Category: G

  • Ghous E Azam Main Gunahgaar Hu Shay’An Lillah

    Ghous E Azam Main Gunahgaar Hu Shay’An Lillah
    Sakht Badkaaro Khatawaar Hu Shay’An Lillah

    Aapke Hijr Ka Beemar Hu Shay’An Lillah
    Taalib E Sharbat E Deedar Hu Shay’An Lillah

    Mere Sultaan Main Nadaar Hu Shay’An Lillah
    Be-kas O Be-bas O Laachaar Hu Shay’An Lillah

    Ay Mere Chaand Ujala Ho Meri Jaanib Bhi
    Sakht Zulmat Main Giraftaar Hu Shay’An Lillah

    Aaj Kal Apne Pe Khud Baar Hu Shay’An Lillah
    Aah Kis Darja Main Bekaar Hu Shay’An Lillah

    Naqd Aamal Ki Punji Nahi Ratti Bhar Bhi
    Phir Bhi Ye Za-am Ke Deendaar Hu Shay’An Lillah

    Ek Nazar Ghazi E Be-kas Pe Ho Shah E Jeela(n)
    Main Bhi Tera Sag E Darbaa Hu Shay’An Lillah


    Written By : Sayyad Ghazi Rabbani Rehmatullah Alaih
  • Gause Azam Bamane Be saro saama madade

    Gause Azam Bamane Be saro saama’n madade
    Qibla e deen madade Kaba e Ima’n madade

    Mazhare Sirre Azal Gosha e Chashme Karame
    Mahbate Faize Abad Waaqife Pinhaan Madade

    Gushta am barg e khiza’n didaye aashob e jahan

    Ae bahare karame gulshane imka’n madade 

    Gar shukuhat ba sar e ijz nawazi aayad 
    Lashkar e mor faraastad ba sulema’n madade 

    Na buwad dar do jahaan juz tu madadgar mora 

    Madade ay sar o sar karda e paaka’n madade 

    Zarra am chand tapad dar shab e zulmat be noor 
    Subhe rahmat karam e mahr e darakhsh’n madade

    Aah az qafla e aehl e dila’n buz dooram 

    Naaqa am ra na buwad juz tu hadikhwa’n madade

    Ma gadaeem tu sultan e do aalam hasti 
    Az tu darem tama’ ya shahe jila’n madade 

    Khak e baghdad buwad surma e binaaiye man 

    Dida am ra che kunad kuh’l e safaha’n madade

    Himmat e kun baman ae baada kashe bazm e huzur 
    Saqi e maikada e aalam e irfa’n madade 

    Bul bule madh e sara e tu am ae rashk e bahar 

    Gul rue sayyed e aalam e imka’n madade

    Intezar e karam e tust man “Ayni” ra 
    Ae khuda ju wa khuda bi’no khuda da’n madade

    Kalaam By Huzoor Hamza Aini Miya Alayhir rehma Marehrawi
  • Ghous E Azam Ka Deewana Jo Hai Khwaja Ka Mastana

    Ghous E Azam Ka Deewana Jo Hai Khwaja Ka Mastana
    Jo Muhammad Pe Dil Se Fida Hain 
    Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

    Jab Wo Paida Hua Noori Saaye Tale Baatil E Najd Mein Aa Gaye Zalzale
    Kaise Uski Fazeelat Ka Suraj Dhale Jiski Azmat Ka Sikka Arab Me Chale
    Jiska Khaaye Uska Gaaye Uska Naara Hum Lagaye, Jiska Naara Arab Mein Laga Hai
    Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

    Jisne Ishq E Nabi Mein Utha Ke Qalam Mustafa Jaan E Rehmat Kiya Hai Raqam
    Bad Aqeedoh Ka Jisne Giraya Alam Jisne Sarr Najdiyat Kiya Hai Qalam
    Jab Bhi Ye Kisi Ne Poocha Har Taraf Se Naara Gunja, Ke Wo Khwaja Piya Ki Ataa Hai
    Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

    Dasvi Tareekh Thi Maahe Shavval Tha Ghar Naqi Khan Ke Beta Paida Hua
    Naam Ahmad Raza Uska Rakhha Gaya Aala Hazrat Zamane Ka Wo Bann Gaya
    Ilm O Hiqmat Ka Khazana Ho Mujaddid E Zamana Najdiyo Se Jo Tanha Lada Hai
    Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

    Jab Raza Kha(n) Ko Bay’at Ki Khwaish Hui Pohache Marehra Wo Umr Baayis Ki Thi
    Faiz E Barkaat Se Aysi Barkat Mili Saath Bay’at Ke Fauran Khilafat Mili
    Aala Hazrat Unko Tanha Sirf Main Hi Nahi Kehta Achhe Achho Ko Kehna Pada Hai 
    Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

  • Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani

    Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani

    Choot-ti Hain To Choote Duniya, Ghous Ka Daaman Na Chorenge
    Apne Gale Mein Ghous Ka Patta, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Ghous Ke Darr Par Umar Guzari, Ghous Ke Darr Ke Hum Hain Bhikari
    Iss Khoote Se Khud Ko Baandha, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Waliyo Ne Di Unko Salaami, Abdalo Ne Kee Hai Ghulami
    Ooncha Rahega Unka Jhanda, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Ghous Ka Daaman Kaise Chore, Jism O Rooh Ka Naata Unse
    Unse Thehra Deen Ka Rishta, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Unke Haath Me Haath Diya Hain, Khud Ko Ujagar Bech Diya Hain
    Ab Na Kabhi Chorenge WALLAH, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Ghous E Paak Ke Chahne Walo, Saath Ubaid Ke Mil Ke Keh Do
    Marte Damm Tak In-sha-Allah, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

    Audio Credit: owaisqadri.com

  • Gham hogaye be shumar aaqa (with audio)

    Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa

    Banda Tere Nisaar Aaqa
    Bigda Jaata Hai khel mera
    Aaqa Aaqa Savaar Aaqa
    Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti
    De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa
    Tuti Jati Hain Peeth meri
    Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa
    Halka Hai Agar Hamara Palla
    Bhari Hain Tera Waqar Aaqa
    Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai
    Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa
    Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas
    Sun Lo Meri Pukaar Aaqa
    Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga
    Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa
    Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti
    Duba Duba Utaar Aaqa
    Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse
    Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa
    Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka
    De De Aisi Bahaar Aaqa
    Jiski Marzi Khuda Na Taale
    Mera Hai Wo Naamdar Aaqa
    Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza
    Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa
    Soya Kiye Naabkaar Bande
    Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa
    Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye
    Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa
    Unke Adna Gada Pe Mit Jaye
    Aise Aise Hazaar Aaqa
    Be-abre Karam Ke Mere Dhabbe
    La Tagsiluhal-bihar Aaqa
    Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
    La Yakrubuhul Bawaar Aaqa




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Gunahon ki adat churah meray Mowla (with audio)

    Gunahon ki adat churah meray Mowla,
    mujhay naik insaan bana meray Mowla
    Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
    thu Rehmath sey apni mita meray Mowla
    Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
    har ik meri laghzish khata meray Mowla
    mujhay naik insaan bana meray Mowla
    Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,
    mujhay aisa bandhah bana meray Mowla
    Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,
    Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla
    Thu Matloob mera mey talib hu Tera,
    mujhay deyday apni wila meray Mowla
    mujhay naik insaan bana meray Mowla
    Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
    mey hun mustahik naar ka meray Mowla
    Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
    jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla
    Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
    tikana hey jannath mera meray Mowla
    mujhay naik insaan bana meray Mowla
    meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,
    ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla
    mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka
    yahi hai meri iltijah meray Mowla
    jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,
    Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla
    rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,
    na duniya keh gham mey rula meray Mowla
    na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,
    mujhay muflisi sey bacha meray Mowla
    hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,
    ho maqbool har ik dua meray Mowla




    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player