Category: Hamd

  • Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai

    Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
    Tera Mera Sab Ka Jo Ma’bood Hai


    Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai
    Noor Uska Har Jagah Maujood hai


    Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa
    Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai


    Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab
    Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai


    Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai
    Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai


    Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n)
    Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai


    Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba
    Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai


    Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida
    Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai


    Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha
    Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai


    Padhte Rahiye Nazmi Naat E Mustafa
    Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai
  • La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah

    La Mau-Jooda Illallah, La Mash-huda Illallah,
    La Maqsooda Illallah, La Ma’booda Illallah


    Hai Maujood E Haqeeqi WO, Hai Mash-hud E Haqeeqi WO
    Hai Maqsood E Haqeeqi WO, Ma’bude Haq-o-Haqeeqi WO


    Rabbi Hasbi Jallallah, Maa Fi Qalbi Illallah
    Haq Haq Haq ALLAH ALLAH ALLAH, Rab Rab Rab SubhaanALLAH


    Sota Peeta Khaat Nahi, Uska Rishta Naata Nahi
    Uske Pita Aur Maata Nahi, Uske Jooru Jaata Nahi


    Mai Hu Banda Wo Maula, Kaun Hai Apna Uske Siwa
    Mai Hu Uska WO Mera, Jisne Banaya Aur Paala


    Aankho Me WO Hai Sarr Me WO, Dil me Wo Hai Jigar Me WO
    sam’a Me WO Hai Basar Me WO, Tab’a Me WO Hai Fikar Me WO


    Noor Me WO Hai Nazar Me WO, Shams Me WO Hai Qamar Me WO
    Abr Me WO Hai Guhar Me WO, Koh Me WO Hai Hajar Me WO


    Jalwe USKE Hai Har Jaa, Zaat Hai Uski Jaa Se Varaa
    Qudrat Se WO In me Hua, Zaat Me Hai WO Sabse Juda


    Apne Karam Se Rabbe Kareem, Humpe Kiya Ehsaan E Azeem
    Bheja Hum Me Ba-Fazle Azeem, Bahre Karam Ka Durre Yateem


    Apne Mazhar E Awwal Ko, Apne Habeeb E Ajmal Ko
    Pehle Nabi E Afzal Ko, Pichle Mursale Akmal Ko


    Aisi Fazeelate Unko Di, Jinka Misl Imkaa Me Nahi
    Roohe Rawane Khuld E Baree, Nakhle Jaha(n) Ke Asl Matee


    Mouje Awwal Bahre Qidam, Mouje Aakhir Bahre Karam
    Sabse Aala Aur Aazam, Sabse Aula Aur Akram


    Jinko Banaya Apne Liye, Sabko Banaya Jin Ke Liye
    Kab Unhe De Ke Unse Liye, Par SAb Chore Tere Liye


    Maula Dil Ka Zang Chura, Qalb E Noori Paaye Jhila
    Dil Ko Kar De Aayina, Jisme Chamke Ye Kalmah


    LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLALLAH
  • Kaabe ke rounaq Kaabe ka manzar

    Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar
    Allahu Akbar Allahu Akbar
    Dekhon tu dekhe jaon barabar
    Allahu Akbar Allahu Akbar


    Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane
     kaano mein russ gholtee hein Azaane
    Bas ik sadaa aarahi he baraabar


    Tere haram ki kya baat Mawla 
    tere karam ki kya baat Mawla
    Ta umar karde aana muqaddar


    Maangi hein mein ne jitnee duae
    manzoor hongi maqbool hongi
    Meezab-e-Rehmat he mere sar par


    Yaad agaye jab apni khataye 
    ashkon mein dhalne lagee iltijaye
    Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar


    Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne 
    chuuma he tujhko khud Mustafa ne
    Ay sung-e-Aswad tera muqqadar


    Mawla sabhi aur kya chahta he 
    bas maghfirat ki ataa chahta he
    Bakhshish ke talib pe apna karam kar

  • Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd)

    Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye
    Allah Ho Allah Ho Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho
    Har Jagha Har Ghari Har Jagha Har Ghari Har Kadam Allah Ho
    Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye
    Lamha Lamha Basar Ho Tere Zikar Main
    Zindgi Ka Safar Ho Tere Zikar Main
    Bas Zaban NagmaGer Ho Tere Zikar Main
    Dil Mera Shab Ho Sham-e-Haram Allah Ho
    Har Kali Har Samar Lehlahate Shajar
    Chandni Kehkashan Noori Shams-o-Qamar
    Yeh Zameen Yeh Falak Balke Har Khushk-o-Tar
    Kar Rahe Hain Sana Sab Baham Allah Ho
    Azmaton Rif-ato Ke Nisha(n) Tere Hai(n)
    Aey Khuda Yeh Zameen Asmaan TereHai(n)
    Malik-e-Do Jahan Ins-o-Jaan Tere Hai(n)
    Tu Hamara Hai aur Tere Hum Allah Ho

    Uss Ki Kudrat kiran Dar Kiran Dar Kiran
    Us ki Nadhat Chaman Dar Chaman Dar Chaman
    Us Ki Midhat  Pavan Dar Pavan Dar Pavan
    Likhon Ja Ghar Kalam Ba Kalam Allah Ho
  • Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hain Aarzu

    Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hain Aarzu
    Jiska Jalwa Hain Aalam Me Har Chaar Su
    Balki Khud Nafs Me Hain Wo Subhanuhu
    Asrh Par Hai Magar Arsh Ko Justuju


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


    Arsh Farsh Wa Zamaan Wa Jehat Ay Khuda
    Jis Taraf Dekhta Hu Hai Jalwa Tera
    Zarre Zarre Ki Aankhon Me Tu Hi Ziya
    Qatre Qatre Ki Tu Hi To Hain Aabaru


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


    Tu Kisi Jaa Nahi Aur Har Jaa Hai Tu
    Tu Munazza Makaa Se Mubarrah Jasu
    Ilm Wa Qudrat Se Har Ja Hai Tu Ku-ba-ku
    Tere Jalwe Hai Har Har Jagah Ay Afu


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


    Tayerane Janaa Me Teri Guftugu
    Geet Tere Hi Gaate Hain Wo Khush Gulu
    Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hu
    Aur Sab Kehte Hain La Sharikala Hu


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


    Raham Farma Khudaya Haram Paak Ho
    Tune Taqdees Bakshi Hai Jis Khaaq Ko
    Daf’a FarmaWahaa Par Hai Be Baak Ju
    Aur Gira Bijliyan Kahar Ki Bar Adu


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU


    Khwabe Noori Me Aaye Jo Noore Khuda
    Bukkae Noor Ho Apna Zulmat Qada
    Jagmaga Uththe Dil Chehra Ho Pur  Ziya
    Nooriyo Ki Tarah Shagl Ho Zikre Hu


    ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU