Category: A

  • Aaqa Ka Meelaad Aaya (with audio)

    Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
    Salla Alaika Ya RasoolAllah

     
    Wassallam Alaika Ya HabibAllah
    Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

    Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
    Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya


    Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
    Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
    Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
    Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
    Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
    Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
    Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
    Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

    Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
    Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya


    Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
    Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

    Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
    Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya




    Audio Credit: owaisqadri.com
  • Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu (with Audio)

    Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu
    Iss Karam Ki Badolat Barha Hu
    Unkay Tukroon Say Ezaz Pa Kar
    Tajdaroon Ki Saf Mein Khara Hu
    Iss Karam Ko Magar Kiya Kaho Gay
    Meinay Mana Mein Saab Say Bura Hoon
    Jo Buroon Ko Samatay Huey Hain
    Unkay Qadmoon Mein Bhi Para Hoon
    Dekhnay Walo Mujhko Na Dekho
    Dekhna Hai Agar To Yeh Dekho
    Kisay Daman Say Wabasta Hoon Mein
    Kon Wali Hai Kiska Gada Hoon
    Dekhta Hoon Jab Unki Aataein
    Bhool Jata Hoon Apni Khataein
    Sir Nadamat Say Uthta Nahin Hai
    Jab Mein Apni Taraf Dekhta Hoon
    Ya Nabi Apnay Gham Ki Kahani
    Keh Sakoon Ga Na Apni Zubani
    Bin Kahay Hi Meri Laj Rakhlo
    Mein Sisikti Hui Iltja Hoon
    Shafe Mugniba Kay Karam Nay
    Laj Rakhli Meray Khothay Pan Ki
    Nisbatoon Ka Karam Hai Yeh Khalid
    Khotha Hotay Huey Bhi Khara Hoon


    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE

    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please "Right Click" and then click on "Save Target As...". You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player
  • Ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam (salaam) (with Audio)

    Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
    zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
    rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
    keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam
    mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
    he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
    zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam
    mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d
    mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
    ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
    zeenat-e-arshe mu’allah, assalat-o-wassalam
    jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
    ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,



    TO DOWNLOAD AUDIO CLICK HERE
    Note: To Download any one of the following Hamd-o-Sana, please “Right Click” and then click on “Save Target As…”. You can listen these Files by RealPlayer/VLC Player


  • Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina

    Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
    Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina


    Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
    kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina


    Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
    Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina


    Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
    Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina


    kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
    Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina


    Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
    LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina


    Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
    Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana


    Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
    Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina


    Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
    Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina


    Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
    Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina


    Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
    Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


    Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
    mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.
  • Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara (Salaam)

    Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara 
    Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara
    Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

    Ghum se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue,
    Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue,
    Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara

    Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye
    Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye
    Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara

    Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam
    Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam
    Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara

    Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

  • As sub hu bada min tal’ati hii

    As sub hu bada min tal’ati hii
    W- al- laylu dajaa minv wafrati hee
    Kanz-ul-karami mowl-an-ni’ amii
    Haad-il-umami li shari’ati hii.

    Sa’at-ish-shajaruu nataq-al-hajaruu
    Shaqq-al-qamaruu bi ishaaratihii
    Jibrilu ataa laylata asraa
    W-ar-rabbu da’aa fii hadrati hii

    Fa Muhammaduna huwa Sayiduna
    Fal iszulana li ijaabetihi
    As – Subhu badaa min tal’ati hii
    W- al- laylu dajaa minv wafrati hee
  • Allah Mera Deher Mein A’ala Maqaam Ho

    Allah Mera Deher Mein A’ala Maqaam Ho
    Sarkaar Ke Ghulamon Mein Mera Bhi Naam Ho
    Marnay Say Pehlay Dekh Loon Subh-e-Dayaar-e-Paak
    Sarkaar Haazri Ka Koi Intizaam Ho
    Saansein Mehekti Hoon Dam-e-Aakhir Gulab See
    Dard-e-Zubaan Huzoor-e-Garaami Ka Naam Ho
    Jiss Waqt Meri Rooh Jasad Chornay Lagay
    Aankhoon Ke Saamnay Mere Mah-e-Tamaam Ho
    Iss Masht-e-Khaak Ki Hoon Sabhi Hasratein Tamaam
    Mehboob Ki Gali Mein Jou Qissa Tamaam Ho
    Nas Nas Mein Nashaa Aisa Samaa Jaye Naat Ka
    Sarkaar Lab Pe Naat Mere Subh-O-Shaam Ho
    Seraab Tahayaat Hoon Sab Tashangaan-e-Ishq
    Khudaam-e-Mustafa Mein Ujaagar Kalaam Ho
  • Arsh E Haq Hain

    Arshe Haq He Musnade Rif’at Rasoolullah ﷺ Ki
    Dekhni He Hashr Me Izzat Rasoolullah ﷺ Ki

    Qabr Me Lehrayenge Tha Hasr Chashme Noor Ke
    Jalwah Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah ﷺ Ki

    Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
    Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah ﷺ Ki

    Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
    Bat’ti He Kownain Me Ne’mat Rasoolullah ﷺ Ki

    Wo Jahannum Me Gaya Jo Unse Mustaghni Huwa
    Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasoolullah ﷺ Ki

    Sooraj Ulte Paaw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
    Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah ﷺ Ki 

    Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Duur Ho
    Hum Rasoolullah Ke, Jannat Rasoolullah ﷺ Ki

    Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(N) Rahe
    Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah ﷺ Ki

    Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
    Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah ﷺ Ki

    Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fazoo
    Aur Naa Kehna Nahee Aadat Rasoolullah ﷺ Ki 

    Ahle Sunnat Ka He Bera Paar Ashaabe Rasool
    Najm He Aur Naav Hai Itrat Rasoolullah ﷺ Ki

    Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
    Jaan Ki Akseer Hai Ulfat Rasoolullah ﷺ Ki

    Toot Jaa-Enge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Bund
    Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ﷺ Ki

    Ya Rabb Ik Saa’at Me Dhul Jaa-E Siyaahkaro Ke Jurm
    Josh Par Aa Jaaye Ab Rehmat Rasoolullah ﷺ Ki

    Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
    Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah ﷺ Ki

    Ae Raza Khud Saahibe Quraan Hai Mud’daahe Huzoor
    Tujhse Kab Mumkin He Phir Midhat Rasoolullah ﷺ Ki