Har Sa’adat Pe As’ad Durood
    Maqtae Har Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Khalq Ke Dadras Sabke Fariyad Ras
    Kahfe Roze Musibat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho(n) Durood
    Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shamme Bazme D(a)na Hu Mai Gum Kun Ana
    Shar-He Matne Huviyyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Intiha E Daayi Ibtida E Yakee
    Jam’a Tafreeqo Kasrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kasrat E Baad E Qillat Pe Aksar Durood
    Izzate Bood Zillat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Rabb E Aala Ki Ne’amat Pe Aala Durood
    Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
    Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Farhate Jaane Mo’min Pe Behad Durood
    Ghaize Qalbe Jalalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sab-Be Har Sabb Muntaha E Talab
    Illate Julmo Illat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Masdar E Mujhariyyat Pe Azhar Durood
    Mazhar E Masdariyyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Jalwe Se Murjhayi Kaliya(n) Khili
    Uss Ghul E Paak Mimbat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Qadde Be-Saaya Ke Saya E Marhamat
    Jille Mamdud E Raafat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Tairan E Quds Jiski Hai Kumriya(n)
    Us Sahi Sarve Kaamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Wasf Jiska Hai Aayina E Haqnuma
    Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Aage Sare Sarwara Kham Rahe
    Uss Sare Taaje Rif’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Wo Karam Ki Ghata Ghesu E Mushk Sa
    Lakka E Abre Raafat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Lailatul Qadr Me Matlail Fajre Haq
    Maang Ki Istiqamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Lakht Lakhte Dile Har Jigar Chaak Se
    Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Duur O Nazdeek Ke Sunne Waale Wo Kaan
    Kaan E La’le Karamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Chashma E Mehr Me Mouje Noor E Jalaal
    Us Raghe Hashemiyyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha
    Us Jabeen E Sa’adat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
    Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unki Aankho(n) Pe Wo Saaya Afghan Miza
    Zilla E Qasr E Rahmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ashq Baari E Mizga(n) Pe Barse Durood
    Silke Durre Shafa’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ma’ana E Qad Ra-aa Maqsad E Maa Tagaa
    Nargis E Baaghe Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
    Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Nichee Aankho(n) Ki Sharmo Haya Par Durood
    Unchi Beene Ki Rifa’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jinke Aage Charage Qamar Jhilmilay
    Un Azaaro Ki Tal’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unke Khad Ki Suhulat Pe Behad Durood
    Unke Qad Ki Rishaqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage
    Us Chamak Waali Rangat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Chaand Se Muh Pe Taaba Darkhsha Durood
    Namak Aagi Sabahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shabnam E Baagh E Haq Yani Rukh Ka Araq
    Uski Sachhi Baraakat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Khat Ki Girde Dahan Wo Dilara Faban
    Sabz E Nahre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Rishe Khus Mu’atadil Marham E Reshe Dil
    Hala E Mah E Nudrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Patli Patli Ghul E Quds Ki Pattiya
    Un Labo(n) Ki Nazakat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Wo Dahan Jiski Har Baat Wahee E Khuda
    Chashma E Ilmo Hiqmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Paani Se Shadaab Jaan O Jinaa
    Uss Dahan Ki Taravat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jis Se Khari Kuve Shira E Jaa(n) Bane
    Us Julale Halavat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Wo Jabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
    Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Uski Pyari Fasahat Pe Behad Durood
    Sakee Dilkash Balaghat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Uski Baato(n) Ki Lazzat Pe Laakho(n) Durood
    Uske Khutbe Ki Haibat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Woh Dua Jiska Joban Bahaar E Qubool
    Us Naseem E Ijabat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jinke Guchche Se Lachche Jhade Noor Ke
    Un Sitaro Ki Nuzhat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiski Taskee(n) Se Rote Hue Has Pade
    Us Tabassum Ki A’adat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jis Me Nahre Hai Shiro Shakar Ki Rawa(n)
    Us Gale Ki Nazarat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Dosh Bar Dosh Hai Jin Ke Shaane Sharaf
    Aise Shaano Ki Shauqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Hajre Aswad Ka’aba E Jaan O Dil
    Yaani Mehre Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ru-e Aaina E Ilme Pushte Huzoor
    Pushti E Qasr E Millat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Haath Jis Samt Utha Ghanee Kar Diya
    Mouje Behre Sama’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
    Aise Bazoo Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ka’aba E Deen O Imaa(n) Ke Dono Sutoo(n)
    Sayyedaine Risalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Har Khat Main Hai Mouje Noor E Karam
    Us Kafe Bahre Himmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Noor Ke Chashme Lehraye Dariya Bahee
    Ungliyo(n) Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Eid E Mushkil Kusha E Ke Chamke Hilaal
    Nakhoono Ki Basharat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Raf’a E Zikre Jalalat Pe Arfa’a Durood
    Sharhe Sadre Sadarat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yu Kahu
    Guncha E Raaze Wahdat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kul Jahaa(n) Milk Aur Jou Ki Roti Ghiza
    Uss Shikam Ki Kana’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jo Ki Azme Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi
    Us Qamar Ki Himayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ambiya Tah Kare Jaanu Unke Huzoor
    Jaanuo Ki Wajahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Saake Asl E Qidam ShaakhE Nakhle Karam
    Sham’e Raah E Isabat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Khayi Quraa(n) Ne Khaaqe Guzar Ki Qasam
    Us Kafe Paa Ki Hur mat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
    Us Dil Afroz Sa’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Pehle Sajde Pe Rouze Ajal Se Durood
    Yaadgari E Ummat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Zar’e Shadab E Har Zar’e Pur Sheer Se
    Barkaate Reja’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Bhaiyo Ke Liye Tark Pista(n) Kare
    Doodh Peeto Ki Nisfat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mahde Waala Ki Qismat Pe Behad Durood
    Burje Maah E Risalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
    Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Uth-Te BuTo Ki Nashwo Numa Par Durood
    Khilte Guncho Ki Nikhat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Fazl E Paidaishi Par Hamesha Durood
    Khelne Se Karahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    A’etela E Jabillat Pe Aala Durood
    A’etedal E Tivayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Be Banavat Adaa Par Hazaro Durood
    Be Takalluf Malahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Bhini Bhini Mahak Par Mahakti Durood
    Pyari Pyari Nafasat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Meethi Meethi Ibarat Pe Shiree(n) Durood
    Achhi Achhi Isharat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Seedhi Seedhi Ravish Par Karoro(n) Durood
    Saadi Saadi Tabi’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Roze Garmo Shabe Teera Wo Taar Me
    Koho Sahra Ki Khalvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Ghere Me Hai Ambiya O Malak
    Us Jahangeer E Ba’sat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Andhe Sheeshe Jhalajhal Damakne Lage
    Jalwa Rezi E Daawat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Lutf E Bedari E Shab Pe Behad Durood
    Aalam E Khwab E Rahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kh(a)nda-e Subho Ishrat Pe Noori Durood
    Giry(a) E Abre Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Nirmi E Khu E Leenat Pe Daim Durood
    Garmi E Shaane Satavat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
    Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
    Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Girde Mah Daste Anjum Me Rakhsha(n) Hilaal
    Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shore Takbeer Se Thar-Tharati Zamee(n)
    Zumbishe Joushe Nusrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Na’araha E Dilera(n) Se Ban Gunjte
    Gurrashe Kose Jur-at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Woh Chaka Chaak Khanjar Se Aati Sadaa
    Mustafa Teri Soulat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unke Aage Wo Hamza Ki Jaa(n)-Baaziya(n)
    Shere Gurrane Satvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Al Gharaz Unke Har mu Pe Laakho(n) Durood
    Unki Har Khu Wa Khaslat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unke Har Naam O Nisbat Pe Naami Durood
    Unke Har Waqt O Haalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unke Maula Ki Un Par Karoro(n) Durood
    Unke As-habo Itrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Paar-Haye Suhuf Ghuncha E Qudus
    Ahle Bait E Nubuvvat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Aab E Tathir Se Jis Me Paude Jame
    Uss Riyaze Najaabat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Khuun E Khairur Rusul Se Hai Jinka Khameer
    Unki Be Lous Tinat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Uss Batul E Jigar Para E Mustafa
    Haj-La Aara E Iffat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiska Aanchal Na Dekha Maho Meher Ne
    Uss Rida E Nazahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sayyeda Zahira Tayyeba Tahira
    Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Hasne Mujtaba Sayyedul Askhiya(n)
    Raakib E Doshe Izzat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ouj E Mehre Huda Mouje Bahre Nida
    Ruh E Rouhe Sakhavat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shahad Khware Lu-aab E Zabaan E Nabi
    Chaashni Geer Ismat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Uss Shaheed E Balaa Shahe Ghulghu Kabaa
    Bekase Dashte Gurbat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Durre Durje Najaf Mehre Burje Sharaf
    Range Ru E Shahadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
    Baanuvane Tahaarat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jalw(a)-Giyyane Baitush-Sharaf Par Durood
    Pard Giyyane Iffat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Siyyema Pahli Maa Kah-Fe Amno Amaa(n)
    Haq Gujare Rifaqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Arsh Se Jispe Tasleem Naazil Hui
    Us Saraa E Salamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Manzillum Min Kasab La Nasab La Sakhab
    Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Binte Siddeeq Araam E Jaan E Nabi
    Us Hareem E Bara-at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Yaani Hai Sura E Noor Jinki Gawah
    Unki PurNoor Surat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jinme Ruhul Qudus Be-Ijazat Na Jaaye
    Un Suradiq Ki Ismat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sahm’e Taabaane Kaashaana E Ijtehaad
    Mufti E Chaar Millat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jaa(n)-Nisaran E Badro Uhad Par Durood
    Haq Guzaaran E Bai’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Wo Daso Jinko Jannat Ka Muzda Mila
    Uss Mubarak Jama’at Pe Laakho(n) Salaam

     

    Khaas Uss Saabik E Saire Kurbe Khuda
    Ouhad E Kamiliyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sai-E Mustafa Mai-E Istafa
    Izzo Naaze Khilafat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Asdaqus-Sadeqi Sayyedul Muttaqi
    Chashmo Goshe Vejarat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
    Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Fareeqe Haqqo Baatil Imamul Huda
    Taighe Maslule Shiddat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Tarjumaan E Nabi Ham-Zabaan E Nabi
    Jaan E Shaan E Adaalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jaahid E Masjid E Ahmadi Par Durood
    Ddoulat E Jaishe Usrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Durre Mansoor Quraa(n) Ki Silke Bahee
    Zouje Do Noor E Iffat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Yaani Usmaan Saahab Kamees E Huda
    Hulla Pushe Shahadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Murtaza Shere Haq Ashja-Ul Ashja-e
    Saaqi E Sheero Sharbat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Asl E Nasl E Safaa Wajhe Wasle Khuda
    Baab E Fasle Wilayat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Awwali Dafa E Ahle Rifzo Khuruj
    Chaar Mi Rukne Millat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shere Shamsheer-J(a)n Shahe Khaibar-Shikan
    Parvat E Dost Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Maahi E Rifzo Tafzeel O Nasb O Khurooj
    Haami E Deen O Sunnat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Momeni Peshe Fat-ho Pase Fat-h Sab
    Ahle Khairo Adaalat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jis Musalmaa(n) Ne Dekha Unhe Ik Nazar
    Uss Nazar Ki Basaarat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
    Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Baaqi E Saakiyaan E Sharaab E Tahur
    Zain E Ahle Ibadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Aur Jitne Hai Shehzade Uss Shah Ke
    Un Sab Ahle Makaanat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Unki Baala Sharafat Pe Aala Durood
    Unki Waala Siyadat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shafa’e Maaliki Ahmad Imam E Haneef
    Chaar Baagh E Imamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kaamilan E Tareeqat Pe Kaamil Durood
    Haamilan E Shariat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ghouse Aazam Ima Muttuka Wannuka
    Jalwa E Shaan E Qudrat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kutbe Abdaalo Irshaad O Rushdurshaad
    Muh-yi-e Deen O Millat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mard E Khaile Tareeqar Pe Behad Durood
    Farde Ahle Haqeeqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
    Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Shah E Barkaato Barkaate Peshiniya(n)
    Nou Bahar E Tareeqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Sayyid Aale Muhammad Imamur Rashheed
    Ghul E Rouze Riyazat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
    Zeenat E Qaadriyat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Naam O Kaam O Tano Jaan O Haal O Makaal
    Sabme Achhe Ki Surat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Noor-Jaa(n) Itre-Majmu’a Aale Rasool
    Mere Aaqa E Ne’amat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Zaibe Sajjada Sajjade Noori Nihaad
    Ahmad E Noor Teenat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
    Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Tere Un Dosto Ke Tufaile Khuda
    Banda-E Nange Khilqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mere Ustaad Maa-Baap Bhai Behen
    Ahle Wuldo Ashirat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Ek Mera Hi Rehmat Me D’awa Nahi
    Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
    Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho(n) Salaam

     

    Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
    Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam